Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Thursday, 13 August 2020
La Ilaha IlAllah
Joh logo ko apna maal dene se bakhili kare uske liye kya Irshad farmaya gaya hai
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
❗Jawab ek se ziyada hain
Sawal: Joh logo ko apna maal dene se bakhili kare uske liye kya Irshad farmaya gaya hai
A: Wo halak huwe
B: Wo khud par sadqa kare
C: Wo sadqa apne ristedaaro se shuru kare
D: Khud par khana aur pehnane ke liye karch kare
E: Wo sadqa apne app se shuru kare
F: Ghar par karch kare
G: Kum se kum kisi ko dhek kar muskura de
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**************
Sahi Jawab - BDE✅
Allah Subhanahu ke maal se, apne aap ko Allah se khareed lo.
Reference📚:
-----
Abu Qatadeh RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh logo! Allah ke maal se, apne aap ko Allah se khareed lo, agar tum mein se koi bakhili kare woh logon ko apna maal dene se, to pehlay apne aap se shuru kare, Allah ke diye huwe maal mein se khud par Sadqa kare khaye aur pehnay
------
ابو قتادہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اے لوگو ! اللہ كے مال سے، اپنے آپ كو اللہ سے خرید لو، اگر تم میں سے كوئی بخیلی كرے، وہ لوگوں كو اپنا مال دینے سے، تو پہلے اپنے آپ سے شروع كرے، اللہ كے دیئے ہوئے مال میں سے خود پر صدقہ كرے، كھائے اور پہنے
------
Al-Silsila-tus-Sahiha#1423-Sahih
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse istemaal kar leta hai…
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse istemaal kar leta hai…
Sawal: yaha istemaal se kya muraad hai?
A: Waledain ki kidmat karne ki hidayat deta hai
B: Burai se mehfooz kar deta hai
C: Namaz ka paband bana deta hai
D: logo mein mehboob bana deta hai
E: Ache Amal ki taufeef deta hai
F: Hadse wali maut se mehfuz farma deta hai
G: Neik logo mein shamil kar deta hai
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka intezaar
*************
Sahi Jawab - E✅
Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse Achche Amal ki taufeeq deta hai…
Reference📚:
Umar Jamee RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab Allah Subhanahu taala apne bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh woh usse istemaal kar leta hai qoum mein se ek aadmi ne poocha usay istemaal karta hai, is se kya muraad hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala usay maut se pehlay achay Amal ki taufeeq de deta hai, phir usse isi haalat mein maut de deta hai.
-----
عمر جمعی رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جب اللہ تعالیٰ اپنے بندے کے ساتھ بھلائی کا ارادہ کرتا ہے تووہ اسے استعمال کر لیتا ہے۔ قوم میں سے ایک آدمی نے پوچھا: اسے استعمال کرتا ہے، اس سے کیا مراد ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ اسے موت سے پہلے اچھے عمل کی توفیق دے دیتا ہے، پھر اسے اسی حالت میں موت دے دیتا ہے۔
-----
Musnad Ahmed#2983-Sahih
La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar, wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah
La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
Sone se pahle aur Qayamat Ke Azab Se bachne ki Duasone
Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
Iss ummat ke aksar Munafiq Qaari honge
Agar Allah Tumhari Madad Kare Toh Koi TUM Per Galib Nahi Aa Sakta
Wo log jinko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki shaffat fahida nahi dengi
Dua e Masoora - yani Namaz mein Attahiyat aur Durud e Ibrahim ke baad padhne ki dua
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...