Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 8 July 2020

Jannat walo aur Jahannum walon ya naiko karo yh badkaron ki pehchan kaise hogi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Jannat walo aur Jahannum walon ya naiko karo yh badkaron ki pehchan  kaise hogi

A: Achchi baat karna aur buri baat karna
B: Allah ka zikr karne wale aur Allah ke zikr se muh modne wale
C: Achchi aur buri tareef karke
D: Achche amal aur bure amal karne ki wajah se
E: Achche aur bure dost ki wajah se
F: Achchi aur buri niyat ki wajah se
G: Inmein se koi nahi

H: Sahu jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*****************

Sahi Jawab - C✅

Achchi aur buri tareef ke zariye se Insan Jannat walon aur Jahannum walon ya naiko karon aur badkaaron ko pehchan sakta hain

Reference📚:
-------
Syedna Zaheer Saqfi RadiAllahu Anhu se riwayat hai wo kehte hain mein ne Taif mein nabao maqam par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ko yeh farmatay huwe suna Logo! beshak qareeb hai ke tum Jannat walon aur Jahannum walon ya naiko karon aur badkaaron ko pehchan lo. Ek bande ny kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam woh kaisay? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ny farmaya buri aur achi tareef ke zariye, darasal tum ek dusre par gawahi dene mein Allah Subhanahu taala ke gawah ho .
-----
 ۔ سیدنا زہیر ثقفی ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے طائف میں نباوہ مقام پر نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا: لوگو! بیشک قریب ہے کہ تم جنت والوں اور جہنم والوں یا نیکوکاروں اور بدکاروں کو پہچان لو۔ ایک بندے نے کہا: اے اللہ کے رسول! وہ کیسے؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: بری اور اچھی تعریف کے ذریعے، دراصل تم ایک دوسرے پر گواہی دینے میں اللہ تعالیٰ کے گواہ ہو۔
------
Musnad Ahmed#10032-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...