Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 8 July 2020

Jannat walo aur Jahannum walon ya naiko karo yh badkaron ki pehchan kaise hogi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Jannat walo aur Jahannum walon ya naiko karo yh badkaron ki pehchan  kaise hogi

A: Achchi baat karna aur buri baat karna
B: Allah ka zikr karne wale aur Allah ke zikr se muh modne wale
C: Achchi aur buri tareef karke
D: Achche amal aur bure amal karne ki wajah se
E: Achche aur bure dost ki wajah se
F: Achchi aur buri niyat ki wajah se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahu jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*****************

Sahi Jawab - C✅

Achchi aur buri tareef ke zariye se Insan Jannat walon aur Jahannum walon ya naiko karon aur badkaaron ko pehchan sakta hain

Reference📚:
-------
Syedna Zaheer Saqfi RadiAllahu Anhu se riwayat hai wo kehte hain mein ne Taif mein nabao maqam par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ko yeh farmatay huwe suna Logo! beshak qareeb hai ke tum Jannat walon aur Jahannum walon ya naiko karon aur badkaaron ko pehchan lo. Ek bande ny kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam woh kaisay? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ny farmaya buri aur achi tareef ke zariye, darasal tum ek dusre par gawahi dene mein Allah Subhanahu taala ke gawah ho .
-----
 ۔ سیدنا زہیر ثقفی ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے طائف میں نباوہ مقام پر نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا: لوگو! بیشک قریب ہے کہ تم جنت والوں اور جہنم والوں یا نیکوکاروں اور بدکاروں کو پہچان لو۔ ایک بندے نے کہا: اے اللہ کے رسول! وہ کیسے؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: بری اور اچھی تعریف کے ذریعے، دراصل تم ایک دوسرے پر گواہی دینے میں اللہ تعالیٰ کے گواہ ہو۔
------
Musnad Ahmed#10032-Sahih

Kiske liye Allah Subhanahu bakshish nahi karega agar che Rasool-Allah Salllahllahu Alaihi wasallam unke liye astagfaar bhi kare

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kiske liye Allah Subhanahu bakshish nahi karega agar che Rasool-Allah Salllahllahu Alaihi wasallam unke liye astagfaar bhi kare

A: jo Jhaad-foonk karte hain
B: jo musalman se zulm aur ladayi karte hain
C: jo Allah aur uske Rasool se kufr karte hain
D: jo kisi musalam ki bezzati karta hain
E: jo Quran ke bare mein jahgahte hain
F: jo Maut se pehle tauba nahi karte
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

**************

Sahi Jawab - C✅

Jo Allah Subahnahu aur uske Rasool Sallallahu Alaihi wasallam se kufr kare aise fasik logo ko Allah Subhanahu nahi bakshega

Reference📚:
-------
Bismillahirrahmannirrahim

اِسۡتَغۡفِرۡ لَہُمۡ اَوۡ لَا تَسۡتَغۡفِرۡ لَہُمۡ ؕ اِنۡ تَسۡتَغۡفِرۡ لَہُمۡ سَبۡعِیۡنَ مَرَّۃً  فَلَنۡ یَّغۡفِرَ اللّٰہُ  لَہُمۡ ؕ ذٰلِکَ بِاَنَّہُمۡ کَفَرُوۡا بِاللّٰہِ وَ رَسُوۡلِہٖ ؕ وَ اللّٰہُ  لَا یَہۡدِی الۡقَوۡمَ الۡفٰسِقِیۡنَ
-----
Eh Nabi un ke liye toh Astaghfar kar ya na kar agar tu (70) sattar martaba bhi un ke liye Astaghfar kare to bhi Allah Subhanahu inhen hargiz nahi bakhshay ga yeh is liye ke unhon ne Allah Subhanahu se aur is ke Rasool se kufar kiya hai aise fasik logon ko RABB Kareem Hidayat nahi deta
-----
Ask forgiveness for them, [O Muhammad], or do not ask forgiveness for them. If you should ask forgiveness for them seventy times - never will Allah forgive them. That is because they disbelieved in Allah and His Messenger, and Allah does not guide the defiantly disobedient people. 
------
 ان کے لئے تو استغفار کر یا نہ کر ۔  اگر تو ستر مرتبہ بھی ان کے لئے استغفار کرے تو بھی اللہ انہیں ہرگز نہ بخشے گا  یہ اس لئے کہ انہوں نے اللہ سے اور اس کے رسول سے کفر کیا ہے  ایسے فاسق لوگوں کو رب کریم ہدایت نہیں دیتا ۔  
----
Al Quran Surah At Tawba: (09:80)

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...