Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

In mein se kis amal ke zariye apne aapko Allah Subhanahu se khareed sakte hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 886❗

Sawal : In mein se kis amal ke zariye apne aapko Allah Subhanahu se khareed sakte hain?

A: Us maal se jo Allah ne usko diya hain
B: Allah ka Zikr karke
C: apna maal se kisi ka qarz adda karke
D: Ilm Allah ki raza ke liye hasil karke
E: Allah ke liye dusron ko muaff karke
F: Allah ke raste mein jihaad karke
G: In mein se koi nahi (apna jawab likiye)
H: Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahih Jawab - A✅

Hadith: Allah Subhanahu ke maal se, apne aap ko Allah se khareed lo.
-----
Abu Qatadeh RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh logo! Allah ke maal se, apne aap ko Allah se khareed lo, agar tum mein se koi bakheeli karen wo logon ko apna maal dene se, to pehle apne aap se shuru karen, Allah ke diye huyee maal mein se khud par Sadqa karen khaye aur pehne
------
ابو قتادہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اے لوگو ! اللہ كے مال سے، اپنے آپ كو اللہ سے خرید لو، اگر تم میں سے كوئی بخیلی  كرے، وہ لوگوں كو اپنا مال  دینے سے،  تو پہلے اپنے آپ سے شروع كرے، اللہ كے دیئے ہوئے مال میں سے خود پر صدقہ كرے، كھائے اور پہنے
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1423-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...