Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 9 February 2020

Ek baar ek sahaba aur unki zauja ko Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ne farmaya ke tumhare iss amal ke wajah se Allah Subhanahu Muskuraye ya Khush huwe aur ussi ke wajah se Quran mein bhi ek Aayat nazil farmayi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain!

Ek baar ek sahaba aur unki zauja ko Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ne farmaya ke tumhare iss amal ke wajah se Allah Subhanahu Muskuraye ya Khush huwe aur ussi ke wajah se Quran mein bhi ek Aayat nazil farmayi

Sawal1 Wo kaunsa Amal tha?

A: Sadqa karne ki wajah se jabke sabse zaida paiso ke zaroorat mand wo khud thy
B: Mehman ko khana kilane ki wajah se jabke wo khud bhuke thy
C: Padosi ko khana khilane ki wajah se jabke wo khud khana nahi kaye thy
D: Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam ki dawat ki thi jab ke unke pass khana bahut kum tha
E: kisi janwar ko pani pilaya tha jab ke wo dono khud pyase thy
F: Apne bacho ko bhuka rakh kar apne padosi ko khana khilane ki wajah se 
G: Inmein se koi nahi

Sawal2: Allah Subhanahu ne kaunse surah ki aayat nazil farmayi?

A: Surah Al Maeeda
B: Surah Ankaboot
C: Surah Luqman
D: Surah Hashar 
E: Surah Haqqa 
F: Surah Al Baqarah
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

******************************

Sahi Jawab - B/D✅

Reference📚:
----------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke ek aadmi Nabi Sallallahu Alahi WaSallam ke paas aaya aur kehnay laga mujhe sakht bhook lagi hai, ( aur aik riwayat mein hai mein bhooka hon) Aap ne apni biwion ki taraf paigham bheja, to unhon ne kaha is zaat ki qasam jis ney Aap ko haq dekar bheja hai hamaray paas sirf pani hai, Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ne farmaya is shakhs ko kaon milayega, ya mehman nawazi karega Allah Subhanahu is par reham farmaiye ek Ansari jis ka naam Abu Talha RadiAllahu Anhu tha, ne kaha mein, phir woh le kar apni biwi ke paas aaye aur kaha Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ke mehman ki khatir madarat koi cheez chhupa kar na rakho is ney kaha (wallah) hamaray paas to sirf bachon ka khana hai Abu Talah ne kaha khana tayyar karo, chirag durust karo, aur jab bachay raat ka khana mangeen to bachon ko sulaa doh, is ne khana tayyar kiya chirag durust kiya aur bachon ko sula diya, phir woh khari huien goya ke chairag durust kar rahi hain aur usay bujha diya, aur dono (Abu Talha aur un ki biwi) Maheman par zahir karne lagey ke woh bhi khana kha rahe hain. (mehman ney khana kha liya) un dono ney bhukay raat guzari jab subah huwi, Abu Talah Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ke paas gaye to Aap ne farmaya Allah ta’ala tum dono ke tumahray maheman ke saath Amal ki wajah se Muskuraya ya khush huwa, aur Allah Azzwajal ne yeh aayat nazil farmai (Surah Al Hashr 09) aur yeh log apne upar dosaron ko tarjeeh dete hain agarchay yeh khud sakht zaroorat mand hon aur jo log apne nafs ki bakhili se bacha liye gaye to yahi log Falah pane wale hain.
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 151

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...