Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 9 February 2020

Alhamdulillahi Kathira




Bismillahirahmanirrahim

اَلْحَمْد لِلهِ كَثِيرًا

Alhamdulillahi Kathira
----
Allah ke liye bahut zyada tarifein hain
------
All Praise is due to Allah  Abundant

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah







Bismillahirahmanirrahim

لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
----
Allah ke Siwa koi ibadat ke layaq nahi  aur Muhammed Sallallahu Alahih Wasallam Allah ke Rasool hai
------
There is no God but Allah and Muhammed Sallallahu Alahih Wasallam is the messenger of Allah

Kaunsa amal na karne par Allah Subhanahu apne bande se irshad farma raha hai ke mein tujhe masrufiyat mein phasa dunga aur teri Mohtaji bhi door nahi karoga.?



❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunsa amal na karne par Allah Subhanahu apne bande se irshad farma raha hai ke mein tujhe masrufiyat mein phasa dunga aur teri Mohtaji bhi door nahi karoga.?

A: Salam
B: Hajj
C: Namaz
D: Zakat
E: Roza
F: Jihad
H: Qarz
I: In mein se koi nahi

J: Sahi Jawab ka Intezaar
******************



Sahi Jawab - I ✅(Ibadat ke liye Farigh)

Reference📚:
----------------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayati hain ke Nabi Salelahu Alehi Wa Sallam ne farmaya Allah Subhanhu taala farmata hai Ibn Adam meri Ibadat ke liye farigh hoja, mein tere dil ko Ghanni se bhar doonga, teri mohtaji door kar doonga aur agar to ne aisa nahi kiya toh tujhe masrufiyat mein phansa doonga aur teri mohtaji bhi door nahi karoonga
----------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ فرماتا ہے: ابن آدم میری عبادت كے لئے فارغ ہو جا، میں تیرے دل كو غنیٰ سے بھر دوں گا، تیری محتاجی دور كر دوں گا اور اگر تو نے ایسا نہ كیا تو تجھے مصروفیت میں پھنسا دوں گا اور تیری محتاجی بھی دور نہیں كروں گا ۔
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1336

jab Insan ke zehan mein koi was wase aate hau toh Allah Subahnahu ta’ala usse kaise khatam kar deta hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: jab Insan ke zehan mein koi was wase aate hau toh Allah Subahnahu ta’ala usse kaise khatam kar deta hain?

A: Namaz 
B: Allah ka zikr 
C: Nafil ibadat
D: Sabr
E: Quran
F: Ilm
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*************

Sahi Jawab - G✅
(Tawakkal)

Reference📚:
------------
Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke badshaguni shirk hain aur hum mein se koi nahi is ke zahan mein was wase aate hain lekin Allah Subhanahu ta'ala usay tawakkal ke zariye khatam kar deta hain
------------
عَنْ عَبْدِ اللهِ بْنِ مَسْعُودٍ رضی اللہ عنہ  مَرفُوعا: الطِّيَرَةُ شِرْكٌ وَمَا مِنَّا إِلَّا... وَلَكِنَّ اللهَ يُذْهِبُهُ بِالتَّوَكُّلِ. 
-----------
عبداللہ بن مسعود  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ بدشگونی شرك ہے، اور ہم میں سے كوئی نہیں مگر۔۔۔(اس کے ذہن میں وسوسے آتے ہیں) لیكن اللہ تعالیٰ اسے توكل كے ذریعے ختم کردیتا ہے
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1055

wo kaunsa amal tha jis per Rasool-Allah (ﷺ) ne ek Sahabi ke liye farmaya ke mujhe khatrah hain ke jab tum lambi umar paoge toh is amal se ukhta jaoge?

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗


Sawal: wo kaunsa amal tha jis per Rasool-Allah (ﷺ) ne ek Sahabi ke liye farmaya ke mujhe khatrah hain ke  jab tum lambi umar paoge toh is amal se ukhta jaoge?

1. Wo kis amal ke liye farma rahe thy ke tum ukta jaoge?

A: Bagair Nikah ke rehne per
B: Har raat Quran Majeed padhne par
C: Kasrat se Nawafil padne per 
D: Roz nawafil roza rakhne per
E: Har saal Hajj karne per
F: Sari raat Qayam karne per
G: In mein se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezaar hai
************

Sahi Jawab - G✅

Reference📚:
------
Sayedna Abdulla Bin Umro Radi Allahu Anhu* se rivayat hai, woh kehte hain mein ne Quran Majeed hifz kar liya tha aur har raat ko quran Majeed ki takmeel karta tha, jab yeh baat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam tak pohanchi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mujhe khatrah hai ke jab tum lambi Umar paoge to ukta jaoge, is liye ek maheena mein ek dafaa Quran mukammal kar liya kar lekin mein neh kaha Eh Allah ke Rasool! mujhe apni quwat aur jawani se faida uthany dijiye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bees (20) din mein ek dafaa parh liya karo mein neh kaha Eh Allah ke Rasool! Mujhe apni quwat aur jawani se faida uthany dijiye, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya chalo das (10) din mein parh liya karo Mein ne kaha Eh Allah ke Rasool! Mujhe apni quwat aur jawani se istifada karne den, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya saat (7) dinon mein ek khatam kar liya karo mein ne kaha Eh Allah ke Rasool! Aap mujhe chore den, mujhe apni quwat aur jawani se faida uthany den, lekin Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne inkaar kiya, ek rivayet mein hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har saat (7) din mein quran khatam karliya kar, lekin is se kam dino mein nahi.
---------------
 ۔ (۸۳۷۲)۔ عَنْ اَبِیْ سَعِیْدٍ الْخُدْرِیِّ اَنَّ رَسُوْلَ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  رَدَّدَ آیَۃً حَتّٰی اَصْبَحَ۔ (مسند احمد: ۱۱۶۱۵)
---------------
 ۔ سیدنا عبداللہ بن عمرو ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے قرآن مجید حفظ کر لیا تھا اور ہر رات کو قرآن مجید کی تکمیل کرتا تھا،جب یہ بات نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  تک پہنچی تو آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  مجھے خطرہ ہے کہ جب تو لمبی عمر پائے گا تو تو اکتا جائے گا، اس لیے ایک مہینہ میں ایک دفعہ قرآن مکمل کر لیا کر۔  لیکن میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے اپنی قوت اور جوانی سے فائدہ اٹھانے دیجئے، آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  بیس دن میں ایک دفعہ پڑھ لیا کرو۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے اپنی قوت اور جوانی سے فائدہ اٹھانے دیجئے، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  چلو دس دن میں پڑھ لیا کرو۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے اپنی قوت اور جوانی سے استفادہ کرنے دیں، آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  سات دنوں میں ایک ختم کر لیا کرو۔  میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ مجھے  چھوڑ دیں، مجھے اپنی قوت اور جوانی سے فائدہ اٹھانے دیں، لیکن آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے انکار کیا، ایک روایت میں ہے: آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  ہر سات دن میں قرآن ختم کرلیا کر، لیکن اس سے کم دنوںمیں نہیں۔  
-------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 8372

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne fitne ke zikr par farmaya ke jab tum logo ko dekho ke wo apne wado ki paasdari nahi kar rahe hai amanato ke bojh halka samjha jane laga to us waqt ek sahabai aap se pocha k mein uss waqt kya karo..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hain! aur dusre sawal mein jawab ek se ziada hain!

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne fitne ke zikr par farmaya ke jab tum logo ko dekho ke wo apne wado ki paasdari nahi kar rahe hai amanato ke bojh halka samjha jane laga to us waqt ek sahabai aap se pocha k mein uss waqt kya karo..

Sawal 1: Wo Sahabi kaun thy?

A: Saad Bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu
B: Zubair Bin Talha Radi Allahu Anhu
C: Abdullah Bin Amro Radi Allahu Anhu
D: Salman Farsi Radi Allahu Anhu
E: Umar Bin Khattab Radi Allahu Anhu
F: Khaled Bin Walid Radi Allahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

Sawal 2: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne unse kya irshad farmaya?

A: Apne ghar ko lazim karlo
B: Apni bakriyo ko lekar pahad par chale jao
C: Waqt ke imam ka hukm mano
D: Apni zaban ko roke rakho
E: Naiki ko ikhtiyar karo aur buraye ko chod do
F: Apne khud ka mamla zaroori samjho aur aam logo ke mamlat chod do
G: Gareebo aur kamzoro par Reham karna 

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**************

Sahi Jawab - C/ADEF✅

Reference📚:
-------------------
Abdulah Bin Amro Radi Allahu Anhu se riwayat hai kehte hain ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke ird gird baithy huwe thy, achanak log fitne ka zikr karne ya Aap Sallallahu Alahih Wasallam ke paas fitne ka Zikr huwa to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum logon ko dehko ke wo apne wadon ki paasdari nahi kar rahe aur amanaton ke boojh ko halka samjha jaaney laga hai, aur wo is terhan ho Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne ungelian ek dosray mein daakhil kiye Mein Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki taraf aaya aur Aap se kaha is waqt mein kiya karu? Allah mujhe Aap par qurbaan kare Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya apne ghar ko lazim karlo, apni zabaan roke rakho Naiki ko ikhtiyar karo aur buraiee ko chore doh, apna khaas maamla ( zaroori ) samjhoo aur aam logon ke mamlaat chordo.
---------------
عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہتے ہیں كہ ہم رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم كے ارد گرد بیٹھے ہوئے تھے ،اچانك لوگ فتنے كا ذكركرنے لگے۔ یا آپ كے پاس فتنے كا ذكر ہوا تو آپ نے فرمایا: جب تم لوگوں كو دیكھو كہ وہ اپنے وعدوں كی پاسداری نہیں كر رہے، اور امانتوں كے بوجھ كو ہلكا سمجھا جانے لگا ہے، اور وہ اس طرح ہوں : آپ نے انگلیاں ایك دوسرے میں داخل كیں، میں آپ كی طرف آیا اور آپ سے كہا: اس وقت میں كیا كروں؟ اللہ مجھے آپ پر قربان كرے۔ آپ نے فرمایا: اپنے گھر كو لازم كرلو، اپنی زبان روكے ركھو، نیكی كو اختیار كرو اور برائی كو چھوڑ دو، اپنا خاص معاملہ (ضروری)سمجھو اور عام لوگوں کے معاملات چھوڑدو۔
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1325

Mahfuhm e hadith ke mutabiq Yh kalimat inmein se kiske liye farmaya gaya tha ke jab bhi unper koi muskil paish aayi Allah Subhanahu ne unke liye nijaat ka rasta paida farma diya aur musalmano ke liye uss mein barkat rak di gayi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq Yh kalimat inmein se kiske liye farmaya gaya tha ke jab bhi unper koi muskil paish aayi Allah Subhanahu ne unke liye nijaat ka rasta paida farma diya aur musalmano ke liye uss mein barkat rak di gayi?

A: Ali RadiAllahu Anhu
B: Fatema RadiAllahu Anhuma
C: Mariyam Alahi Salam
D: Abu Bakr RadiAllahu Anhu 
E: Eesa Alahi Salam 
F: Ayesha RadiAllahu Anhuma
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

***********

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
--------------
Aisha RadiAllahu Anhuma unhon ne Asma RadiAllahu Anhuma se ek haar ariya liya, aur wo kho gaya, Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ne usay dhundhane ke liye kuch logon ko bheja, itnay mein namaz ka waqt ho gaya, logon ne baghair wudu ke namaz parhi, jab log Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ke paas wapas aaye to Aap se is ki shikayat ki, to is waqt tayamum ki aayat nazil huwi, Asayed bin Huzairi RadiAllahu Anhu ne Aisha RadiAllahu Anhuma se kaha Allah Subhanahu ta’ala aap ko jazaye khair de, Allah ki qasam! Jab bhi aap ko koi mushkil paish aayi, Allah Subhanahu ta’ala ne aap ke liye is se nijaat ka rasta paida farma diya, aur musalmanoon ke liye is mein barket rakh di
-------------
It was narrated from 'Aishah that: She borrowed a necklace from Asma', and she lost it. The Prophet sent some people to look for it, and the time for prayer came so they prayed without ablution. When they came to the Prophet they complained to him about that, then the Verse of dry ablution was revealed. Usaid bin Hudair said: "May Allah reward you with good, for by Allah, nothing ever happens to you but Allah grants you a way out and blesses the Muslims thereby."
----------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 568

Ek baar kuch Mushrik kashti mein kahi ja rahe thy ke ittefaqan tufaan agaya aur kasti idhar udhar dolne lagi tab kasti per sawar jitney musriqeen thy kehne lage ke Allah Subhanahu ke madad ke bagair wo iss musibat se nijaat nahi paa sakte yh sun kar unhi mein se ek shaqs ne ahad kiya ke agar wo kashti se sahi salamat wapis nikal jayege toh wo islam kabool kar lenge

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hain!

Ek baar kuch Mushrik kashti mein kahi ja rahe thy ke ittefaqan tufaan agaya aur kasti idhar udhar dolne lagi tab kasti per sawar jitney musriqeen thy kehne lage ke Allah Subhanahu ke madad ke bagair wo iss musibat se nijaat nahi paa sakte yh sun kar unhi mein se ek shaqs ne ahad kiya ke agar wo kashti se sahi salamat wapis nikal jayege toh wo islam kabool kar lenge

Sawal 1: wo shaqs kaun thy jinhone uss waqiya ke baad islam qabool kar liya tha? 

A: Dihyah Al-Kalbi Radi Allahu Anhu
B: Musaib Ibn Umair Radi Allahu Anhu
C: Hanzala Ibn Abi Amir Radi Allahu Anhu
D: Zaid Ibn Al-Arqam Radi Allahu Anhu
E: Ammar Bin Yasir Radi Allahu Anhu
F: Suraqa Bin Malik Radi Allahu Anhu
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezar hai


Sawal 2: uss waqiye ka zikr Quran ki kaunsi surah ki tafsir mein hai?

A: Surah Yunus
B: Surah Ankaboot
C: Surah Hud
D: Surah naml
E: Surah Anam
F: Surah Taha
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezar hai

*****************

Sahi Jawab GB✅

Reference 📚:
--------
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
--------
فَإِذَا رَكِبُوا فِي الْفُلْكِ دَعَوُا اللَّهَ مُخْلِصِينَ لَهُ الدِّينَ فَلَمَّا نَجَّاهُمْ إِلَى الْبَرِّ إِذَا هُمْ يُشْرِكُونَ
--------
Al Quran : Phir (mushrik) jab kashti mein sawar hote hain to Allah subhanahu ko pukarte hain aur khalis usee ki ibadat karte hain lekin jab wo unko nijat dekar khushki par phauncha deta hai to foran shirk karne lag jate hain

Surah Ankaboot (29),  Aayat 65
--------------
Ibn Ishaq se rivayat hai Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Makkah Fatha Kiya to Ikrama Bin Abu Jahal Radi Allahu Anhu Waha se nikle aur habash jaane ke irade wo kashti Mai baith gaye, Ittefaq se Sakht tufan aaya aur kashti idhar udhar hone lagi jitne Mushriqeen kashti Mai they sab kahne lage ye moqa Sirf Allah Subhanahu ko pukarne Ka hai utho aur Ikhlas ke sath Allah Subhanahu se duaein Karo iss waqt Nijat ussi ke haath hai ye sunte hi Hazrat Ikrama bin Abu Jahal Radi Allahu Anhu Kaha suno Allah Subhanahu ki Qasam agar Samandar ke iss tufan se Allah Subhanahu Ke siwa koi aur Nijat Nahi de Sakta to khushki ki musibato ko taalne wala bhi wahi hai Allah Subhanahu Main tujhse Ahad karta hu ki agar yaha se bach gaya to seedha jaa kar Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke haath mein haath rakh dunga aur Aap Ka Kalma padhunga Mujhe yaqeen hai ke Allah Subhanahu Ke Rasool Sallallahu Alahai Wasallam meri khataoh se darguzar farmaenge aur mujh par Raham aur Karam farmaenge aur yehi hua bhi (yani unhone Islam Qubul kar liya)
Surah Ankaboot (29),  Aayat 65

Jab Momin banda Qabar mein baithaya jata hai toh is ke pass farishtey aate hain aur wo shahadat deta hain..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jab Momin banda Qabar mein baithaya jata hai toh is ke pass farishtey aate hain aur wo shahadat deta hain.. 

Sawal: Allah Imaan walon ko duniya ki zindagi aur akhirat mein theek baat yani tauheed par mazboot rakhta hai yh ayat Quran mein kaun se Surah mein di gayi hain.

A. Surah Al-Insan
B. Surah Az-Zumar
C. Surah Al Baqarah
D. Surah Ghafir
E. Surah Anam 
F. Surah Ibrahim
G. Inmein se koi nahi 

H. Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - F✅ (Surah Ibrahim: Ayat No. 27)

Reference📚:
-------------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke Momin jab apni Qabar mein baithaya jata hai to is ke paas farishtey aate hain woh shahadat deta hai ke Allah ke siwa koi mabood nahi aur Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain to yeh Allah ke is farmaan ki tabeer hai jo Surah Ibrahim mein hai ke Allah Imaan walon ko duniya ki zindagi aur akhirat mein theek baat yani tauheed par mazboot rakhta hai.
----------------
Narrated Al-Bara' bin 'Azib : The Prophet (p.b.u.h) said,   When a faithful believer is made to sit in his grave, then (the angels) come to him and he testifies that none has the right to be worshipped but Allah and Muhammad is Allah's Apostle. And that corresponds to Allah's statement: Allah will keep firm those who believe with the word that stands firm . . . (14.27). 
-----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 1369

Mahfuhm e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ko roye zameen wale bhi maqbool smajhne lagte hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ko roye zameen wale bhi maqbool smajhne lagte hain?

A: Tahajjud guzar shaqs
B: Waledain ka kidmat guzar shaqs
C: pacho namazo ko bajamat adda karne wala shaqs 
D: Hajj karne wala shaqs
E: Bewa miskeen ki maddat karne wala shaqs
F: Quran ko samajh kar padne wala shaqs
G: Ilm sheekne wala shaqs 
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

************

Sahi Jawab - H✅ (Jis shaqs se Allah Subnahu ta'ala Mohabbat karta hai)

Reference📚:
-------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke jab Allah Subhanahu ta’ala kisi bande se Mohabbat karta hai to Jibraiel Alaihi Salam se farmata hai ke Allah Subahnahu ta’ala falan shakhs se mohabbat karta hai tum bhi is se mohabbat rakho, chunancha Jibraiel Alaihi Salam bhi is se Mohabbat rakhe lagtay hain phir Jibraiel Alaihi Salam tamam ahal aasman ko pukaar dete hain ke Allah Subanahu ta’ala falan shakhs se Mohabbat rakhta hai is liye tum sab log is se Mohabbat rakho, chunancha tamam aasman walay is se Mohabbat rakhne lagtay hain is ke baad roye zameen walay bhi is ko maqbool samajte hain.
-------------
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جب اللہ تعالیٰ کسی بندے سے محبت کرتا ہے تو جبرائیل علیہ السلام سے فرماتا ہے کہ اللہ تعالیٰ فلاں شخص سے محبت کرتا ہے۔ تم بھی اس سے محبت رکھو، چنانچہ جبرائیل علیہ السلام بھی اس سے محبت رکھنے لگتے ہیں۔ پھر جبرائیل علیہ السلام تمام اہل آسمان کو پکار دیتے ہیں کہ اللہ تعالیٰ فلاں شخص سے محبت رکھتا ہے۔ اس لیے تم سب لوگ اس سے محبت رکھو، چنانچہ تمام آسمان والے اس سے محبت رکھنے لگتے ہیں۔ اس کے بعد روئے زمین والے بھی اس کو مقبول سمجھتے ہیں۔ 
-----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3209

Inmein se kis kiss ke liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke wo momin nahi hota hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zyada hain!

Sawal: Inmein se kis kiss ke liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke wo momin nahi hota hain?

A: Achi aur buri taqdeer per joh iman nahi laate
B: Shrarabi sharaab peete waqt
C: Zaani Zina karte waqt
D: Chor chori karte waqt
E: Lootmar karne wala lootmar karte waqt
F: Sood dene wala sood dete waqt
G: Zulmi Zulm karte waqt 

H: Sahi Jawab ka intezaar?

*************

Sahi Jawab - ABCDE✅

Reference📚:
--------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab zaani zina karta hai to is waqt woh momin nahi hota, aur jab sharaabii sharaab peeta hai to is waqt woh momin nahi hota, aur jab chor chori karta hai to woh is waqt momin nahi hota, jab loot maar karne wala logon ki nazron ke samnay loot maar karta hai to is waqt woh momin nahi hota
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 3936
--------------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:”koi bandah momin nahi ho sakta yahan tak ke achi aur buri taqdeer par imaan le aaye, aur yeh yaqeen kar le ke jo kuch usay la-haq huwa hai chokannay wala nahi tha aur jo kuch chowk gaya hai usay la-haq honay wala nahi tha“
--------------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 2144

Mahfuhm e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ko roye zameen wale bhi maqbool smajhne lagte hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq inmein se kaunse shaqs ko roye zameen wale bhi maqbool smajhne lagte hain?

A: Tahajjud guzar shaqs
B: Waledain ka kidmat guzar shaqs
C: pacho namazo ko bajamat adda karne wala shaqs 
D: Hajj karne wala shaqs
E: Bewa miskeen ki maddat karne wala shaqs
F: Quran ko samajh kar padne wala shaqs
G: Ilm sheekne wala shaqs 
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka intezaar

***********

Sahi Jawab - H✅ (Jis shaqs se Allah Subnahu ta'ala Mohabbat karta hai)

Reference📚:
-------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke jab Allah Subhanahu ta’ala kisi bande se Mohabbat karta hai to Jibraiel Alaihi Salam se farmata hai ke Allah Subahnahu ta’ala falan shakhs se mohabbat karta hai tum bhi is se mohabbat rakho, chunancha Jibraiel Alaihi Salam bhi is se Mohabbat rakhe lagtay hain phir Jibraiel Alaihi Salam tamam ahal aasman ko pukaar dete hain ke Allah Subanahu ta’ala falan shakhs se Mohabbat rakhta hai is liye tum sab log is se Mohabbat rakho, chunancha tamam aasman walay is se Mohabbat rakhne lagtay hain is ke baad roye zameen walay bhi is ko maqbool samajte hain.
-------------
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جب اللہ تعالیٰ کسی بندے سے محبت کرتا ہے تو جبرائیل علیہ السلام سے فرماتا ہے کہ اللہ تعالیٰ فلاں شخص سے محبت کرتا ہے۔ تم بھی اس سے محبت رکھو، چنانچہ جبرائیل علیہ السلام بھی اس سے محبت رکھنے لگتے ہیں۔ پھر جبرائیل علیہ السلام تمام اہل آسمان کو پکار دیتے ہیں کہ اللہ تعالیٰ فلاں شخص سے محبت رکھتا ہے۔ اس لیے تم سب لوگ اس سے محبت رکھو، چنانچہ تمام آسمان والے اس سے محبت رکھنے لگتے ہیں۔ اس کے بعد روئے زمین والے بھی اس کو مقبول سمجھتے ہیں۔ 
-----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3209

Allah Subahanhu ne Ye hukm kaunse Nabee ke zamane mein diya tha Eh zameen apna pani nigal ja

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subahanhu ne Ye hukm kaunse Nabee ke zamane mein diya tha 

Eh zameen apna pani nigal ja

A: Adam Alaihi salam 
B; Loot Alaihi salam
C: Saleh Alaihi salam
D: Nooh Alaihi Salam
E: Yusuf Alaihi salam 
F: Yunus Alaihi salam 
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezar hai

***********

Sahih Jawab  D✅

Reference📚:
------------------
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ
----------
وَقِيلَ يَا أَرْضُ ابْلَعِي مَاءَكِ وَيَا سَمَاءُ أَقْلِعِي وَغِيضَ الْمَاءُ وَقُضِيَ الْأَمْرُ وَاسْتَوَتْ عَلَى الْجُودِيِّ ۖ وَقِيلَ بُعْدًا لِّلْقَوْمِ الظَّالِمِينَ
-----------
Aur hukm diya gaya ki eh zameen apna pani nigal ja, aur eh aasman tham ja , to pani khushk ho gaya aur kaam tamam kar diya gaya aur (Nooh Alaihi Salam ki) kashti koh-e-judi par ja thahri aur kah diya gaya ki be insaf logo par laanat
------------
Surah Hud (11), Verse #44

Mahfhum e hadith ke mutabiq yh kis ke liye kaha gaya hai ke iska Amal zaya hogaya?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq yh kis ke liye kaha gaya hai ke iska Amal zaya hogaya?

A: Fajr ki namaz tark karne wala
B: Bagair wazu namaz ada karne par
C: Sehari nahi karne wala
D: Asar ki namaz tark karne wala
E: Ehsaan jatane wala
F: Isha ki namaz tark karne wala
G: Ehlaniya taur per sadqa karne wala
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚: 

Asar ki namaz ki fazeelat
-------
Bureda RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis shakhs ne Namaz Asar tark kar di to is ka amal zaya hogaya.
----------------
 بریدہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ جس شخص نے نماز عصر ترک کر دی تو اس کا عمل ضائع ہو گیا ۔‘‘
-----------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 595

Allah Subhanahu ko kin logon par taajjub hoga?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu ko kin logon par taajjub hoga?

A: Jo Quran ki ayaton ko jhutlaya karte thy
B: Jo Sood ko halal samaj le
C: Jo Qayamat ka inkaar kare
D: Jisne apne sharmgah ki hifazat nahi ki
E: Jo apne walid ka inkaar kare
F: Jo sitaro par iman laye
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - G✅  jo Jannat mein bediyon sameit daakhil honge

Reference📚:
---------------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya”ayse logon par Allah Subhanahu ko taajjub hoga' jo Jannat mein bediyon sameit daakhil honge (yani musalmanoon ne kafiroon ko pakar kar bediyon mein qaid kar diya phir woh musalman hogaye to Allah Subhanahu taala un ko Islam ki wajah se Jannat mein daakhil kar dega to Allah Subhanahu taala aisay logon par taajjub karenge ke yeh log apne kufar ki wajah se paye zanjeer huwe aur islam laa kar jannat mein daakhil ho ge
---------------
Narrated Abu Huraira: The Prophet (ﷺ) said, "Allah wonders at those people who will enter Paradise in chains."
-----------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3010

inmein se kaun hai joh Allah Subhanahu ke nazdeek sab mein se ba-izzat wala hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: inmein se kaun hai joh Allah Subhanahu ke nazdeek sab mein se ba-izzat wala hai?

A: Allah Subhanahu ka bahut ziada zikr karne wala
B: pacho namazo ki hifazat karne wala
C: pakeezgi ki hifazat karne wala
D: Allah Subhanahu se bahut ziada darne wala 
E: Allah Subhanahu ki ayato ka aiteraam karne wala
F: Haram cheezo se bachne wala
G: Tahajjud padhne wala
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar


*****************

Sahi Jawab – D✅

Reference📚:

Bismillahirrahmannirrahim

یٰۤاَیُّہَا النَّاسُ  اِنَّا خَلَقۡنٰکُمۡ  مِّنۡ ذَکَرٍ وَّ اُنۡثٰی وَ جَعَلۡنٰکُمۡ شُعُوۡبًا وَّ قَبَآئِلَ لِتَعَارَفُوۡا ؕ اِنَّ  اَکۡرَمَکُمۡ  عِنۡدَ اللّٰہِ  اَتۡقٰکُمۡ ؕ اِنَّ اللّٰہَ عَلِیۡمٌ خَبِیۡرٌ
--------------
Eh logo! Hum ne tum sab ko ek (he) mard-o-aurat se paida kiya hai aur iss liye ke tum aapas mein ek doosre ko pehchano kunbay aur qabeelay bana diye hain Allah ke nazdeek tum sab mein se ba-izzat woh hai jo sab say ziyada darney wala hai yaqeen mano ke Allah dana aur ba-khabar hai.
--------------
Al Quran – Surat ul Hujraat (49), Ayat No. 13

Inmein se kaunse amal ko shaitan ki taraf se hai kaha gaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se kaunse amal ko shaitan ki taraf se hai kaha gaya hain?

A: Kanjusi karna 
B: Ilm chupana
C: Khayanat karna 
D: Wada khilafi karna
E: Namaz mein jamai ka aana
F: Namaz ke liye susti karna
G: Namaz ki pabandi nahi karna
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

***********

Sahi Jawab - E✅

Reference📚

Abu Huraira Radi Allahu Anhu karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya douran Namaz Jamai aana Shaitan ki taraf se hai, pas jab tum mein se kisi ko jamai aaye to woh Maqdoor bhar usay roknay ki koshish kare.' tirmizi aur isi ki doosri riwayat aur Ibn Maja mein hai woh apne mun par haath rakh le.
------
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ دوران نماز جمائی آنا شیطان کی طرف سے ہے ، پس جب تم میں سے کسی کو جمائی آئے تو وہ مقدور بھر اسے روکنے کی کوشش کرے ۔‘‘ ترمذی اور اسی کی دوسری روایت اور ابن ماجہ میں ہے :’’ وہ اپنے منہ پر ہاتھ رکھ لے ۔‘‘
------- 
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 993

Al-Quran Eman walo ke liye Allah Subhanahu Taa’la inmein se kaun kaunsi baato ko napasandeedah bana diya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hai!

Sawal: Al-Quran Eman walo ke liye Allah Subhanahu Taa’la inmein se kaun kaunsi baato ko napasandeedah bana diya hain?

A: Hasad
B: Kufur
C: Takabbur
D: Gunah
E: Nafarmaani
F: Ilm ka chupana
G: Zulm

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

***********

Sahi Jawab - BDE✅

Reference📚:

Bismillahirrahmannirrahim

وَ اعۡلَمُوۡۤا  اَنَّ  فِیۡکُمۡ رَسُوۡلَ اللّٰہِ ؕ لَوۡ یُطِیۡعُکُمۡ فِیۡ کَثِیۡرٍ مِّنَ الۡاَمۡرِ لَعَنِتُّمۡ وَ لٰکِنَّ اللّٰہَ حَبَّبَ  اِلَیۡکُمُ  الۡاِیۡمَانَ وَ زَیَّنَہٗ  فِیۡ  قُلُوۡبِکُمۡ وَ کَرَّہَ  اِلَیۡکُمُ الۡکُفۡرَ وَ الۡفُسُوۡقَ وَ الۡعِصۡیَانَ ؕ اُولٰٓئِکَ ہُمُ  الرّٰشِدُوۡنَ
-----------

 Aur jaan rakho kay tum mein Allah kay rasool mojood hain agar woh tumhara kaha kertay rahey boht umoor mein, to tum mushkil mein par jao lekin Allah Taalaa ney eman ko tumharay liye mehboob bana diya hai aur issay tumharay dilon mein zeenat dey rakhi hai aur kufur ko aur gunah ko aur nafarmaani ko tumhari nighaon mein napasandeedah bana diya hai, yehi log raah yaafta hain.
---------------
 And know that among you is the Messenger of Allah . If he were to obey you in much of the matter, you would be in difficulty, but Allah has endeared to you the faith and has made it pleasing in your hearts and has made hateful to you disbelief, defiance and disobedience. Those are the [rightly] guided. 
---------------
اور جان رکھو کہ تم میں اللہ کے رسول موجود ہیں  اگر وہ تمہارا کہا کرتے رہے بہت امور میں تو تم مشکل میں پڑ جاؤ لیکن اللہ تعالٰی نے ایمان کو تمہارے  لئے محبوب بنادیا ہے اور تمہارے  دلوں میں زینت دے رکھی ہے اور کفر کو اور گناہ کو اور نافرمانی کو تمہاری نگاہوں میں ناپسندیدہ بنا دیا ہے ،  یہی لوگ راہ یافتہ ہیں ۔  
----------------
Al-Quran Surat tul Hujraat - (49) Ayat No. 007.

Ye aayat إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ Quran mein kaunsi Surah aur aayat mein hai ?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ye aayat إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ Quran mein kaunsi Surah aur aayat mein hai ?

Koi option nahi hai apna jawab khud likhe

G. Sahi Jawab ka intezaar

***********

Sahi jawab - Surah Baqara 2 , Aayat 156✅

Bismillahirrahmanirrahim

155 وَلَنَبْلُوَنَّكُم بِشَيْءٍ مِّنَ الْخَوْفِ وَالْجُوعِ وَنَقْصٍ مِّنَ الْأَمْوَالِ وَالْأَنفُسِ وَالثَّمَرَاتِ ۗ وَبَشِّرِ الصَّابِرِينَ 

156 الَّذِينَ إِذَا أَصَابَتْهُم مُّصِيبَةٌ قَالُوا إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ

157 أُولَـٰئِكَ عَلَيْهِمْ صَلَوَاتٌ مِّن رَّبِّهِمْ وَرَحْمَةٌ ۖ وَأُولَـٰئِكَ هُمُ الْمُهْتَدُونَ 

Surah Baqara 
-----------------
Al Quran : Aur hum tumhe kuch khauff aur bhook aur maalon aur jaano aur phalon(fruits) ke nuqsan se jarur aazmayenge, aur sabr karne walon ko khushkhabri de do. Wo log ki jab unhe koi museebat aati hai to kahte hain "inna lillahi wa inna ilaihi rajeoon" 
(Hum to ALLAH ke hain aur hum usi ki taraf laut kar jane wale hain) 
ye log hain jin par unke RAB ki taraf se meharbaniyan hain aur rahmat hai aur yahi log hidayat pane wale hain 
Al Quran, Surah Baqara 2 , Aayat 155-157

yh misal kis ke liye farmayi gayi hai ke sir mein lohay ki keel thok di jayegi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

 Sawal: yh misal kis ke liye farmayi gayi hai ke sir mein lohay ki keel thok di jayegi 

A: Gair mehram ke saath safar karna
B: Yateem ka maal khane wale ke liye
C: Mazloom ki mazduri waqt par ada nahi karne wale ke liye 
D: Gair mehram se baat karna
E: Maal e ganimat mein se chori karne wala
F: Sadqe maal mein se chori karne wala
G: Inmein se koi nahi

H. Sahi Jawab ka Intezaar

***************

Sahi Jawab : G ✅
(Aisi aurat ko chuway jo is ke liye halal nahi)

Reference📚
------
Makil Bin Yasri se riwayat hai ke kisi  aadmi ke sir mein lohay ki keel thokdi jaye yeh is ke liye is baat se behtar hai k woh aisi aurat ko chuway jo is ke liye halal nahi
-------
 معقل بن یسار سے مرفوعا مروی ہے كہ :كسی آدمی كے سر میں لوہے كی كیل ٹھونك دی جائے یہ اس كے لئے اس بات سے بہتر ہے كہ وہ ایسی  عورت كو چھوئے جو اس كے لئے حلال نہیں۔ 
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1657

La haula wa la Quwwata illa billah




Bismillahirrahmanirrahim

لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

La hawla wa la Quwwata illa billah
----
(Allah ki madad ke bagair gunah se bachne ki taqat aur Neki karne ki quwwat nahi)
----
(There is no might and no power but that of Allah.")

Ek baar ek sahaba aur unki zauja ko Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ne farmaya ke tumhare iss amal ke wajah se Allah Subhanahu Muskuraye ya Khush huwe aur ussi ke wajah se Quran mein bhi ek Aayat nazil farmayi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain!

Ek baar ek sahaba aur unki zauja ko Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ne farmaya ke tumhare iss amal ke wajah se Allah Subhanahu Muskuraye ya Khush huwe aur ussi ke wajah se Quran mein bhi ek Aayat nazil farmayi

Sawal1 Wo kaunsa Amal tha?

A: Sadqa karne ki wajah se jabke sabse zaida paiso ke zaroorat mand wo khud thy
B: Mehman ko khana kilane ki wajah se jabke wo khud bhuke thy
C: Padosi ko khana khilane ki wajah se jabke wo khud khana nahi kaye thy
D: Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam ki dawat ki thi jab ke unke pass khana bahut kum tha
E: kisi janwar ko pani pilaya tha jab ke wo dono khud pyase thy
F: Apne bacho ko bhuka rakh kar apne padosi ko khana khilane ki wajah se 
G: Inmein se koi nahi

Sawal2: Allah Subhanahu ne kaunse surah ki aayat nazil farmayi?

A: Surah Al Maeeda
B: Surah Ankaboot
C: Surah Luqman
D: Surah Hashar 
E: Surah Haqqa 
F: Surah Al Baqarah
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

******************************

Sahi Jawab - B/D✅

Reference📚:
----------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke ek aadmi Nabi Sallallahu Alahi WaSallam ke paas aaya aur kehnay laga mujhe sakht bhook lagi hai, ( aur aik riwayat mein hai mein bhooka hon) Aap ne apni biwion ki taraf paigham bheja, to unhon ne kaha is zaat ki qasam jis ney Aap ko haq dekar bheja hai hamaray paas sirf pani hai, Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ne farmaya is shakhs ko kaon milayega, ya mehman nawazi karega Allah Subhanahu is par reham farmaiye ek Ansari jis ka naam Abu Talha RadiAllahu Anhu tha, ne kaha mein, phir woh le kar apni biwi ke paas aaye aur kaha Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ke mehman ki khatir madarat koi cheez chhupa kar na rakho is ney kaha (wallah) hamaray paas to sirf bachon ka khana hai Abu Talah ne kaha khana tayyar karo, chirag durust karo, aur jab bachay raat ka khana mangeen to bachon ko sulaa doh, is ne khana tayyar kiya chirag durust kiya aur bachon ko sula diya, phir woh khari huien goya ke chairag durust kar rahi hain aur usay bujha diya, aur dono (Abu Talha aur un ki biwi) Maheman par zahir karne lagey ke woh bhi khana kha rahe hain. (mehman ney khana kha liya) un dono ney bhukay raat guzari jab subah huwi, Abu Talah Rasool-Allah Sallallahu Alahi WaSallam ke paas gaye to Aap ne farmaya Allah ta’ala tum dono ke tumahray maheman ke saath Amal ki wajah se Muskuraya ya khush huwa, aur Allah Azzwajal ne yeh aayat nazil farmai (Surah Al Hashr 09) aur yeh log apne upar dosaron ko tarjeeh dete hain agarchay yeh khud sakht zaroorat mand hon aur jo log apne nafs ki bakhili se bacha liye gaye to yahi log Falah pane wale hain.
--------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 151

Aur tumhe Duniya ki Zindagi ne dhokay mein daal diya tha








Bismillahirrahmannirrahim

وَغَرَّتْكُمُ الْحَيَاةُ الدُّنْيَا
----
Aur tumhe Duniya ki Zindagi ne dhokay mein daal diya tha
----
 اور تمہیں دنیا کی زندگی نے دھوکے میں ڈال دیا تھا 
----
और तुम्हे दुनिया की ज़िंदगी ने धोके में डाल दिया था
----
And the Life of the World deceived you.
---- 
Surah Al-Jathiya: (45:35)

SubhanAllah Alhumdulilah La ilaha ilalah Allah hu Akbar,




Bismillahirrhamanirrahim

سُبْـحَانَ اللَّهِ
 SubhanAllah
Glory be to Allah
Allah ki zaat paak hai
-----------
وَالْحَمْـدُ لِلَّهِ
Wal Alhumdulillah
Praise be to Allah
Tamam tarife Allah ke liye hain
----------
وَلاَ إِلَـٰهَ إِ لاَّ اللَّهُ
Wa La ilaha illAllah
There is no God except Allah
Allah ke siwa koi maabood nahi
-----------
وَا للَّهُ أَ كْبَـرُ
WalAllahu Akbar
Allah is the Greatest
Allah sabse bada hai

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,





Fi Amanillah















Bismillahirrahmannirrahim

في امان الله
----
Fi Amanillah
---
Allah apki hifazat farmaye
---
May Allah Protect You.


JazakAllahu Khairan and Wa Antum fa JazakAllahu khairan











Rasool-Allah Sallahu Alahe waSallam ne kis ke liye farmya ke yh Allah Subhanahu se koso dur hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal : Rasool-Allah Sallahu Alahe waSallam ne kis ke liye farmya ke yh Allah Subhanahu se koso dur hain?

A. Sakht mijaaz 
B. Zina karne wale
C. Sood khor
D. Bahut zaida bolne wale
E. Na shukri karne wale
F. Sakht Dil
G. Zulm karne wale
H. Inmein se koi nahi

I. Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar jawab H hai toh apna sahi jawab likhiye!

*********

Sahi Jawab - F✅

Reference📚"
--------
Ibn Umar RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya Allah Subahnahu ke zikr ke siwa ziada baatein na kiya karo kuyki Allah Subahanhu ke zikr ke siwa ziyada batein dil ki sakhti Qasadat (yani Sakhti) ka baais hain aur sakht dil shakhs Allah Subahanhu se koso dur hain.
----
ابن عمر ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ (ﷺ) نے فرمایا :’’ اللہ کے ذکر کے سوا زیادہ باتیں نہ کیا کرو ، کیونکہ اللہ کے ذکر کے سوا زیادہ باتیں کرنا دل کی قسادت (سختی) کا باعث ہیں ۔ اور سخت دل شخص اللہ سے کوسوں دور ہے ۔‘‘    اسنادہ حسن ، رواہ الترمذی (۲۴۱۱)
-----
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 2276

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...