Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 29 August 2021

Jab Momin ye amal karta hai uss waqt wo Momin nahi rehta hain




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jab Momin ye amal karta hai uss waqt wo Momin nahi rehta hain
----
Un se Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne kaha ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, zaani momin rehte huwe zina nahi kar sakta. sharaab khawar momin rehte huwe sharaab nahi pi sakta. chor momin rehte huwe chori nahi kar sakta aur koi shakhs momin rehte huwe loot aur ghaarat giri nahi kar sakta ke logon ki nazrain is ki taraf uthi huwi hon aur wo loot raha ho
------------
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، زانی مومن رہتے ہوئے زنا نہیں کر سکتا۔ شراب خوار مومن رہتے ہوئے شراب نہیں پی سکتا۔ چور مومن رہتے ہوئے چوری نہیں کر سکتا۔ اور کوئی شخص مومن رہتے ہوئے لوٹ اور غارت گری نہیں کر سکتا کہ لوگوں کی نظریں اس کی طرف اٹھی ہوئی ہوں اور وہ لوٹ رہا ہو، سعید اور ابوسلمہ کی بھی ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے بحوالہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم اسی طرح روایت ہے۔ البتہ ان کی روایت میں لوٹ کا تذکرہ نہیں ہے۔ 

Sahih Bukhari#2475
-------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma ne bayan kya ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya banda jab zina karna hai to wo momin nahi rehta. banda jab chori karta hai to wo momin nahi rehta aur banda jab sharaab peeta hai to wo momin nahi rehta aur jab wo qatal na haq karta hai to wo momin nahi rehta. Akramah ne kaha ke mein ne Hazrat Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se poocha ke imaan is se kis terhan nikaal liya jata hai? Aap ne farmaya ke wo is terha aur is waqt Aap ne apni ungliyon ko dosray haath ki ungliyon mein daal kar phir alag kar liya phir agar wo tauba kar lea hai to imaan is ke paas lout ata hai. is tarha aur Aap ne apni ungliyon ko dosre haath ki ungliyon mein dala
-----------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”بندہ جب زنا کرتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا۔ بندہ جب چوری کرتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا اور بندہ جب شراب پیتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا اور جب وہ قتل ناحق کرتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا۔ عکرمہ نے کہا کہ میں نے ابن عباس رضی اللہ عنہما سے پوچھا کہ ایمان اس سے کس طرح نکال لیا جاتا ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ وہ اس طرح اور اس وقت آپ ان نے اپنی انگلیوں کو دوسرے ہاتھ کی انگلیوں میں ڈال کر پھر الگ کر لیا پھر اگر وہ توبہ کر لیتا ہے تو ایمان اس کے پاس لوٹ آتا ہے، اس طرح اور آپ نے اپنی انگلیوں کو دوسرے ہاتھ کی انگلیوں میں ڈالا۔ 
------------
Sahih Bukhari#6809


 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...