Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 21 November 2020

kaunsa amal ke liye farmaya gaya hain ke ye hidayat ke raston mein se ek rasta hain

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: kaunsa amal ke liye farmaya gaya hain ke ye hidayat ke raston mein se ek rasta hain


A: Sila Rehami
B: Maut
C: Salam mein pehal karna
D: Laa illaha illallaha ka iqrar
E: Namaz 
F: deen ki dawat dena
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar


********


Sahih Jawab - E✅


Namaz ki hifazat karna hidayat ke rastoh mein se ek rasta hain 
----------
Abdullah bin Masood RadiAllahu se rivayat hai ki jis shakhs ko iss baat ki khushi ho ke kal Qayamat ke din Allah Subhanahu se iss haal mein mile ke wo Muslman ho to wo un pancho Namazoh ki hifazat karen jab unki Azan di jaye, kyu ke Allah Subhanahu ne Apne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke liye hidayat ke raste muqarrar kar diye hain,aur ye namazein hidayat ke rastoh mein se ek rasta hai ager tum apne gharoh he mein Namaz padhoge aur apni Masjidoh ko chorh doge to tum apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka tareeqa chorh doge aur ager tum apne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ka tareeqa chorh doge to tum gumarah ho jaoge.
----------
حضرت عبداللہ ( بن مسعود ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ) سے روایت کی ، کہا : جو یہ چاہے کہ کل ( قیامت کے دن ) اللہ تعالیٰ سے مسلمان کی حیثیت سے ملے تو وہ جہاں سے ان ( نمازوں ) کے لیے بلایا جائے ، ان نمازوں کی حفاظت کرے ( وہاں مساجد میں جا کر صحیح طرح سے انھیں ادا کرے ) کیونکہ اللہ تعالیٰ نے تمھائے نبی ﷺ کے لے ہدایت کے طریقے مقرر فرما دیے ہیں اور یہ ( مساجد میں باجماعت نماز یں ) بھی انھی طریقوں میں سے ہیں ۔ کیونکہ اگر تم نمازیں اپنے گھروں میں پڑھو گے ، جیسے یہ جماعت سے پیچھے رہنے والا ، اپنے گھر میں پڑھتا ہےتو تم اپنے نبی کی راہ چھوڑ دو گے اور اگر تم اپنے نبی کی راہ کو چھوڑ دو گے تو گمراہ ہو جاؤ گے
--------
It was narrated that Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu said Whoever would like to meet Allah tomorrow as a Muslim, let him regularly attend these five (daily) prayers whenever the call for them is given ( in the Masjid), for Allah prescribed for His Prophet the ways of guidance, and they (the prayers) are part of those ways of guidance.if you were to pray in your houses and forsake the Masjids, you would be forsaking the Sunnah of your Prophet, and if you were to forsake the Sunnah of your Prophet you would go astray.
Sunan Nasai- 850-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...