Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 March 2022

Dozakh mein kis wajah se log aundhe muh dale jayege? Tamam baton ka jis par dar o madar hain wo kya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 880❗

❗2 sawal hain

Sawal1️⃣: Dozakh mein kis wajah se log aundhe muh dale jayege?

Sawal2️⃣: Tamam baton ka jis par dar o madar hain wo kya hain

A: Dil
B: Gunah
C: Sila Rehami
D: Zuban
E: Sharamga
F: Aamaal
G: Nekiyan
H: Inmein se koi nahi
I: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - DD✅
Hadith: Tamam baton ka jis par dar o madar hain wo Zuban hain aur aksar Dozak mein log aundhe muh apni Zaban ke wajah se daale jayege..
Reference📚:
----
Hazrat Mu'adh bin Jabal RadiAllahu Anhu se rivayat hain Ek Safar mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke saath thy, ek din Subha ko Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se kareeb huwa, aur ham chal rahe thy maine Arz kiya Allah ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Aap mujhe koi ammal bataye Jo mujhe Jannat mein dhakil ker de aur Jahannum se durr rakhen Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye tumne ek bahut badi cheez ka sawal kiya hain aur beshaq ye ammal us Shaks ke liye asan hai jis ke liye Allah Subhanahu asaan kar de tum Allah Subhanahu ki ibadat karo uske saath kisi ko shariq mat karo, Namaz qayam karo, Zakat do, Ramzan ke roze rakho aur Bait Ullah ka Hajj karo, phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaye kya mein tumhein bhalayi ke darwaze na batau?
Roza dhaal hain, Sadqa gunahon ko aise he mitata hai jaise pani aag ko bhujata hain, aadhi raat mein Aadmi ka Namaz (Tahajjud) adaa karna. Phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne iss aayat ko tilawat farmaya 
Surah As-Sajdah 16-17
Phir farmaya kya mein tumhe Deen ki asal, is ka sutoon aur is ki chooti na bata du? Wo Allah Subahnahu ki raah mein Jihaad hain Phir farmaya kya un tamam baton ka jis cheez par dar-o-madar hain wo na bata du? Mein ne Arz kiya : Jee haan zaroor bataiye, to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne apni Zabaan Mubarak pakadi aur farmaya usay apne Qaabu mein rakho, Mein ne Arz kiya : Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam kya hum jo bolte hain is par bhi hamari pakad hogi? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Maaz! Teri Maa tujh par roye! Log apni zabanon ki karastaniyon ki wajah se he aundhe mun Jahannum mein daaley jayen ge.
----
میں ایک سفر میں نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ تھا، ایک دن میں صبح کو آپ سے قریب ہوا، اور ہم چل رہے تھے، میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! آپ مجھے کوئی عمل بتائیے جو مجھے جنت میں داخل کر دے، اور جہنم سے دور رکھے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تم نے ایک بہت بڑی چیز کا سوال کیا ہے، اور بیشک یہ عمل اس شخص کے لیے آسان ہے جس کے لیے اللہ تعالیٰ آسان کر دے، تم اللہ تعالیٰ کی عبادت کرو، اس کے ساتھ کسی کو شریک مت کرو، نماز قائم کرو، زکاۃ دو، رمضان کے روزے رکھو اور بیت اللہ کا حج کرو ، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  کیا میں تمہیں بھلائی کے دروازے نہ بتاؤں؟ روزہ ڈھال ہے، صدقہ گناہوں کو ایسے ہی مٹاتا ہے جیسے پانی آگ کو بجھاتا ہے، اور آدھی رات میں آدمی کا نماز  ( تہجد )  ادا کرنا ، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے یہ آیت:تتجافى جنوبهم عن المضاجع  ( سورة السجدة: 16 )  تلاوت فرمائی یہاں تک کہ جزاء بما كانوا يعملون تک پہنچے، پھر فرمایا:  کیا میں تمہیں دین کی اصل، اس کا ستون اور اس کی چوٹی نہ بتا دوں؟ وہ اللہ کی راہ میں جہاد ہے ، پھر فرمایا:  کیا ان تمام باتوں کا جس چیز پر دارومدار ہے وہ نہ بتا دوں ؟ میں نے عرض کیا: جی ہاں ضرور بتائیے، تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنی زبان مبارک پکڑی اور فرمایا:  اسے اپنے قابو میں رکھو ، میں نے عرض کیا: اللہ کے نبی! کیا ہم جو بولتے ہیں اس پر بھی ہماری پکڑ ہو گی؟، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  معاذ! تیری ماں تجھ پر روئے! لوگ اپنی زبانوں کی کارستانیوں کی وجہ سے ہی اوندھے منہ جہنم میں ڈالے جائیں گے ۔
----
It was narrated that Mu’adh bin Jabal RadiAllahu Anhu said: “I was with the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam on a journey. One morning I drew close to him when we were on the move and said: ‘O Messenger of Allah, tell me of an action that will gain me admittance to Paradise and keep me far away from Hell.’ He said: ‘You have asked for something great, but it is easy for the one for whom Allah makes it easy. Worship Allah and do not associate anything in worship with Him, establish prayer, pay charity, fast Ramadan, and perform Hajj to the House.’ Then he said: ‘Shall I not tell you of the means of goodness? Fasting is a shield, and charity extinguishes sin as water extinguishes fire, and a man’s prayer in the middle of the night.’ Then he recited: “Their sides forsake their beds” until he reached: “As a reward for what they used to do.”[32:16-17] Then he said: ‘Shall I not tell you of the head of the matter, and its pillar and pinnacle? (It is) Jihad.’ Then he said: ‘Shall I not tell you of the basis of all that?’ I said: ‘Yes.’ He took hold of his tongue then said: ‘Restrain this.’ I said: ‘O Prophet of Allah, will we be brought to account for what we say?’ He said: ‘May your mother not found you, O Mu’adh! Are people thrown onto their faces in Hell for anything other than the harvest of their tongues?’”
---
Sunan Ibn e Maja 3973

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...