Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 23 August 2020

wo Qayamat ke din iss haal mein aayega ke uska ek dhad yani jism ka aadha hissa gira huwa hoga

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: ______wo Qayamat ke din iss haal mein aayega ke uska ek dhad yani jism ka aadha hissa gira huwa hoga


A: Aisa aadmi jisne do bahno se nikah kiya ho

B: Qaume Loot ka Amal karne wala

C: Zaniya ki kamaye khane wala

D: Na baligh bache ko sharab pilane wala

E: Apni padosi ki biwi se zina karne wala

F: Essa Alaihi Salam ko Allah ka beta kahne wala

G: In mein se koi nahi


H: Sahi jawab ka intezar hai


******


Sahi Jawab – G✅


Jis ke paas do biwiyan hon aur ek ko chore kar doosri ki taraf mael rahe


Reference📚:

--------------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis ke paas do biwiyan hon aur ek ko chore kar doosri ki taraf mael rahe, to woh qayamat ke din is haal mein aayega ke is ka ek dhar gira huwa hoga

---------------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جس کے پاس دو بیویاں ہوں اور ایک کو چھوڑ کر دوسری کی طرف مائل رہے، تو وہ قیامت کے دن اس حال میں آئے گا کہ اس کا ایک دھڑ گرا ہوا ہو گا

---------------

It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah said: "Whoever has two wives and favors one of them over the other, he will come on the Day of Resurrection with one of his sides leaning”

--------------

Sahi Hadees

Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 1969

Jab koi kisi Mareez ki ayadat kare toh kya kehna chahiye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Jab koi kisi Mareez ki ayadat kare toh kya kehna chahiye

A: Eh Allah apne bande ke gunah baksh de

B: Eh Allah apne bande ko namaz qayam karne wala bana

C: Eh Allah Apne bande ko hidayat de

D: Eh Allah Apne bande ko shifa de

E: Eh Allah Apne bande ki beemari uske liye uske gunaho ka kaffara bana

F: Eh Allah Apne bande ko deen ki samajh aata kar

G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar


****************

Sahi Jawab - D✅


Mareez ki ayadat kare toh uske liye dua kare ke Eh Allah tu apne bande ko shifa de

Reference:📚

-----

Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Allahi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs kisi Mareez ke ayadat kare to kahe Eh Allah apne bande ko Shifa de taake tere dushman zakhmi karke maar de ya tere liye namaz ki  taraf jaye .

-----

عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ عَمْرِو قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللهِ  صلی اللہ علیہ وسلم : إِذَا عَادَ أَحدكُم مَّرِيْضًا فَلْيَقُل :اللَّهُمَّ اشْفِ عَبْدَكَ يَنْكَأُ لَكَ عَدُوًّا وَّيَمْشِي لَكَ إِلَى الصَّلَاةِ

----

عبداللہ بن عمر و رضی اللہ عنہما كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص كسی مریض كی عیادت كرے تو كہے:اے اللہ اپنے بندے كو شفا دے ، تاكہ تیرے دشمن زخمی کرکے مار دے۔ یا تیرے لئے نماز كی طرف جائے۔

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha#3223-Sahih

Insan ka bure hone ka saboot kaise pata chalta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Insan ka bure hone ka saboot kaise pata chalta hain

A: Mazlum ki madad na karna

B: Maal ki zakat ada na karna

C: Uske doston ke zariye

D: uski niyat ke wajah se

E: Allah ke zikr se muh modne ki wajah se

F: Sila rahmi na karne ki wajah se

G: Inmein se koi nahi 


H: Sahi jawab ka Intezaar


❗Note agar apka jawab G hain to sahi jawab likhiye


**************


Sahi Jawab - G✅

Padosiyon ke zariye insan ka achacha aur bure hone ka saboot pata chalta hain

Reference📚:

----

Ibn Masood RadiAllahu Anhu bayan karte hain, ek aadmi ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujhe kaise pata chale ke mein achcha hu ya bura? Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jab tum apne padosiyon ko kehte huwe suno ke tum achche ho to tum achche ho aur jab tum inhen kehte huwe suno ke tum bure ho to tum bure ho

-------

ابن مسعود ؓ بیان کرتے ہیں ، ایک آدمی نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے عرض کیا : اللہ کے رسول ! مجھے کیسے پتہ چلے کہ میں اچھا ہوں یا برا ؟ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ جب تم اپنے پڑوسیوں کو کہتے ہوئے سنو کہ تم اچھے ہو تو تم اچھے ہو اور جب تم انہیں کہتے ہوئے سنو کہ تم برے ہو تو تم برے ہو ۔‘‘      ، رواہ ابن ماجہ ۔ 

----

Mishkat ul Masabeeh#4988-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...