Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 18 August 2020

Beshaq Shaitan insan ke liye bhediya hai jiss tarah bakriyon ke liye bhediya hota hai jaise he bakriya alaidah hoti hai bhediya usse pakad leta hai....

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hai

Beshaq Shaitan insan ke liye bhediya hai jiss tarah bakriyon ke liye bhediya hota hai jaise he bakriya alaidah hoti hai bhediya usse pakad leta hai....

Sawal: iss se bachne ke liye Rasool-Allah ne kya lazim pakadne ko kaha

A:  Achche Aklaq

B: Jammat

C: Majlison

D: Masjidon

E: Ulmao

F: Taqdeer

G: Eman

H: Aam Musalmano

I: Sahi Jawab ka intezaar

***************

Sahi Jawab - BDH✅

Beshaq Shaitan Insaan ke liye bediya hai isliye Jammat Masjidon aur Aam Musalmano se jude raho

Reference📚:

----

Sayedna Ma'az bin Jabal RadiAllahu Anhu se riwayat hai Ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Beshaq Shaitan Inshan ke Liye Us Tarah Ka bhediya hai jaise Bakriyon Ka bhediya hota hai Jo durr jane Wali Aur Alaidah rahne Wali  bakri ko pakadta hai pus Tum Ghatio se bacho aur Jama'at, Aam Musalmano aur Masjid ko Lazim pakdo۔

----

سیّدنا معاذ بن جبل  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مرو ی ہے کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: بے شک شیطان انسان کے لیے اسی طرح کا بھیڑیا ہے، جیسے بکریوں کا بھیڑیا ہوتا ہے، جو دور جانے والی اور علیحدہ رہنے والی بکری کو پکڑ لیتا ہے، پس تم گھاٹیوں سے بچو اور جماعت، عام مسلمانوں اور مسجد کو لازم پکڑو 

------

Musnad Ahmed#2463-Sahih


Kis shaqs ke liye farmaya ke goya usne Zinda dafan kiye gaye shakh ko zindagi di

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kis shaqs ke liye farmaya ke goya usne Zinda dafan kiye gaye shakh ko zindagi di

A: Sunnatoh ko zinda karne wale

B: kisi ke Aibo ki parda poshi karne wala

C: 2 betiyon ki parwarish karne wala

D: Yateem ki khair khuwayee karne wala

E: Beti ki achchi tarbiyat karne wale

F: Sila Rehami karne wale

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar


Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye❗

*******************

Sahi Jawab - B✅

Aibo ki parda poshi karne wale shaqs ki misal

Reference:📚

Uqbah bin Aamir RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis ne (kisi ka) koi Aib dekha aur is ki parda poshi ki toh woh is shakhs ki terhan hai jis ne zindah dargurr ko zindah kiya

----

عقبہ بن عامر ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جس نے (کسی کا) کوئی عیب دیکھا اور اس کی پردہ پوشی کی تو وہ اس شخص کی طرح ہے جس نے زندہ درگور کو زندہ کیا ۔‘‘ احمد ، ترمذی ، اور انہوں نے اسے صحیح قرار دیا ۔      ، رواہ احمد و الترمذی ۔ 

-----

Mishkat ul Masabeeh#4984-Sahih

Inmein se kis kis ko Allah Subhanahu ke behtareen bande kaha gaya hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziyada hai❗


Sawal: Inmein se kis kis ko Allah Subhanahu ke behtareen bande kaha gaya hai


A: Padosi ka haq aada karne wale 

B: Salam mein pehal karne wale

C: Hosla afzayee karne wale

D: Logo ko neiki ka hukum dene wale 

D: Gussa na karne wale 

E: Wazu Ka ehtamam karne wale 

F: Sadqa karne wale 

G: Mukammal Haq dene wale


H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************


Sahi Jawab - CG✅


Ummat ke behtareen bande

Reference:📚

----

Abu Hameed Shadri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya yaqeenan iss Ummat mein Allah Subhanahu ke behtareen bande wo hai jo pura Haq dene wale aur hosla afzayee karne wale hai

----

ابو حمید ساعدی رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی (رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا) ہے کہ یقیناً اس امت میں اللہ کے بہترین بندےوہ ہیں جو پورا حق دینے والے اور حوصلہ افزائی کرنےوالےہیں

----

Al-Silsila-tus-Sahiha # 67-Sahih

Al Radifah (الرَّادِفَۃُ) se kya murad hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Al Radifah  (الرَّادِفَۃُ) se kya murad hai

No option apna jawab khud likhiye

H: Sahi Jawab ka Intezaar

******************

Sahi Jawab - (Doosri baar Soor phonkana)✅

Reference:📚

-----

Ibn Abbas RadiAllahu Anhu ne Allah taala ke farmaan ( فإذا نقر فیْ الناقوْر ) ki Tafseer mein farmaya : (الرَّاجِفَۃُ) se pehli baar soor phonka jana jabkay  (الرَّادِفَۃُ) se doosri baar soor phonka jana murad hai.

-----

عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ قَالَ فِي قَوْلِهِ تَعَالَى (فإِذا نُقر فِي النَّاقور)

: الصّور قَالَ: و (الرجفة)

: النَّفْخَةُ الْأُولَى وَ (الرَّادِفَةُ)

: الثَّانِيَةُ. رَوَاهُ الْبُخَارِيُّ فِي تَرْجَمَة بَاب

----

ابن عباس ؓ نے اللہ تعالیٰ کے فرمان (فَإِذَا نُقِرَ فِیْ النَّاقُوْرِ) کی تفسیر میں فرمایا : (الرَّاجِفَۃُ) سے پہلی بار صور پھونکا جانا جبکہ (الرَّادِفَۃُ) سے دوسری بار صور پھونکا جانا مراد ہے ۔ امام بخاری ؒ نے اسے ترجمۃ الباب میں روایت کیا ہے ۔     رواہ البخاری (کتاب الرقاق باب ۴۳ قبل ح ۶۵۱۷ تعلیقا) ۔ 

----

Mishkat ul Masabeeh#5529-Sahih

Allah ki zaat paak hai aur wahi sare jahan ka palne wala hai





Bismillahirrahmanirrahim

سُبْحَانَ اللَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
--
Subhan'Allaahi Rabbil Aalamin
--
Allah ki zaat paak hai aur wahi sare jahan ka palne wala hai
--
اللہ کی ذات پاک ہے اور وہی سارے جہاں کا پالنے والا ہے
--  
Glory be to Allah the lord of the world
--
Surah An-Naml (27: 08)

 

Quran majid padhne ka sawab







Bismillahirrahmanirraheem

✦ Quran majid padhne ka sawab
---------------------------------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne Quran majid mein se ek haraf padha to usko iske badle ek neki di jayegi aur har neki ka sawab das guna hai main ye nahi kahta ki Alif-Laam-Meem (ek) haraf hai bulki Alif ek haraf hai Laam ek haraf hai aur meem bhi ek haraf hai ( yani koi musalman Alif-Laam-Meem padhda hai to usko 3 neki milti hain jiska sawab 30 nekiyo ke barabar hota hai)
Jamia Tirmizi, Jild 2, 819-Hasan
---------------------------------
Aaeeye Hum aur aap bhi Surah Al-Fatiha ko padhkar bahut sara sawab hasil kar lete hain in Sha Allah 
---------------------------------
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
✦ Allah ke naam se shuru jo bada meharban nihayat raham wala hai

الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
✦ Sab tarah ki taarif Allah subhanahu hi ke liye hain jo tamam makhluqat ka RABB hai

الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
✦ bada meharban nihayat raham wala 

مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
✦ Insaf ke din ka haakim

إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
✦ (Ya RABB) Hum teri hi ibadat karte hain aur tujhi se madad maangte hain

اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ
✦ Humko seedhe raaste par chala

صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ 
✦ Un logo ke raaste par jin par tu apna fazal aur karam karta raha

غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ
✦ Na ki unke jin par tu gussa hota raha aur na gumraho ke

-------------------------------------
Bismillahirrahmanirrahim

✦ The Virtue and reward of reciting Quran 
---------------------
✦ The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever recites a letter from Allah's Book (Quran) , then he receives the reward from it, and the reward of ten the like of it. I do not say that Alif Lam Mim is a letter, but Alif is a letter, Lam is a letter and Mim is a letter. (So whoever recite just Alif-lam-Meem he will get 3 reward which will be equal to 30 reward in sha Allah) 
Jamia Tirmizi, Book 42, Hadith 2910-hasan
-----------
Lets recite Surah Al-fatiha and get lot of reward In sha Allah
-----------
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
✦ In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful 

الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
✦ All the praises and thanks be to Allah, the Lord of the Alamin (mankind, jinn and all that exists). 

الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
✦ The Most Gracious, the Most Merciful. 

مَالِكِ يَوْمِ الدِّينِ
✦ The Only Owner (and the Only Ruling Judge) of the Day of judgement

إِيَّاكَ نَعْبُدُ وَإِيَّاكَ نَسْتَعِينُ
✦ You (Alone) we worship, and You (Alone) we ask for help (for each and everything).

اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ
✦ Guide us to the Straight Way. 

صِرَاطَ الَّذِينَ أَنْعَمْتَ عَلَيْهِمْ 
✦ The Way of those on whom You have bestowed Your Grace , 

غَيْرِ الْمَغْضُوبِ عَلَيْهِمْ وَلَا الضَّالِّينَ
not (the way) of those who earned Your Anger ,nor of those who went astray 
✦ Al Quran, Surah Al-Fatiha

 

Jo shakhs Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darkht laga diya jata hai



Bismillahirrahmanirrahim

Jo shakhs Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darkht laga diya jata hai
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi kahta hai uske liye Jannat mein khajur ka ek darkht laga diya jata hai
Sahih Ibn Hibban , 834-Hasan
----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو شخص: «سبحان الله العظيم وبحمده» کہے گا اس کے لیے جنت میں کھجور کا ایک درخت لگایا جائے گا“۔ 
صحیح ابن حبان ٨٣٤-حسن
---
 ✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स सुबहान अल्लाहिल अज़ीम वा बिहम्दिही  कहता है उसके लिए जन्नत में खजूर का एक दरख़्त लगा दिया जाता है
सही इब्न हिब्बान , 834
---
✦ Rasool Allah  Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever says Subhan Allahil Azim, Wa Bihamdehi A date-palm tree is planted for him in Paradise.
Sahih Ibn Hiban , 834-Hasan

 

As Salamu Alekum and Walekum As Salam












السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ

Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkatein aap par Nazil ho

 

Is Azkar ko padhne par iske har kalme ke badle Jannat mein ek darakht laga diya jata hai

 











Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Is Azkar ko padhne par iske har kalme ke badle Jannat mein ek darakht laga diya jata hai
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jis shakhs ne Kaha

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

SubhanAllah walhamdulillah walailaha illAllah wallahuAkbar
Allah Subhanahu har kalme ke badle uske liye Jannat mein ek darakht laga dega
Al-Silsila-As-Sahiha-2971
-------
رسول اللہ ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جس شخص نے کہا
 سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ
 اللہ تعالیٰ ہر کلمے کے بدلے اس کے لئے جنت میں ایک درخت لگا دیگا
-------
✦  रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया जिस शख्स ने कहा
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ
सुबहानअल्लाह वाल्हम्दुलिल्लाह वालाईलाहा ईल्लल्लाह वल्लाहु अकबर 
अल्लाह सुबहानहु हर कलमे के बदले उसके लिए जन्नत में एक दरख़्त लगा देगा 
अल-सिलसिला-स-सहिहा-2971 
------
Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith :  If anybody says these words Allah will plant a tree in the paradise for him for each words of it

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said if anybody says 

 سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلا إِلَهَ إِلا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ

SubhanAllah walhamdulillah walailaha illAllah wallahuAkbar, 
Allah will plant a tree in the paradise for him  for each words of these Azkar
Al-Silsila-As-Sahiha-2971


Zohar se pehlay ki chaar rakate sehri (Tahhajjud) ki namaz ke barabar hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Zohar se pehlay ki chaar rakate sehri (Tahhajjud) ki namaz ke barabar hain
------
Abu Saleh RadiAllahu Anhu se marfua marsala rivayet hai, Zohar se pehlay ki chaar rakate sehri (Tahhajjud) ki namaz ke barabar hain
-----
ابو صالح سے مرفوعا مرسلا روایت ہے ،ظہر سے پہلے كی چار ركعات سحری(تہجد) كی نماز كے برابر ہیں۔
-----
عن أبي صَالَحٍ مَرفُوعاً مُرْسَلًا:  أَرْبَعُ رَكَعَاتٍ قَبْلَ الظُّهْر يَعدِلْنَ بِصَلَاةِ السَحَرِ
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#536- Sahih

 

100 baar SubhanAllaah Kehne ki Fazilat






Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: 100 baar SubhanAllah kehne ki fazilat
------
Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum rozana 1000 hazaar neki karne se aajiz aa gaye ho? unhon ne kaha bhala kaun itni nekiyon ki taaqat rakhta hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: 100 baar SubhanAllah kahe diya karo, is ke liye 1000 hazaar nekiyan likh di jayengi aur 1000 hazaar buraiyan mita di jayengi
Musnad Ahmed#5459-Sahih
------

رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  کیا تم روزانہ ایک ہزار نیکی کرنے سے عاجز آ گئے ہو؟  انھوں نے کہا: بھلا کون اتنی نیکیوں کی طاقت رکھتا ہے؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  سو (۱۰۰) بار سُبْحَانَ اللّٰہِ کہہ دیا کرے، اس کے لیے ایک ہزار نیکیاں لکھ دی جائیں گی اور ایک ہزار برائیاں مٹا دی جائیں گی۔ 
------
Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: The virtue of saying 100 times SubhanAllah
----
Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam said said: Are you unable to do a 1000 good deeds every day? He said: Who has the power to do so many good deeds? The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: He should say SubhanAllah 100times, for him a 1000 good deeds will be written down and a 1000 evils will be erased.
Musnad Ahmed#5459-Sahih


 

Ummat ke behtareen bande




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Ummat ke behtareen bande
----
Abu Hameed Shadri RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya yaqeenan iss Ummat mein Allah Subhanahu ke behtareen bande wo hai jo pura Haq dene wale aur hosla afzayee karne wale hai
----
ابو حمید ساعدی رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی (رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا) ہے کہ یقیناً اس امت میں اللہ کے بہترین بندےوہ ہیں جو پورا حق دینے والے اور حوصلہ افزائی کرنےوالےہیں
----
Al-Silsila-tus-Sahiha # 67-Sahih

 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...