Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday, 21 November 2020

Dua Ibadat hain isliye RABB ke khoob duaien maaga karo



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Dua Ibadat hain isliye RABB ke khoob duaien maaga karo
------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Dua Ibadat hain, tumhara RABB farmata hain

‏قَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُم

mujhse Dua karo, Mein tumhari Dua qubool karoonga“ (Surah Ghafir: 60)
-----
Narrated An-Nu'man ibn Bashir: The Prophet (ﷺ) said: Supplication (du'a') is itself the worship.
(He then recited:) "And your Lord said: Call on Me, I will answer you" (40.60).
------
نعمان بن بشیر رضی اللہ عنہما کہتے ہیں کہ نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا : ” دعا عبادت ہے ۱؎ ، تمہارا رب فرماتا ہے : مجھ سے دعا کرو ، میں تمہاری دعا قبول کروں گا “ ( سورۃ غافر : ۶۰ ) ۔
-------
Sunan Abi Dawud 1479 / Surah Ghafir: (40:60)


 

Apne RABB ki taraf wapis ho yun ke tu iss se raazi wo tujh se raazi




Bismillahirrahmannirrahim

ارْجِعِي إِلَىٰ رَبِّكِ رَاضِيَةً مَّرْضِيَّةً
------
Apne RABB ki taraf wapis ho yun ke tu iss se raazi wo tujh se raazi
------
اپنے رب کی طرف واپس ہو یوں کہ تو اس سے راضی وہ تجھ سے راضی
------
Return to your Lord, well-pleased and pleasing [to Him]
------
Surah Al Fajar: (89:28)


 

kis ke neik amal zaya kar diye jate hain

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kis ke neik amal zaya kar diye jate hain 

A: Rasool- Allah Sallalahu Alaihi wasallam ka naam sunke darood nahi padhne wale
B: Gussa karne wale 
C: dikhawe ke liye Namaz padhne wale
D: Salam mein bhukhl karne wale
E: jo logo se sawal karta hain
F: Jhoot bolne wale
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar

***********

Sahi Jawab - G✅

Jisne Asar ki Namaz chodhe di uske neik amal zaya hogaye

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke jis ne Asar ki Namaz chodhe di, is ke Neik amal zaya ho gaye
----
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس نے عصر کی نماز چھوڑ دی، اس کا نیک عمل ضائع ہو گیا۔
-----
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said,   Whoever leaves the `Asr prayer, all his (good) deeds will be annulled. 
----
Sahih Bukhari Hadees#553

kaunsa amal ke liye farmaya gaya hain ke ye hidayat ke raston mein se ek rasta hain

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: kaunsa amal ke liye farmaya gaya hain ke ye hidayat ke raston mein se ek rasta hain


A: Sila Rehami
B: Maut
C: Salam mein pehal karna
D: Laa illaha illallaha ka iqrar
E: Namaz 
F: deen ki dawat dena
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar


********


Sahih Jawab - E✅


Namaz ki hifazat karna hidayat ke rastoh mein se ek rasta hain 
----------
Abdullah bin Masood RadiAllahu se rivayat hai ki jis shakhs ko iss baat ki khushi ho ke kal Qayamat ke din Allah Subhanahu se iss haal mein mile ke wo Muslman ho to wo un pancho Namazoh ki hifazat karen jab unki Azan di jaye, kyu ke Allah Subhanahu ne Apne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke liye hidayat ke raste muqarrar kar diye hain,aur ye namazein hidayat ke rastoh mein se ek rasta hai ager tum apne gharoh he mein Namaz padhoge aur apni Masjidoh ko chorh doge to tum apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka tareeqa chorh doge aur ager tum apne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ka tareeqa chorh doge to tum gumarah ho jaoge.
----------
حضرت عبداللہ ( بن مسعود ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ) سے روایت کی ، کہا : جو یہ چاہے کہ کل ( قیامت کے دن ) اللہ تعالیٰ سے مسلمان کی حیثیت سے ملے تو وہ جہاں سے ان ( نمازوں ) کے لیے بلایا جائے ، ان نمازوں کی حفاظت کرے ( وہاں مساجد میں جا کر صحیح طرح سے انھیں ادا کرے ) کیونکہ اللہ تعالیٰ نے تمھائے نبی ﷺ کے لے ہدایت کے طریقے مقرر فرما دیے ہیں اور یہ ( مساجد میں باجماعت نماز یں ) بھی انھی طریقوں میں سے ہیں ۔ کیونکہ اگر تم نمازیں اپنے گھروں میں پڑھو گے ، جیسے یہ جماعت سے پیچھے رہنے والا ، اپنے گھر میں پڑھتا ہےتو تم اپنے نبی کی راہ چھوڑ دو گے اور اگر تم اپنے نبی کی راہ کو چھوڑ دو گے تو گمراہ ہو جاؤ گے
--------
It was narrated that Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu said Whoever would like to meet Allah tomorrow as a Muslim, let him regularly attend these five (daily) prayers whenever the call for them is given ( in the Masjid), for Allah prescribed for His Prophet the ways of guidance, and they (the prayers) are part of those ways of guidance.if you were to pray in your houses and forsake the Masjids, you would be forsaking the Sunnah of your Prophet, and if you were to forsake the Sunnah of your Prophet you would go astray.
Sunan Nasai- 850-Sahih

kisi se jhaghda karna ya gaali dene per kya kaffara hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kisi se jhaghda karna ya gaali dene per kya kaffara hain

A: uss shaqs se maafi mange 
B: tauba astagfaar kare
C: 1 roza rakhe
D: sadqa de
E: Miskeen ko kahna khilaye
F: Nafil Namaz padhe
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - G✅

Har jhaghde ya gaali ka kaffara do rakate hain

Reference📚:
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai har jhaghde (ya gaali) ka kaffara do rakate hain.
------
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the expiation for every quarrel (or abuse) is two rak'ahs.
----
ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے: ہر جھگڑے (یا گالی ) کاكفارہ دو ركعتیں ہیں۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3689-Sahih

ye dua kaunse Nabi Alaihi Sallam ki thi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal1: ye dua kaunse Nabi Alaihi Sallam ki thi


رَبِّ أَوْزِعْنِي أَنْ أَشْكُرَ نِعْمَتَكَ

 الَّتِي أَنْعَمْتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَالِدَيَّ 


Sawal2: ye dua kis ki thi


إِذْ أَوَى الْفِتْيَةُ إِلَى الْكَهْفِ فَقَالُوا رَبَّنَا آتِنَا مِن لَّدُنكَ رَحْمَةً وَهَيِّئْ لَنَا مِنْ أَمْرِنَا رَشَدًا


A. Ibrahim Alaihi salam

B. Ashab Al-Kahaf ne

C: Yahya Alaihi salam

D. Musa Alahi Salam

E. Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam

F: Dawood Alahi Salam

G: Sulaiman Alaihi Salam

H: In mein se koi nahi


I. Sahi jawab ka intezar hai

****

Sahi Jawab - GB✅


Reference📚:

-----

Phir us (cheenti) ki baat sunkar wo (Sulaiman Alaihi salam) hans padhe aur kaha :


رَبِّ أَوْزِعْنِي أَنْ أَشْكُرَ نِعْمَتَكَ الَّتِي أَنْعَمْتَ عَلَيَّ وَعَلَىٰ وَالِدَيَّ وَأَنْ أَعْمَلَ صَالِحًا تَرْضَاهُ وَأَدْخِلْنِي بِرَحْمَتِكَ فِي عِبَادِكَ الصَّالِحِينَ


Eh mere RABB mujhe taufiq de ki main tere ehsan ka shukr karu jo tune mujh par aur mere maa baap par kiya aur ye ki main neik kaam karu jo tu pasand kare aur mujhe apni rahmat se apne neik bando mein shamil kar

Surah An-Naml (27:19)

---------------------------

إِذْ أَوَى الْفِتْيَةُ إِلَى الْكَهْفِ فَقَالُوا رَبَّنَا آتِنَا مِن لَّدُنكَ رَحْمَةً وَهَيِّئْ لَنَا مِنْ أَمْرِنَا رَشَدًا


Al Quran : Jab wo jawan gaar mein ja baithe to kahne lage Eh Hamre RAB hum par apne yaha se rahmat nazil farma aur hamare kaam mein kaamyabi ka saman kar de

Surah Al-Kahaf (18:10)

Kaunse shakhs ko farmaya gaya ke wo bakheel hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunse shakhs ko farmaya gaya ke wo bakheel hain


A: Maal gin gin ke rakne wale

B: Maal hote huwe bhi kharch nahi karne wale

C: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki sunnatoh ko tark karne wale

D: Ilm hote huwe bhi Amal nahi karne wale

E: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam sun kar darood na padhne wale

F: Deen mein naya ijaad karne wale

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - E✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka naam sun kar darood nahi padhne wala shakhs bhakeel hain


Reference📚:

------

Syedna Hussain RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ‌woh Aadmi bakheel hain, jis ke paas mera zikar huwa, lekin is ne mujh par durood nahi padha.

-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: The miser is the one in whose presence I am mentioned and he does not send blessings upon me
-----

 ۔ سیدنا حسین  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا:  وہ آدمی بخیل ہے، جس کے پاس میرا ذکر ہوا، لیکن اس نے مجھ پر درود نہ پڑھا۔ 

----

Musnad Ahmed#5707-Sahih

Emaan ka kaunsa kada mazboot hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Emaan ka kaunsa kada mazboot hain


A: Sabr 

B: Ilm hasil karna

C: Maaf karna

D: Sila Rehmi

E: Haya 

F: Allah ke liye Mohabbat aur ussi ke kiye nafrat karna

G: Allah ka Zikr

H: Inmein se koi nahi


i: Sahi Jawab ka intezaar

********

Sahi Jawab - F✅


Emaan ka mazboot kada Allah Subhanahu ke liye Mohabbat aur Allah Subhanahu ke liye nafrat


Reference📚:

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Abu Zar RadiAllahu Anhu se kaha Emaan ka kaunsa kada mazboot hain? Abu Zar RadiAllahu Anhu ne kaha Allah aur is ka Rasool behtar jante hain Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ke liye dosti aur Allah ke liye dushmani Allah ke liye mohabbat aur Allah ke liye nafrat

-----

عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے ابو ذر  رضی اللہ عنہ سے كہا: ایمان كا كونسا كڑا مضبوط ہے؟ ابو ذرنے كہا: اللہ اور اس كا رسول بہتر جانتے ہیں۔ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ كے لئے دوستی اور اللہ كے لئے دشمنی اللہ كے لئے محبت اور اللہ كے لئے نفرت

----

Al-Silsila-tus-Sahiha#1121-Sahih

Jab Momeen banda Namaz aada karta hain aur uska maqsad Allah Subahnahu ka chehra ho to...........

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Jab Momeen banda Namaz aada karta hain aur uska maqsad Allah Subahnahu ka chehra ho to...........


A: uske khataye maaf kar diye jaate hain

B: Uski Umar taweel kar di jati hain

C: Uske rizq mein barkat hoti hain

D: Usko logo mein mehboob bana diya jata hain

E: Duniya aur akhirat mein afiyat se nawaza jaata hai

F: uske har kaam mein assani paida hojati hain

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - G✅


Muslman banda jab namaz ada karta hain toh uske gunah is terhan girte hain jaise darakht se patte girte hain


Reference📚:

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam sardiyoon ke mausam mein nikle jabke patte gir rahe the, Aap ‌Sallallahu Aalihi wasallam ne ek darakht ki do shaakhen pakdhe aur un se patte jhadna shuru ho gaye Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Abu Zar!  Mein ne kaha : jee Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam Mein haazir hu, Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : beshak Musalman banda jab Namaz ada karta hain, jabke is ka maqsad Allah Subhanahu taala ka chehra ho to is se is ke gunah is terhan girte hain, jaise is darakht se ye patte gir rahe hain.

-------

سیدنا ابوذرؓ سے مروی ہے کہ نبی کریم ‌(ﷺ) سردیوں کے موسم میں نکلے، جبکہ پتے گر رہے تھے، آپ ‌(ﷺ) ‌ نے ایک درخت کی دو شاخیں پکڑیں اور ان سے پتے جھڑنا شروع ہو گئے، آپ ‌(ﷺ) ‌ نے فرمایا:  اے ابو ذر!)) میں نے کہا: جی اے اللہ کے رسول (ﷺ) ! میں حاضر ہوں، آپ ‌(ﷺ) نے فرمایا:  بیشک مسلمان بندہ جب نماز ادا کرتا ہے، جبکہ اس کا مقصد اللہ تعالیٰ کا چہرہ ہو تو اس سے اس کے گناہ اس طرح گرتے ہیں، جیسے اس درخت سے یہ پتے گر رہے ہیں۔ 

-----

Musnad Ahmed Hadees # 1012

Kaunse azkar padhne per farmaya gaya hai ke bande ne puri koshish ke saath dua ki hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunse azkar padhne per farmaya gaya hai ke bande ne puri koshish ke saath dua ki hain


A: Rabbighfirli

B: Allahummaghfirli, warhamni, waAafini, warzuqni

C: Allahumma Aainni Ala Zikrika Wa Shukrika Wa Husni ibadatika 

D: Durud e Ibrahim

E: Ya Muqalibal qulub thabbit Qalbi Ala Deenak

F: Dua e Masoora  

G: In mein se koi nahi 


H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - C✅


Jo koi puri koshish ke saath dua mangna chahe to wo ye dua padha kare


Reference📚:

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum chahate ho ke puri koshish ke saath dua kiya karo? to phir is terhan kaha karo:


اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ ‌‏

Allahumma Aainni Ala Zikrika Wa Shukrika Wa Husni ibadatika


(Eh Allah, apna shukar, Zikr aur achchi ibadat karne per humari madad farma)

----

It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Holy Prophet Sallalahu Alaihi wasallam said: Do you want to pray with all your might? Then say:


Allahumma Aainni Ala Zikrika Wa Shukrika Wa Husni ibadatika


(O Allah, Help me in remembering You, in giving You thanks, and worshipping You well.)

----

سیدنا ابو ہریرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:   کیا تم چاہتے ہو کہ پوری کوشش کے ساتھ دعا کیا کرو؟ تو پھر اس طرح کہا کرو:  اَللّٰہُمَّ أَعِنَّا عَلٰی شُکْرِکَ وَذِکْرِکَ وَحُسْنِ عِبَادَتِکَ۔  (اے اللہ!اپنے شکر، ذکر اور اچھی عبادت کرنے پر ہماری مدد فرما )۔ 

----

Musnad Ahmed#1856-Sahih

ye missal kis ke liye hain goya uss khazane ki si hain jis ko Allah Subhanahu ke raste mein karch nahi kiya jata

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: ye missal kis ke liye hain goya uss khazane ki si hain jis ko Allah Subhanahu ke raste mein karch nahi kiya jata


A: Jis Ilm se Faida hasil nahi kiya jaata

B: Jo log apna maal Allah ki rah mein kharch nahi karte hain

C: Maidan e jung se baagne wala

D: Munafiq

E: Ehsaan jatane wale

F: Jo dhikhawe ke liye karch karte hain

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

***********

Sahi Jawab - A✅


Jis ilm se faida hasil nahi kiya jaata goya wo is khazane ki si hai jo Allah ke raste mein karch nahi kiya jaata


Reference📚:

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Beshak jis ilm se faida hasil nahi kiya jata, is ki misal is khazane ki si hai jis ko Allah Ta'ala ke raste me kharch nahi kiya jata

-----------------

سیدنا ابو ہریرہؓ سے ہی روایت ہے، نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے فرمایا: بیشک جس علم سے فائدہ حاصل نہیں کیا جاتا، اس کی مثال اس خزانے کی سی ہے، جس کو اللہ تعالیٰ کے راستے میں خرچ نہیں کیا جاتا۔ 

------

Musnad Ahmed Hadees # 274-Sahih

Musalmano par kaun kaunsi baatoh ko manna lazim/zaroori hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziada hai!


Sawal: Musalmano par kaun kaunsi baatoh ko manna lazim/zaroori hai?


A: Apne Ameer ki baat manna

B: Bukhl se bachna 

C: Sunnatoh ki zinda karna 

D: haftay mein ek din (yani jummay ke din) apne jism aur sir ko dho lena

E: Mehman nawazi karna 

F: Miswak karna

G: Mareez ki Ayadat karna

H: Janaze mein shareek hona 

I: Cheenke wala jab Alhumdulilah kahe to usse jawab dena


J: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - ADEFGHI✅


Reference📚:

---------------

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Musalman aadmi par Ameer ki baat maanna aur sunna lazim hai chahay woh pasand kare ya napasand, jab tak ke usay kisi nafarmani ka hukum nah diya jaye, lekin jab usay nafarmani ka hukum diya jaye to nah sunna hai aur nah maanna hain.

---------------

Sahih Hadees

Sunnan e Abu Dawood Hadees # 2626

-----------------


Abu Karim Shami Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke ek raat Mehman nawazi ka har musalam par haq hai toh joh shaqs  mezbaan ke sehan mein subah bhi karle ( yani raat guzare ) to woh is maizban par karz hai woh maheman agar chahay to is ka mutalba kere aur agar chahay to chore de.

----------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 390

-----------------

Ek Ansari sahabi se riwayat hai ke teen cheeze aisi hain jo har musalman par lazim hain, jummay ke din ghusal karna, Miswak karna aur agar muyassar ho to khushbu lagana.

-------------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 607

---------------

pas har musalman ko haftay mein ek din (yani jummay ke din) to usay jism aur sir ko dho lena lazim hain.

--------------

Sahih Hadees

Sahih Bukhari Hadees # 3487

------------------

Abu Huraira Radi Allahu Anhu, Nabi Sallalahu Alaihi wasallam se bayan karte hain ke Aap Sallalahu Alaihi wasallam neh farmaya teen cheeze har musalman par lazim hain Mareez ki ayadat karna, janazay mein haazir hona, Cheekne wala jab Alhumdullilah kahe to usay jawab mein' 'Ya RahmakAllah” kehna

-----------------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 608

-------------

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...