Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 9 February 2020

wo kaunsa amal tha jis per Rasool-Allah (ﷺ) ne ek Sahabi ke liye farmaya ke mujhe khatrah hain ke jab tum lambi umar paoge toh is amal se ukhta jaoge?

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗


Sawal: wo kaunsa amal tha jis per Rasool-Allah (ﷺ) ne ek Sahabi ke liye farmaya ke mujhe khatrah hain ke  jab tum lambi umar paoge toh is amal se ukhta jaoge?

1. Wo kis amal ke liye farma rahe thy ke tum ukta jaoge?

A: Bagair Nikah ke rehne per
B: Har raat Quran Majeed padhne par
C: Kasrat se Nawafil padne per 
D: Roz nawafil roza rakhne per
E: Har saal Hajj karne per
F: Sari raat Qayam karne per
G: In mein se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezaar hai
************

Sahi Jawab - G✅

Reference📚:
------
Sayedna Abdulla Bin Umro Radi Allahu Anhu* se rivayat hai, woh kehte hain mein ne Quran Majeed hifz kar liya tha aur har raat ko quran Majeed ki takmeel karta tha, jab yeh baat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam tak pohanchi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhe khatrah hai ke jab tum lambi Umar paoge to ukta jaoge, is liye ek maheena mein ek dafaa Quran mukammal kar liya kar lekin mein neh kaha Eh Allah ke Rasool! mujhe apni quwat aur jawani se faida uthany dijiye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bees (20) din mein ek dafaa parh liya karo mein neh kaha Eh Allah ke Rasool! Mujhe apni quwat aur jawani se faida uthany dijiye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya chalo das (10) din mein parh liya karo Mein ne kaha Eh Allah ke Rasool! Mujhe apni quwat aur jawani se istifada karne den, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya saat (7) dinon mein ek khatam kar liya karo mein ne kaha Eh Allah ke Rasool! Aap mujhe chore den, mujhe apni quwat aur jawani se faida uthany den, lekin Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne inkaar kiya, ek rivayet mein hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har saat (7) din mein quran khatam karliya kar, lekin is se kam dino mein nahi.
---------------
 ۔ (۸۳۷۲)۔ عَنْ اَبِیْ سَعِیْدٍ الْخُدْرِیِّ اَنَّ رَسُوْلَ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  رَدَّدَ آیَۃً حَتّٰی اَصْبَحَ۔ (مسند احمد: ۱۱۶۱۵)
---------------
 ۔ سیدنا عبداللہ بن عمرو ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے قرآن مجید حفظ کر لیا تھا اور ہر رات کو قرآن مجید کی تکمیل کرتا تھا،جب یہ بات نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  تک پہنچی تو آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  مجھے خطرہ ہے کہ جب تو لمبی عمر پائے گا تو تو اکتا جائے گا، اس لیے ایک مہینہ میں ایک دفعہ قرآن مکمل کر لیا کر۔  لیکن میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے اپنی قوت اور جوانی سے فائدہ اٹھانے دیجئے، آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  بیس دن میں ایک دفعہ پڑھ لیا کرو۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے اپنی قوت اور جوانی سے فائدہ اٹھانے دیجئے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  چلو دس دن میں پڑھ لیا کرو۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے اپنی قوت اور جوانی سے استفادہ کرنے دیں، آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  سات دنوں میں ایک ختم کر لیا کرو۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ مجھے  چھوڑ دیں، مجھے اپنی قوت اور جوانی سے فائدہ اٹھانے دیں، لیکن آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے انکار کیا، ایک روایت میں ہے: آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  ہر سات دن میں قرآن ختم کرلیا کر، لیکن اس سے کم دنوںمیں نہیں۔  
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 8372

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...