Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 9 February 2020

Allah Subhanahu ko kin logon par taajjub hoga?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu ko kin logon par taajjub hoga?

A: Jo Quran ki ayaton ko jhutlaya karte thy
B: Jo Sood ko halal samaj le
C: Jo Qayamat ka inkaar kare
D: Jisne apne sharmgah ki hifazat nahi ki
E: Jo apne walid ka inkaar kare
F: Jo sitaro par iman laye
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - G✅  jo Jannat mein bediyon sameit daakhil honge

Reference📚:
---------------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya”ayse logon par Allah Subhanahu ko taajjub hoga' jo Jannat mein bediyon sameit daakhil honge (yani musalmanoon ne kafiroon ko pakar kar bediyon mein qaid kar diya phir woh musalman hogaye to Allah Subhanahu taala un ko Islam ki wajah se Jannat mein daakhil kar dega to Allah Subhanahu taala aisay logon par taajjub karenge ke yeh log apne kufar ki wajah se paye zanjeer huwe aur islam laa kar jannat mein daakhil ho ge
---------------
Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "Allah wonders at those people who will enter Paradise in chains."
-----------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3010

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...