Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 29 August 2021

Hijama karne ki fazilat

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Hijama karne ki fazilat
---------
Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma se marwi hai ke unho ne Nafe se kaha: mera khoon josh mar raha hai,mere liye hijama(cupping) karne wala talash karo aur koshish karna narm hath wala ho koyi budha ya bacha na ley aana. Kyonki mai ne Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wa Sallam se suna Aap farma rahe they: Nihar muh senghi lagwana zyada faydemand hai. Is main shifa aur barkat hai, aqal aur hifz ko zyada karti hai, jumerat ke din Allah ki barkat par senghi lagwao, budh ke din senghi lagwane se bacho. Jumma ,hafta aur itwar ke din se bhi, jabke peer aur mangal ko senghi lagwao. Kyunki ye wo din hai jis mein Allah Taala ne Ayyub Alaihi Salam ko azmayish se aafiyat di thi, aur budh ke din unhein azmayish mein mubtila kiya tha. kodh aur bars budh ke din ya budh ki raat hi zaher hote hain.
----------
 عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ انہوں نے نافع سے کہا: میرا خون جوش ماررہا ہے،  میرے لئے سینگی لگانے والا تلاش كرو اور كوشش كرنا كہ نرم ہاتھ والا ہو۔ كوئی بوڑھا یا بچہ نہ لے آنا۔ كیوں كہ میں نے رسول اللہ (ﷺ) سے سناآپ فرما رہے تھے :نہار منہ سینگی لگوانا زیادہ فائدہ ہے۔ اس میں شفا اور بركت ہے، عقل اور حفظ كو زیادہ كرتی ہے، جمعرات كے دن اللہ كی بركت پر سینگی لگواؤ، بدھ كے دن سینگی لگوانے سے بچو۔ جمعہ ،ہفتہ اور اتوار كے دن سے بھی، جبكہ پیر اور منگل كو سینگی لگواؤ۔ كیوں كہ یہ وہ دن ہے جس میں اللہ تعالیٰ نے ایوب علیہ السلام كو آزمائش سے عافیت دی تھی، اور بدھ كے دن انہیں آزمائش میں مبتلا كیا تھا۔ كوڑھ اور برص بدھ كے دن یا بدھ كی رات ہی ظاہرہوتے ہیں۔
Al-Silsila-tus-Sahiha#2307
----------
Anas Radi Allahu Anhu kahte hai ke Rasoolallah Sallelahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : jab tum mein se kisi shakhs ka khoon josh maare to woh senghi lagwaye, kyunki jab khoon josh marta hai to insaan ko halaak kar deta hai.
----------
 انس‌رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے کسی شخص کا خون جوش مارے تو وہ سینگی لگوائے،کیونکہ جب خون جوش مار تا ہے تو انسان کو ہلاک کر دیتا ہے
Al-Silsila-tus-Sahiha#2289
-----------
Ismael Bin Jaffar ne hamein Hamid se hadees bayan ki, unhon ne kaha : Hazrat Anas Bin Maalik Radi Allahu Anhu se pachne (senghi) laganay wale ki kamai ke baray mein pucha gaya to unhone kaha : Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wasallam ne pachna lagwaye, Aap ko Abu Tabeeb ne pachne lagaye to Aap ne usay ghallay se do sa'a dene ka hukum diya aur is ke malikon se baat ki to unhone is ke mehsool mein kuch takhfeef kar di aur Aap ne farmaya : Tum log jo ilaaj karwao is mein se behtareen senghi lagwana hai ya ( farmaya : ) yeh tumahray behtareen ilajon mein se hai .
----------
 اسماعیل بن جعفر نے ہمیں حمید سے حدیث بیان کی ،  انہوں نے کہا :  حضرت انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے پچھنے  ( سینگی )  لگانے والے کی کمائی کے بارے میں پوچھا گیا تو انہوں نے کہا :  رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے پچھنے لگوائے ،  آپ کو ابوطیبہ نے پچھنے لگائے تو آپ نے اسے غلے سے دو صاع دینے کا حکم دیا اور اس کے مالکوں سے بات کی تو انہوں نے اس کے محصول میں کچھ تخفیف کر دی اور آپ نے فرمایا : تم لوگ جو علاج کرواؤ اس میں سے بہترین سینگی لگوانا ہے یا  ( فرمایا :   )  یہ تمہارے بہترین علاجوں میں سے ہے ۔  
------------
Sahih Muslim#4038
https://pin.it/33mEOVe

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...