Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 21 November 2020

Jab Momeen banda Namaz aada karta hain aur uska maqsad Allah Subahnahu ka chehra ho to...........

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Jab Momeen banda Namaz aada karta hain aur uska maqsad Allah Subahnahu ka chehra ho to...........


A: uske khataye maaf kar diye jaate hain

B: Uski Umar taweel kar di jati hain

C: Uske rizq mein barkat hoti hain

D: Usko logo mein mehboob bana diya jata hain

E: Duniya aur akhirat mein afiyat se nawaza jaata hai

F: uske har kaam mein assani paida hojati hain

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - G✅


Muslman banda jab namaz ada karta hain toh uske gunah is terhan girte hain jaise darakht se patte girte hain


Reference📚:

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam sardiyoon ke mausam mein nikle jabke patte gir rahe the, Aap ‌Sallallahu Aalihi wasallam ne ek darakht ki do shaakhen pakdhe aur un se patte jhadna shuru ho gaye Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Abu Zar!  Mein ne kaha : jee Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam Mein haazir hu, Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : beshak Musalman banda jab Namaz ada karta hain, jabke is ka maqsad Allah Subhanahu taala ka chehra ho to is se is ke gunah is terhan girte hain, jaise is darakht se ye patte gir rahe hain.

-------

سیدنا ابوذرؓ سے مروی ہے کہ نبی کریم ‌(ﷺ) سردیوں کے موسم میں نکلے، جبکہ پتے گر رہے تھے، آپ ‌(ﷺ) ‌ نے ایک درخت کی دو شاخیں پکڑیں اور ان سے پتے جھڑنا شروع ہو گئے، آپ ‌(ﷺ) ‌ نے فرمایا:  اے ابو ذر!)) میں نے کہا: جی اے اللہ کے رسول (ﷺ) ! میں حاضر ہوں، آپ ‌(ﷺ) نے فرمایا:  بیشک مسلمان بندہ جب نماز ادا کرتا ہے، جبکہ اس کا مقصد اللہ تعالیٰ کا چہرہ ہو تو اس سے اس کے گناہ اس طرح گرتے ہیں، جیسے اس درخت سے یہ پتے گر رہے ہیں۔ 

-----

Musnad Ahmed Hadees # 1012

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...