Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah




Bismillahirrahmannirrahim

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ

La ilaha illAllah, wa Allahu Akbar wa La ḥawla wa La Quwwata illa Billah
-----
Allah subhanahu  ke siwa koi sachcha mabud nahi aur Allah sabse bada hai aur Allah ke siwa kisi kaam ko karne ki kisi mein na koi taqat hai aur na hi quwwat
-----
None has the right to be worshipped but Allah, and Allah is the Greatest, and there is no might nor power except by Allah

Ek baar Subhan-Allahil Azeem, Wa Bihamdehi kehta hai toh uske liye Jannat mein ek Khajoor ka darkht laga diya jata hai



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Ek baar Subhan-Allahil Azeem, Wa Bihamdehi kehta hai toh uske liye Jannat mein ek Khajoor ka darkht laga diya jata hai
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs

سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ وَ بِحَمْدِهِ
Subhan-Allahil-Azeem wa biHamdihi

kahega is ke liye Jannat mein khajoor ka ek darakht lagaya jayega“

Jam e Tirmazi#3465-Sahih
----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو شخص: «سبحان الله العظيم وبحمده» کہے گا اس کے لیے جنت میں کھجور کا ایک درخت لگایا جائے گا“ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “Whoever says: ‘Glory is to Allah The Supreme and with His Praise" (SubhanAllahil-Azeem wa biHamdihi) a date-palm tree is planted for him in Paradise.” 
-----
Jam e Tirmazi#3465-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni ek zauja se kaha k mein tumhare ghusse aur khushi ko pahchanta ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni ek zauja se kaha k mein tumhare ghusse aur khushi ko pahchanta ho?

Dusre sawal mein jawab ek se ziada hai!

Sawal 1: Wo zauja kaun thi?

A: Khadija RadiAllahu Anhuma
B: Zainab RadiAllahu Anhuma
C: Hafsa RadiAllahu Anhuma
D: Safiya RadiAllahu Anhuma
E: Ayesha RadiAllahu Anhuma
F: Maimoona RadiAllahu Anhuma
G: In mai se koi nahi

Sawal 2: Wo zauja khushi aur ghusse mein hoti to Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kaise pahchante thy

A: Wo khush hoti to kehti Mohammad ke RABB ki qasam
B: Wo jab gusse mein hoti toh kehti ke Aap mere hujre mein dakhil na ho
C: Wo jab ghusse mai hoti to kehti ke Eh Ibrahim Alaihi Salam ke RABB ki qasam
D: Wo kehti mein wo ho jis ke walid ki wajah se parde ki aayat nazil huwi
E: Wo kehti mein wo ho jis ka nikah Allah ne Aasman par kiya
F: Mein ho jis ka nikah habsha mein najjashi ne padhaya tha
G: Mein wo jis ki chadar mai Aap par wahi nazil huwi

H: Sahi jawab ka intezar hai

****************


Reference📚:

Aisha RadiAllahu Anhuma se riwayat hai unhon ne kaha ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mein tumharay ghusse aur khushii ko pehchanta hon, mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam Aap ko kis terhan pata chalta hai? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum khush hoti ho to tum (kehti ho kyun nahi, Mohammad Sallallahu Alahih Wasallam ke RABB ki qasam) aur jab tum ghusse mein hoti ho to kehti ho nahi, Ibrahim Alaihi Salam ke RABB ki qasam, mein ne kaha jee haan, mein sirf Aap ke naam ko chodthee hon.
---------------
عائشہ رضی اللہ عنہا  سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہارے غصے اور خوشی کو پہچانتا ہوں، میں نے کہا: اے اللہ کے رسول آپ کو کس طرح پتہ چلتا ہے؟ آپ نے فرمایا: جب تم خوش ہوتی ہو تو تم (کہتی ہو کیوں نہیں ،محمد  صلی اللہ علیہ وسلم کے رب کی قسم) اور جب تم غصے میں ہوتی ہو تو کہتی ہو نہیں ،ا براہیم علیہ السلام کے رب کی قسم ، میں نے کہا :جی ہاں، میں صرف آپ کے نام کو چھوڑتی ہوں
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 100

Bande ki wo kaun si baate hain jis se Allah Subhanahu farigh hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain

Sawal: Bande ki wo kaun si baate hain jis se Allah Subhanahu farigh hain?

A: Azmayesh
B: Maut 
C: Rizaq
D: Umar
E: Khush Bakhti
F: Bad Bakhti 
G: Hidayat
H: Taqwa

I: Sahi Jawab ka Intezaar.

******************

Sahi Jawab – BCDEF ✅

Reference📚:
---------------
Sayedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subahnahu ta’ala har bande se paanch cheezon se farigh ho gaya hai, is ki Maut, Rizaq, Umar aur Badbakhti ya Khush Bakhti.
----------------
 ۔ (۲۰۰)۔عَنْ أَبِیْ الدَّرْدَائِؓ قَالَ: سَمِعْتُ رَسُوْلَ اللّٰہِ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم یَقُوْلُ: ((فَرَغَ اللّٰہُ اِلٰی کُلِّ عَبْدٍ مِنْ خَمْسٍ، مِنْ أَجَلِہِ وَ رِزْقِہِ وَأَثَرِہِ وَ شَقِیٍّ أَمْ سَعِیْدٍ۔)) (مسند أحمد: ۲۲۰۶۶)
-------------------
سیدنا ابو درداءؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ ہر بندے سے پانچ چیزوں سے فارغ ہو گیا ہے، اس کی موت، رزق، عمر اور بدبختی یا خوش بختی۔  
------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 200

Ek baar ek sahabi ne quran ki ek surah ki kuch aayatein padhi aur waha maujood dusre sahaba se iske bare mai poocha ke iss surah ke mutaliq tumhara kya khayal hai kisi ne kuch kisi ne kuch kaha un khalifa ne ek sahabi se pocha k tumhara bhi yahi khayal hai unho ne kaha nahi un sahabi ne uss surah mein kuch nishaniya bayan ki.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar ek sahabi  ne quran ki ek surah ki kuch aayatein padhi aur waha maujood dusre sahaba se iske bare mai poocha ke iss surah ke mutaliq tumhara kya khayal hai kisi ne kuch kisi ne kuch kaha un khalifa ne ek sahabi se pocha k tumhara bhi yahi khayal hai unho ne kaha nahi un sahabi ne uss surah mein kuch nishaniya bayan ki.


Sawal 1 : Wo sahabi kaun they jinhone wo surah padhi

A: Abu Baker RadiAllahu Anhu
B: Umar RadiAllahu Anhu
C: Usman RadiAllahu Anhu
D: Ali RadiAllahu Anhu
E: Abu Sufiyan RadiAllahu Anhu
F: Abu Zarr RadiAllahu Anhu
G: Zaid Bin Harith RadiAllahu Anhu
H: Inmein se koi nahi

Sawal 2: Wo surah kaunsa hai?

A: Surah Furqan
B: Surah Luqman
C: Surah Fatir
D: Surah Sajda
E: Surah An Nasr
F: Surah Fussailat
G: Inmein se koi nahi

Sawal 3: Wo nishaniya kya hai? (jawab ek se ziada hai)

A: Fateh Khaibar
B: Fateh Makka
C: Yajooj majooj
D: Nabi ki wafat
E: Essa Alaihi Salam ka nuzool
F: Ulmao ka khatema

G. Sahi jawab ka intezar hai

***************

Sahi Jawab BE/BD✅

Reference📚:

Umar Radi Allahu Anhu mujhe apni Majlis mein is waqt bhi bulaa letay jab wahan Badr ki jung mein shareek honay walay buzurag sahaba RadiAllahu Anhu baithy hotay is par baaz log kehnay lagey is jawan ko aap hamari majlis mein kyun bulatay hain? is ke jaisay to hamaray bachay bhi hain is par Umar Radi Allahu Anhu ny kaha woh to un logon mein se hai jin ka ilm o fazal tum jantay ho unhon ny bayan kiya ke phir un buzurag Sahabiyo ko ek din Umar RadiAllahu Anhu ny bulaya aur mujhe bhi bulaya bayan kiya ke mein samjhta tha ke mujhe is din aap ny is liye bulaya tha taakay aap mera ilm bata saken phir aap ny daryaft kiya «إذا جاء نصر الله والفتح * ورأيت الناس يدخلون‏» khatam surat taq' ke mutaliq tum logon ka kya khayaal hai? kisi ny kaha ke hamein is aayat mein hukum diya gaya hai ke hum Allah ki hamd bayan karen aur is se Astaghfar karen ke is ny hamari madad ki aur hamein fatah inayat farmayi baaz ny kaha ke hamein is ke mutaliq kuch maloom nahi hai aur baaz ny koi jawab nahi diya phir unhon ny mujh se daryaft kiya Ibn Abbas RadiAllahu Anhu kya tumhara bhi yahi khayaal hai? mein ny jawab diya ke nahi' poocha' phir tum kya kehte ho? mein ny kaha ke is mein Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki wafaat ki taraf ishara hai ke jab Allah taala ki madad aur fatah haasil ho gayi  yani Fatah Makkah to yeh Aap Sallallahu Alahih Wasallam ki wafaat ki nishani hai is liye Aap apne RABB ki hamd aur tasbeeh aur is ki maghfirat talabb karen ke woh tauba qubool karne wala hai. Umar RadiAllahu Anhu ny kaha ke jo kuch tum ny kaha wohi mein bhi samjhta hon.
-------------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 4294

kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo insaan ke liye khushiyo ki raahein asan karne wala hain

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hai

Sawal: kaunse amal ke liye farmaya gaya hai ke wo insaan ke liye khushiyo ki raahein asan karne wala hain

A: Khamoshi 
B: Allah Subhanahu Ka khauf 
C: Sabr 
D: Allah Subhanahu ki rah mein Sadqa karna
E: Salam mein pehal 
F: Laa illaha illallaha ka iqrar karna 
G: Logo ko maaf karna 
H: Hajj aur Umrah karna

I:Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - BDF✅

Reference📚:
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Allah Subhanahu Ka ye farman Irshad faramaya jo Shaks Allah Subhanahu Ke raste mein kharch karen Allah Subhanahu se dare aur Kalma tawheed ( laa illaha illallaha) ki tasdik karen to ham Uske liye asani aur khushi ki rah asaan kar denge aur Jo Shaks Bukhl Karen duniya ki shehwat (duniya ki Khuwaish) mein padh kar Jannat ki naimaton se be parwayee karen aur Kalma e tawheed ko jhutlaye to hum uske liye sakhti aur badbakhti ki raah asan Kar denge
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے اللہ تعالیٰ کا یہ فرمان سنایا: جو شخص اللہ کے راستے میں خرچ کرے، اللہ سے ڈرے، اور کلمہ توحید کی تصدیق کرے تو ہم اس کے لیے آسانی اور خوشی کی راہ آسان کر دیں گے، اور جو شخص بخل کرے، دنیوی شہوات میں پڑ کر جنت کی نعمتوں سے بے پروائی برتے اور کلمہ توحید کو جھٹلائے تو ہم اس کے لیے سختی اور بدبختی کی راہ آسان کر دیں گے ۱؎۔
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  recited: “So he who gives (in charity) and fears (Allah), and in all sincerity testifies to the best, we will indeed make smooth for him the path to bliss. But he who is a greedy miser and thinks himself self-sufficient, and gives the lie to the best, We will indeed make smooth for him the path of misery. ” 
-------‐
Sunan Abu Dawud Volume 4 , 4694 Sahih

In mein se wo kaunsi cheez hai joh taqdeer par pehal kar sakti hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: In mein se wo kaunsi cheez hai joh taqdeer par pehal kar sakti hai?

A: Bad Gummani 
B: Jahalat
C: Bad dua
D: Shirk
E: Ghamand
F: Nazre bad
G: in mai se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezar hai

*************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
-----------
Rasool-Allah (ﷺ) neh farmaya ”agar koi cheez taqdeer par Sabqat (pehal) kar sakti to is par nazar e bad zaroor Sabqat (pehal) karti, aur jab log tum se ghusal karayen to tum ghusal kar lo“ 
------------
 Ibn 'Abbas narrated that the Messenger of Allah (ﷺ) said: "If there was anything that could overcome the Decree then the (evil) eye would overcome it, and when you are requested to wash (due to it) then wash."
-------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اگر کوئی چیز تقدیر پر سبقت  ( پہل )  کر سکتی تو اس پر نظر بد ضرور سبقت  ( پہل )  کرتی، اور جب لوگ تم سے غسل کرائیں تو تم غسل کر لو“
------------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 2062

Farishte Imaan walo ke liye Dua aur Astagfaar karte hain

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz  ❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Farishte Imaan walo ke liye Dua aur Astagfaar karte hain

Inmein se wo kaun hai..

A: Namaz ki pabandi karne walon k liye
B: Tauba karne walon ke liye
C: Jihad karne walon k liye
D: Tahajjud padhne walon k liye
E: Jo Allah Subahnahu ki raah per chale yh perwi kare
F: Rasool-Allah (ﷺ) ki itat kare
G: Jo chup kar sadqa kare
H: Jo Rasool-Allah (ﷺ) ki sunnato per amal kare

I. Sahi Jawab ka Intezaar

******************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚:

Bismillahirrahmannirrahim

اَلَّذِیۡنَ یَحۡمِلُوۡنَ الۡعَرۡشَ وَ مَنۡ حَوۡلَہٗ یُسَبِّحُوۡنَ بِحَمۡدِ  رَبِّہِمۡ وَ یُؤۡمِنُوۡنَ بِہٖ وَ یَسۡتَغۡفِرُوۡنَ  لِلَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا ۚ رَبَّنَا وَسِعۡتَ کُلَّ  شَیۡءٍ رَّحۡمَۃً  وَّ عِلۡمًا فَاغۡفِرۡ  لِلَّذِیۡنَ تَابُوۡا وَ اتَّبَعُوۡا سَبِیۡلَکَ وَ قِہِمۡ  عَذَابَ  الۡجَحِیۡمِ

Arash kay uthaney walay aur uss kay aas pass kay  ( farishtay )  apnay rab ki tasbeeh hamd kay sath sath kertay hain aur uss per eman rakhtay hain aur eman walon kay liye istaghfaar kertay hain kehtay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu ney her cheez ko apni bakhsish aur ilm say gher rakha hai pus tu enhen bakhash day jo tauba kare aur teri raah ki perwi kare aur tu enhen dozakh kay azab say bhi bacha lay. 
-------
 عرش کے اٹھانے والے اور اس کے  اس پاس کے ( فرشتے )  اپنے رب کی تسبیح و حمد کے ساتھ ساتھ کرتے ہیں اور اس پر ایمان رکھتے ہیں اور ایمان والوں کے لئے استغفار کرتے ہیں ،  کہتے ہیں کہ اے ہمارے پروردگار! تو نے ہرچیز کو اپنی بخشش اور علم سے گھیر رکھا ہے ،  پس  توانہیں بخش دے جو توبہ کریں اور تیری راہ کی پیروی کریں اور تو انہیں دوزخ کے عذاب سے بھی بچا لے ۔  
--------
Those [angels] who carry the Throne and those around it exalt [ Allah ] with praise of their Lord and believe in Him and ask forgiveness for those who have believed, [saying], "Our Lord, You have encompassed all things in mercy and knowledge, so forgive those who have repented and followed Your way and protect them from the punishment of Hellfire. 
----
Al Quran - Surah Al Momeen (40), Ayat No. 07

Allah Subhanahu Momin ki neki ke baare mein zulm nahi karta aur usko iska sila duniya mein kaise deta hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu Momin ki neki ke baare mein zulm nahi karta aur usko iska sila duniya mein kaise deta hain?

A: Rizq
B: Aulad 
C: Izzat
D: Sehat
E: Nikah
F: Baarish
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

******************

Sahi Jawab - A✅

Reference📚: 

Hadith: Momin ki Neki ke badle Duniya mein usse Rizq pahochaya jata hai aur Akhirat mein bhi iska badla diya jayega
--------
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa Sallam ne farmaya : Allah Subhanhau Ta'ala Momin ki Neki ke baare mein Zulm nahi karta. Duniya mein bhi iske badle usse Rizq pahochaya jata hai aur Akhirat mein bhi iska badla diya jayega . jabke Kafir ko iski nekiyo ke  badle ( jo is ne Allah ke liye Amal kiye hunge ) duniya mein badla de diya jata hai, jab wo Allah Subahnahu se mulaqaat karega to iski aisi koi neki nahi hogi jiske badle usse ajar diya jaye
--------
انس‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ مومن كی نیكی كے بارے میں ظلم نہیں كرتا ۔ دنیا میں بھی اس كے بدلے اسے رزق پہنچایا جاتا ہے اور آخرت میں بھی اس كا بدلہ دیا جائے گا۔ جب كہ كافر كو اس كی نیكیوں كے بدلے( جو اس نے اللہ كے لئے عمل كئے ہونگے)دنیا میں بدلہ دے دیا جاتا ہے، جب وہ اللہ سے ملاقات كرے گا تو اس كی ایسی كوئی نیكی نہیں ہوگی جس كے بدلے اسے اجر دیا جائے۔ 
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3647

Jannat mein dhakil hone ka sabab inmein se kise kaha gaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Jannat mein dhakil hone ka sabab inmein se kise kaha gaya hain?

A: Wazu
B: Quran
C: Jung
D: Astagfar
E: Eman
F: Durud
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

**************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:

Emaan Jannat mein dakhilay ka sabab hain
-----------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam nay farmaya Haya Emaan se hai aur Emaan Jannat mein dakhilay ka sabab hain aur bad goi zulm o jafaa se hai aur zulm o jafaa aag mein jane ka sabab hain.
--------------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: حیاء ایمان سے ہےاور ایمان جنت میں داخلے کاسبب ہےاور بد گوئی ظلم و جفا سے ہے اور ظلم و جفا آ گ میں جانے کا سبب ہے
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 109

wo kaunsi namaz thi joh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko sabse ziada pasand thi aur us per hameshgi iktiyaar kiya karte thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai jawab is tarah dijiye 1A/2B…


Sawal 1: wo kaunsi namaz thi joh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko sabse ziada pasand thi aur us per hameshgi iktiyaar kiya karte thy?

Sawal 2: wo kaunsi namaz thi joh Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam thandi, beemari safar mein ho tab bhi nahi chorhra karte thy?

A: Asar ki 4 rakat sunnat
B: Tahhajjud ki 8 rakat aur 3 witr
C: Fajar ki 2 rakat sunnat 
D: Chasth ki 8 rakat  
E: Zohar ki 4 rakat sunnat
F: Fajar ki 2 rakat farz
G: Magrib ke phele 2 rakat sunnat 
H: Magrib ke baad 2 rakat sunnat

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

********************

Sahi Jawab - 1E/2C✅

Reference📚:

Qaboos RadiAllahu Anhu apne waalid se bayan karte hain ke mere waalid ne ek aurat Aisha RadiAllahu Anhuma ke taraf bhaije, ke un se pooch kar aaye ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko kaunsi Namaz sab se ziyada pasand thi jis par hameshgi kiya karte they? Unhon ne kaha Aap Sallallahu Alahih Wasallam Zohar se pehlay chaar rakat parha karte they, aur un mein lamba qiyam kiya karte, Ruku wa Sajda Aasaan tareeqay se ada karte, aur jo namaz woh chodha nahi karte they, thandi saat hon ya beemaar, safar mein hon ya Huzar mein woh Fajar se pehlay ki do rakate hain
---------------
قابوس اپنے والد سے بیان كرتے ہیں كہ میرے والد نے ایك عورت عائشہ رضی اللہ عنہا كی طرف بھیجی، كہ ان سے پوچھ كر آئے كہ رسول  اللہ صلی اللہ علیہ وسلم كو كونسی نماز سب سے زیادہ پسند تھی جس پر ہمیشگی كیا كرتے تھے؟ انہوں نے كہا: آپ صلی اللہ علیہ وسلم ظہرسے پہلے چار ركعت پڑھا كرتے تھے، اور ان میں لمبا قیام كیا كرتے ، ركوع و سجود احسن طریقے سے ادا كرتے، اور جو نماز وہ چھوڑ انہیں كرتے تھے، تندر ست ہوں یا بیمار سفر میں ہوں یا حضر میں وہ فجر سے پہلے كی دو ركعتیں ہیں
-----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 696

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apne bhaiyon se Milne ka zikr kiya…yaha bhaiyon se murad kya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apne bhaiyon se Milne ka zikr kiya…yaha bhaiyon se murad kya hain?

A: Adam Alaihi Salam ki Qaum
B: Sahaba karam RadiAllahu Anhuma
C: Isa Alaihi Salam ki Qaum
D: Ibrahim Alaihi Salam ki Qaum
E: Mosa Alaihi Salam ki Qaum
F: Yusuf Alaihi Salam ki Qaum 
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*********

Sahi Jawab - G✅

Reference📚:

Joh log bina dehke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam par imaan laye wo Rasool-Allah Sallalahu Alahih Wasallam ke bhai hain.
---------
Syedna Anas Bin Maalik RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya  mein chahta hon ke apne bhaiyon ko milon. Sahaba karaam RadiAllahu Anhu ne kaha hum aap ke bhai he hain. Aap  Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tum to mere saathi ho, mere bhai to woh hai, jo bِin dekhe mujh par imaan laynge
------------
سیدنا انس بن مالکؓ بیان کرتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  میں چاہتا ہوں کہ اپنے بھائیوں کو ملوں۔  صحابۂ کرام رضی اللہ عنہم  نے کہا: ہم آپ کے بھائی ہی ہیں۔ آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  تم تو میرے ساتھی ہو، میرے بھائی تو وہ ہے، جو بِن دیکھے مجھ پر ایمان لائیں گے۔ 
----------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 138

Mafum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kiske liye farmaya ki uski namaz garden se uper nahi jayegi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kiske liye farmaya ki uski namaz garden se uper nahi jayegi?

A: Jo Jhad foonk karte hain
B: Aisa mard jo apni biwi ko gair mehram se baat karne se na roke 
C: Aisa Imaam jise log napasand karte ho
D: Amanat mein khyanat karne wala
E: Jhooti qasam kha kar samaan bechne wala
F: Aisa shaksh jo Maidan e Jung se peeth phair kar bhag jaye 
G: Aisa shakhs jo namaz mein surah fatiha ke saath koi surah na padhe 
H: In mein se koi nahi 

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************

Sahih Jawab - C✅

Reference📚:
----------
Abu Abdullah Sanabahi RadiAllahu Anhu se rivayat hai ki Junada Bin Abi Umia RadiAllahu Anhu neh kuch logon ki  كی Imamat karwayi jab woh namaz ke liye kharray huwe toh dayi taraf dehka aur kaha ki kya tum raazi ho? logon neh kaha jee haan, phir apne bayen janib aisa hi kiya phir farmaya mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se suna farma rahay they, jis neh kisi qoum ki imamat karwayi aur woh log usay napasand karte they toh is ki namaz gardan se oopar nahi jayegi
-------------

ابوعبداللہ صنابحیرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ جنادہ بن ابی امیہ رضی اللہ عنہ نے كچھ لوگوں كی امامت كروائی،جب وہ نماز كے لئے کھڑے ہوئے تودائیں طرف دیكھا  اور كہا: كیا تم راضی ہو؟ لوگوں نے كہا: جی ہاں، پھر اپنے بائیں جانب ایسا ہی كیا پھر فرمایا: میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے، جس نے كسی قوم كی امامت كروائی اور وہ لوگ اسے ناپسند كرتے تھے تواس كی نماز گردن سے اوپر نہیں جائے گی۔
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 729

Mahfuhm e hadith ke mutabiq In mein se Ahl-e-bait kaun kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain aur pehle sawal mein jawab ek se zaida hain!

Sawal1: Mahfuhm e hadith ke mutabiq In mein se Ahl-e-bait kaun kaun hain?

A: Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki biwiya
B: Ali RadiAllahu Anhu aur unki auladein
C: Zaid RadiAllahu Anhu aur unki auladein
D: Aqil RadiAllahu Anhu aur unki auladein
E: Jafar RadiAllahu Anhu aur unki auladein
F: Abbas RadiAllahu Anhu aur unki auladein
G: Umar RadiAllahu Anhu aur unki auladein

Sawal2: Ahl-e-bait par kaunsi cheez haram hain?
(Apna jawab khud lilkhe)


H: Sahi Jawab ka Intezaar?

***************

Sahi Jawab - ABDEF/(Sadqa/Zakat)✅

Reference📚:

Ahl-e-bait par Sadqa aur Zakat Haraam hain
---------
Hushain bin hayyan se rivayat hai ki Zaid radi allahu anhuma ne kaha ki ek din Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam khutba sunane ke liye khade huye aur farmaya main tumhare beech do bhari cheezein chorh kar ja raha hu ek to Allah ki kitab hai jismein hidayat aur noor hai to Allah ki kitab ko thame raho aur isko mazbuti se pakde raho aur dusri cheez mere ahl-e-bait hain main Allah ki yaad dilata hu tumhe mere ahl-e-bait ke mutalliq , hussain radi allahu anhu ne kaha Ahl-e-bait kaun hain Eh zaid ? Kya Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ki biwiya ahl-e-bait nahi hain ? Zaid radi allahu anhu ne kaha ki biwiya bhi ahl-e-bait mein dakhil hain , aur Ahl-e-bait wo hain jin par zakat haram hai Hushain radi allahu anhu ne kaha ki wo kaun log hain ? Zaid ne kaha ki Wo Ali aur Aqil aur jafar aur Abbas radi allahu anhuma ki auladein hain phir Hushain ne pucha ki in sab par sadqa haram hai to zaid radi allahu anhu ne kaha HAAN
 Sahih Muslim, Vol 6 , 6225 
-------------
Narrated by Hussain bin hayyan that Zaid radi allahu anhuma said One day Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam stood up to deliver sermon and said I am leaving among you two weighty things: the one being the Book of Allah in which there is right guidance and light, so hold fast to the Book of Allah and adhere to it. He exhorted (us) (to hold fast) to the Book of Allah and then said: The second are the members of my household (Ahl-e-bait) I remind you (of your duties) to the members of my family. He (Husain) said to Zaid: Who are the members of his household (Ahl-e-bait)? Aren't his wives the members of his family? Thereupon he said: His wives are the members of his family (but here) the members of his family are those for whom acceptance of Zakat is forbidden. And he said: Who are they? Thereupon he said: Ali and the offspring of Ali, Aqil and the offspring of Aqil and the offspring of Ja'far and the offspring of Abbas. radi allahu anhuma Husain said: These are those for whom the acceptance of Zakat is forbidden. Zaid said: Yes. 
--------------
Sahih Muslim, Book 31, 5920

Wo kya hai jis par Rasool-Allah Sallahlahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke insan ispar sabr nahi kar sakta?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Wo kya hai jis par Rasool-Allah Sallahlahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke insan ispar sabr nahi kar sakta?

A: Gussa
B: Maal
C: Tawakkal
D: Darguzar karna
E: Aulad
F: Sehat
G: Aurat ka fitnah

H: Sahi Jawab ka Intezaar

***************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚:

Beshaq tumharey Maal aur Aulad Aazmayeesh hain
--------------
Buraydah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Khutba farma rahe the itne mein Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhumu ladkhadate huye udhar aa gaye us waqt wo surkh dhari wala kurta pahney huye they, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam unko dekhkar Mimbar se utrey aur unko Godi mein utha liya phir Mimber par chad gaye, iskey baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam alaihi wasallam ne farmaya ki Beshaq tumharey Maal aur Aulad Aazmayeesh hai mainey in dono ko dekha to Sabr na kar saka uske baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam phir Khutba farmane lage
----------
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1097-Sahih

Wada-e-azab ke din kya hoga?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Wada-e-azab ke din kya hoga?

A: Soor phooka jayega
B: Miadan e hashar ke taraf lane wala faristha hoga
C: hisab kitab ke waqt gawahee dene wala faristha hoga
D: har shaks ke saath do faristhe honge
E : Har shaksh ke siro par aamal naam hoga
F :  Har shaksh Madina mein aakar khade ho jayenge

G: Sahi Jawab ka intezzar

****************

Sahi Jawab -ABCD✅

Reference📚:

Bismillahirrahmannirrahim

وَ نُفِخَ فِی الصُّوۡرِ ؕ ذٰلِکَ یَوۡمُ الۡوَعِیۡدِ 
Aur soor phonk diya jayega.Wada-e-azab ka din yehi hai.
----------
وَ جَآءَتۡ کُلُّ نَفۡسٍ مَّعَہَا سَآئِقٌ وَّ شَہِیۡدٌ 
 Aur her shaks iss tarah aayega kay uss kay sath aik lanay wala hoga aur aik gawahee denay wala. 
---------------
Tafseer Taqi Usmani: Yani jab kabro se nikal kar Insan Maidan-E-Hashar ki taraf jayega toh do Faristhey har ek ke saath hoga, in mein se ek toh inhe Maidan Hashar ki taraf haak kar le jayega aur ek Faristha is liye hoga ke wo hisab o kitab ke waqt is ke aamal ki gawahi de, baaz mufsareen ne farmaya hai ke yh wahi do farishtey honge jo duniya mein is ke aamal nama likha karte thy.
---------------
Al Quran: (Surah Al Qaf (50:20,21)

Inmein se kisse har Muttaqi ka ghar kaha gaya hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se kisse har Muttaqi ka ghar kaha gaya hai?

A: jis ghar mein subah shaam quran ki tilawat hoti hai
B: jis ki aulad Hafiz e Quran hain
C: joh Allah Subahnahu ke diye huwe rizaq se razi ho
D: Awwal waqt mein namaz padhne wale
E: Tahajjud padhne wale ka ghar
F: jis ghar wale halal kamayi ka luqma khate hai
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

******************

Sahi Jawab - G✅ (Masjid)|

Reference📚:
----------------
Abu Othman RadiAllahu Anhu se riwayat hai kehte hain ke Salman ne Abu Darda RadiAllahu Anhu ki taraf khat likha Bhaijaan! Masjid ko lazim karlo, kuynake mein ne Nabi  Sallallahu Alahih Wasallam se suna farma rahay thy Masjid har Muttaqi ka ghar hai
---------------
عن أبي عُثَمَان قال:  كَتَب  سَلْمَانُ  إلى أبي الدَّرْدَاء: يَا أَخِيْ، عَلَيْكَ بِالْمَسْجِدِ فَالْزَمْه، فَإِنِّي سَمِعْتُ النَّبي  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم يَقولُ   الْمَسْجِدُ بَيْتُ كُلِّ تَقِيٍ  . 
--------------
ابوعثمان سے مروی ہے كہتے ہیں كہ سلمان نے ابودرداء رضی اللہ عنہما كی طرف خط لكھا: بھائی جان  ! مسجد كولازم كر لو، كیونكہ میں نے نبی  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے: مسجد ہر متقی كا گھر 
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 754

Afzal Amal 2. Afzal Sadqa 3. Afzal Hijrat 4. Afzal Jihad 5. Afzal Qatal

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sahih Milan kijiye! (Match the following) 

1. Afzal Amal
2. Afzal Sadqa
3. Afzal Hijrat
4. Afzal Jihad
5. Afzal Qatal
-----------------------
A. Jis ka khoon Allah Subahnahu ki raah mein bahaya gaya ho
B. Jo Namaz ke liye susti na kare
C. Jo Halal aur Haram mein farq kare
D. Namaz mein dair taq khadde rehna
E. Apni jaan aur maal ke saath mushriqeen se ladna
F. Kum maal wala mehnat ki kamaai se khairaat karna
G. Allah ki haram karda cheezo ko chore dena

H. Sahi Jawab ka Intezaar?

**************

Sahi Jawab – 1D, 2F, 3G, 4E, 5A✅

Reference📚:

Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke bataye huwe Afzal Amal 
--------------
Nabi Akram Sal-Allahu alaihi wasallam se poocha gaya kaun sa Amal Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Namaz mein dair taq kharray rehna, phir poocha gaya kaun sa Sadqa Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya kum maal wala mehnat ki kamaai mein se jo sadqa de, phir poocha gaya kaun si Hijrat Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya is shakhs ki Hijrat jo un cheezon ko chore de jinhein Allah Subhanhu ne is par haraam kiya hain, phir poocha gaya kaun sa Jihaad Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya is shakhs ka Jihaad jis ny apni Jaan o Maal ke saath Mushriqeen se Jihaad kiya ho, phir poocha gaya kaun sa Qatal Afzal hain? Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ki raah mein jis ka khoon bahaya gaya ho aur jis ke ghoray ke haath paon kaat liye gaye hon.
---------------
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا گیا: کون سا عمل افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  نماز میں دیر تک کھڑے رہنا ، پھر پوچھا گیا: کون سا صدقہ افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  کم مال والا محنت کی کمائی میں سے جو صدقہ دے ، پھر پوچھا گیا: کون سی ہجرت افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اس شخص کی ہجرت جو ان چیزوں کو چھوڑ دے جنہیں اللہ نے اس پر حرام کیا ہے ، پھر پوچھا گیا: کون سا جہاد افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اس شخص کا جہاد جس نے اپنی جان و مال کے ساتھ مشرکین سے جہاد کیا ہو ، پھر پوچھا گیا: کون سا قتل افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اللہ کی راہ میں جس کا خون بہایا گیا ہو اور جس کے گھوڑے کے ہاتھ پاؤں کاٹ لیے گئے ہوں ۔ 
----------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1449

Ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ek sahabi se poocha ke kaun si aayat tumhare nazdeek sab se barri hain toh sahabi ne kaunsi aayat tilawat farmayi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hain!

Sawal: Ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ek sahabi se poocha ke kaun si aayat tumhare nazdeek sab se barri hain toh sahabi ne kaunsi aayat tilawat farmayi?

A: إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ
B: اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ
C: قُلْ أَعُوذُ بِرَبّ النَّاسِ
D: قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
E: قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ
F: قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal: Sahabi ka jawab sunke Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne un sahabi ka seena thaptapaya aur kaha tumhe Ilm Mubarak ho wo sahabi kaun thy?

A: Ammar Radi Allahu Anhu
B: Abu Zar Radi Allahu Anhu
C: Abu Al-Mundhir Radi Allahu Anhu
D: Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu
E: Usman Radi Allahu Anhu
F: Ubayy bin Kab Radi Allahu Anhu
G: Innmai se koi Nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - BC✅

Reference📚:

Quran ki sabse barri ayat Ayat-Al-Kursi hain
----------
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Eh Abu Al-Mundhir Radi Allahu Anhu Kitaab Allah ki kaun si aayat tumahray nazdeek sab se ba azmat hain?, mein neh arz kiya : Allah aur is ke Rasool ziyada jantay hain, Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne phir farmaya Abu Al-Mundhir! Kitaab Allah ki kaun si aayat tumahray nazdeek sab se barri hain? Mein ne arz kiya : « اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ », to Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne mere seenay ko thaptapaya aur farmaya : Eh Abu Al-Mundhir tumhe ilm Mubarak ho.
--------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اے ابومنذر! ۱؎ کتاب اللہ کی کون سی آیت تمہارے نزدیک سب سے باعظمت ۲؎ ہے؟ ، میں نے عرض کیا: اللہ اور اس کے رسول زیادہ جانتے ہیں، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے پھر فرمایا: ابومنذر! کتاب اللہ کی کون سی آیت تمہارے نزدیک سب سے بڑی ہے؟ ، میں نے عرض کیا: «الله لا إله إلا هو الحي القيوم» ، تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے میرے سینے کو تھپتھپایا اور فرمایا:  اے ابومنذر! تمہیں علم مبارک ہو ۔
--------------
Ubayy bin Kab said: The Messenger of Allah صلی اللہ علیہ وسلم said: Abu al-Mundhir, which verse of Allah's Book that you have is creates ? I replied: Allah and His Messenger know best. He said: Abu al-Mundhir, which verse of Allah's that you have is greatest ? I said: Allah, there is no god but He, the Living, the Eternal. Thereupon he struck me on the beast and said: May knowledge be pleasant for you, Abu al-Mundhir.
---------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1460

Ek shakhs ne dusre shakhs ko ek surat ko barbar parhte suna jab subah huwi toh woh Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke pass aaya aur iska tazkira kiya kuyke wo uss surat ko kamtar samajh raha tha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hain!

Ek shakhs ne dusre shakhs ko ek surat ko barbar parhte suna jab subah huwi toh woh Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke pass aaya aur iska tazkira kiya kuyke wo uss surat ko kamtar samajh raha tha?

Sawal1: wo shakhs kaunsa surah ko kumtar samaj raha tha?

A: Surat un Naas
B: Ayat Al Kursi
C: Surat ul Baqara ki akhri do ayat
D: Surat ul Asar
E: Surat ul Falaq
F: Surat ul Kafiroon
G: Surat ul Ikhlaas
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal2: Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne uss surat ki kya fazilat batayi? 

Apna jawab khud likhe……………….?

****************

Sahi Jawab - ✅G/Ek tihai Quran ke barabar hain.

Reference📚:

Surat ul Ikhlaas ki fazilat
-------------
Ek shakhs ne dosray shakhs ko « قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ » barbar parhte suna, jab subah huwi to woh Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke paas aaya aur Aap se is ka tazkara kiya, goya woh is surat ko kamtar samajh raha tha, Nabi Akram Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Qasam hai is zaat ki jis ke haath mein meri jaan hai, yeh (surah) Ek tihai Quran ke barabar hain.
---------------
Abu Saeed al-Khudri said: A man heard another man reciting  Say, He is Allah, One  He was repeating it. When the next morning came, he went to the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam and mentioned to him. The man tool it (this surah) as a small one. The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam said: By Him in Whose Hand is my life, it is equivalent to a third of the Quran. 
---------------
Sahih Hadees

Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1461

Ek baar ek sahabi Rasoo-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke saath safar mein unki oont ki nakeel pakar kar chal rahe thy, tabhi Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne un sahabi ko kuch behtareen suratein shikayi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Ek baar ek sahabi Rasoo-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke saath safar mein unki oont ki nakeel pakar kar chal rahe thy, tabhi Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne un sahabi ko kuch behtareen suratein shikayi?

Sawal: wo suratein kaun si hain jinhe wo sahabi seekney se bohat zaida khush na thy?


A: وَ الۡعَصۡرِ
B: اِذَا جَآءَ نَصۡرُ اللّٰہِ وَ الۡفَتۡحُ
C: قُلْ أَعُوذُ بِرَبّ النَّاسِ
D: قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
E: قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ
F: قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - EC✅

Reference📚:
-------
Uqbah ibn Amir Radi Allahu Anhu kehte hain ke  mein ek safar mein Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke oont ki nakeel pakar kar chal raha tha, Aap ne farmaya Uqbah! kya mein tumhe do behtareen suratein na sikhaon? phir Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe « قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ » aur « قُلْ أَعُوذُ بِرَبّ النَّاسِ» sikhayin, lekin Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhe un dono (ke seekhnay) se bohat ziyada khush hotay nah paaya, chunancha jab Aap Sal-Allahu alaihi wasallam Fajar ke liye (sawari se) utare to logon ko namaz parhai aur yahi dono suratein parheen, phir jab namaz se farigh huwe to meri taraf mutwajjah ho kar farmaya Uqbah! tum ne inhen kya samjha hain.
----------------
Narrated Uqbah ibn Amir: I was driving the she-camel of the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam during a journey. He said to me: Uqbah, should I not teach you two best surahs ever recited? He then taught me:  Say, I seek refuge in the Lord of the dawn,   and  Say, I seek refuge in the Lord of men.   He did not see me much pleased (by these two surahs). When he alighted for prayer, he led the people in the morning prayer and recited them in prayer. When the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam finished his prayer, he turned to me and said: O Uqbah, how did you see.
-------------- 
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1462

Hadith ke hawale se Allah Subhanahu ka ism e Aazam kaun kaun see ayato mein hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Hadith ke hawale se Allah Subhanahu ka ism e Aazam kaun kaun see ayato mein hain?

A: Surat ur Rehman (Ayat No.1)
B: Surat ul Baqara (Ayat No. 163)
C: Surat ul Maeeda (Ayat No. 5)
D: Surat Aal-e-Imran (Ayat No. 1 & 2)
E: Surat ul Waqiya (Ayat No. 10, 11)
F: Surat ul Anaam (Ayat No. 164 & 165)
G: Surat ul Ikhaas (Ayat No. 1 & 2)

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************

Sahi Jawab - BD✅

Reference📚:
-------------
Nabi Akram Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ka Ism Azam (Azeem naam) un dono aayaton (02:163)«وإلهكم إله واحد لا إله إلا هو الرحمن الرحيم» aur Surah Ale Imran ki ibtidayi aayat (03:1-2)«الله لا إله إلا هو الحي القيوم» mein hai
--------------
Asma daughter of Yazid reported the Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam as saying:  Allah's Greatest Names is in these two verses:  And your Ilaah (God) is One Ilaah (God), none has the right to be worshipped but He, the Ever-Merciful, the Mercy-Giving' and the beginning of Surah Al Imran,  A. L. M Allah, there is no deity but He, the Living, the Eternal.
--------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1496

Mahfum e hadith ke mutabiq Astagfar karne walo ke liye kya fazilat ya inamat hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Astagfar karne walo ke liye kya fazilat ya inamat hain?

A: Uske gunah maaf kar diye jayege chahe wo maidan e jund se bhag gaya ho
B: Tangi se nikalne ka ek raasta farmayega
C: Gam se nijat
D: Rozi ata farmayega 
E: Qarz se nijat
F: uska Amal nama usse khush kardega 
G: Jannat mein ghar 
H: Achchi Sehat  

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

*************

Sahi Jawab - ABCDF✅

Reference📚:

Astagfar ki fazilat
-------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne ye kalimat kahe to uske gunah maaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se bhag gaya ho

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ 

Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih 
Tarjuma : Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu 
Sunan Abu Dawud,Jild 1,1504-Sahih
------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Astigfar karne ko apne upar laazim karega to Allah subhanhu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har Gam se Nijat dega aur aisee jagah se Rozi ata farmayega jahan se usko Guman bhi nahi hoga
Al Muajjam Al Kabir,Tabrani-Sahih
------
Zubair bin awwam radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo aadmee ye baat pasand karta ho ki uska aamal nama usko khush kar de to wo zyada se zyada astagfar kiya kare
Sahih Hadees
Al Silsila Sahiha ,2945

kaunsi namaz ko kaha gaya hai ke wo bahut ziada rujoo karne wale he iski hifazat karte hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunsi namaz ko kaha gaya hai ke wo bahut ziada rujoo karne wale he iski hifazat karte hai?

A: Fajar ki namaz
B: Isha ki namaz
C: Ishraaq ki namaz
D: Tahajjud ki namaz
E: Asr ki namaz
F: Salatul Tauba ki namaz
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar
***************

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:
-----------------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se farmaya (Allah ta’ala ki taraf) bohat ziyada rujoo karne wala hi Ishraaq ki namaz ki hifazat karta hai, aur yeh rujoo karne walon ( اوابین ) ki namaz hai
---------------
عن أبي هُرَيْرَة، قال: قال رَسُول الله  صلی اللہ علیہ وسلم : لَا يُحَافِظُ عَلَى صَلَاةِ الضُّحَى إِلَا أَوَّابٌ وَهِي صَلَاة الْأَوَّابِين. 
---------------
ابوہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ( اللہ تعالیٰ كی طرف) بہت زیادہ رجوع  كرنے والا ہی اشراق  كی نماز كی حفاظت كرتا ہے، اور یہ رجوع كرنے والوں( اوابین) كی نماز
----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 772
----------------
Note: Chasht aur Ishraq dono Ek hi Namaz ke naam Hain

Ek Sahabi Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khidmat kiya karte thy aur aksar wo Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko ek dua pardhte suna karte thy


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek Sahabi Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khidmat kiya karte thy aur aksar wo Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko ek dua pardhte suna karte thy

Sawal: Wo kaunsi dua thi joh aksar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam pardha karte thy?

A: اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ عِلْمًا نَافِعًا، ‏‏‏‏‏‏وَرِزْقًا طَيِّبًا، ‏‏‏‏‏‏وَعَمَلًا مُتَقَبَّلًا
B: رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا إِنَّكَ أَنْتَ السَّمِيعُ العَلِيمُ
C: رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ
D: اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي هَزْلِي وَجِدِّي وَخَطَاىَ وَعَمْدِي، وَكُلُّ ذَلِكَ عِنْدِي
E: للَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عِلْمٍ لَا يَنْفَعُ، ‏‏‏‏‏‏وَمِنْ قَلْبٍ لَا يَخْشَعُ، ‏‏‏‏‏‏وَمِنْ نَفْسٍ لَا تَشْبَعُ، ‏‏‏‏‏‏وَمِنْ دُعَاءٍ لَا يُسْمَع*ُ،‏‏‏‏
F: اللَّهُمَّ أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْهَمِّ، ‏‏‏‏‏‏وَالْحَزَنِ، ‏‏‏‏‏‏وَضَلْعِ الدَّيْنِ، ‏‏‏‏‏‏وَغَلَبَةِ الرِّجَالِ
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezaar?


********************
Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
---------
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu kehte hain ke wo Nabi Akram Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki khidmat karta tha to mein aksar Aap ko yeh dua parhte sunta tha : 
اللَّهُمَّ أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْهَمِّ، ‏‏‏‏‏‏وَالْحَزَنِ، ‏‏‏‏‏‏وَضَلْعِ الدَّيْنِ، ‏‏‏‏‏‏وَغَلَبَةِ الرِّجَالِ »
Eh Allah! Mein teri panah mangta hon andaishay aur gham se, karz ke boojh se aur logon ke tasallut se.
-------------
Anas bin Malik said: I used to serve the Prophet صلی اللہ علیہ وسلم and often hear him say:  O Allah, I seek refuge in You from grief and anxiety, from the hardships of debt, and from being overpowered by men. 
--------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1541

kaunse amal karne se beemari se tandrusti hasil hoti hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse amal karne se beemari se tandrusti hasil hoti hain

A: Astagfaar padne se
B: Thande pani se Wazu karne se
C: Garam pani peene se 
D: Baith kar pani peene se
E; Teen saans mein pani peene se
F: Subah Shaam Surah Ikhlas aur Surah Naas dum karne se
G: In mein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*********************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
------
Hazrat Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi ﷺ peene mein teen martaba saans lete they, aur farmatay they is se khoob Sairy hoti hai, pyaas bhi ziyada bujhti hai ya beemari se tandrusti hoti hai aur pani aasani se galaay se utarjata hai, aur Hazrat Anas RadiAllahu Anhu farmatay hain : ke mein peenay mein teen martaba saans laita hu
------
حضرت انس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی ﷺپینے میں تین مرتبہ سانس لیتے تھے ، اور فرماتے تھے : اس سے خوب سیری ہوتی ہے ، پیاس بھی زیادہ بجھتی ہے یا بیماری سے تندرستی ہوتی ہے ، اور پانی آسانی سے گلے سے اترجاتا ہے ،اور حضرت انس رضی اللہ عنہ فرماتے ہیں: کہ میں پینے میں تین مرتبہ سانس لیتا ہوں
------
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees No. 5287

Ek baar kuch sahabi ek qabeele ke pass se guzre jaha ek shaksh ko bichcho ne kaat liya tha phir ek sahabi ne uska ilaj kar diya aur usko shifa mil gayee

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hai!

Ek baar kuch  sahabi ek qabeele ke pass se guzre jaha ek shaksh ko bichcho ne kaat liya tha phir ek sahabi ne uska ilaj kar diya aur usko shifa mil gayee

Sawal : US sahabi ne kaunsi dua ya surah ya aayatein  padh kar ilaj kiya tha?

A. Surah Abqara ki aakhri aayatien
B. Surah Falaq
C. Aayat Al Kursi
D. Surah An Nas
E. Surah Fatiha
F. Aawuzo bikalimatillahittammati min sharri ma khalaq
G. Inmein se koi nahi

H. Sahi jawab ka intezar

Sawal 2 : Uske badle unko kya mila?

A. Dinar
B. Sona
C. Bakriyah
D. Ghar
E. Khana
F. Oont
G. Inmein se koi nahi

H. Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - E/C✅

Reference📚:
--------------
Chand sahaba ek pani se guzray jis ke paas ke qabeela mein bichhoo ka kaata huwa (ladaik ya Saleem Ravi ko un dono alfaaz ke mutaliq shuba tha) 1 shakhs tha qabeela ka 1 shakhs un ke paas aaya aur kaha kya aap logon mein koi dam jhaad karne wala hai hamaray qabeela mein 1 shakhs ko bichhoo ne kaat liya hai chunancha sahaba ki is jamaat mein se ek sahabi is shakhs ke saath gaye aur chand bakriyon ki shart ke sath is shakhs par Surah Fatiha parhi, is se woh achaa ho gaya woh sahib shart ke mutabiq bakriyan apne sathiyon ke paas laaye to unhon ne usay qubool kar lena pasand nahi kiya aur kaha ke Allah ki kitaab par tum ne ujrat le li aakhir jab sab log Madina aaye to arz kiya ke ya Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam un sahib ne Allah ki kitaab par ujrat le li hai. Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke jin cheezon par tum ujrat le satke ho un mein se ziyada is ki mustahiq Allah ki kitaab hi hai .
---------------
 چند صحابہ ایک پانی سے گزرے جس کے پاس کے قبیلہ میں بچھو کا کاٹا ہوا  ( لدیغ یا سلیم راوی کو ان دونوں الفاظ کے متعلق شبہ تھا )  ایک شخص تھا۔ قبیلہ کا ایک شخص ان کے پاس آیا اور کہا کیا آپ لوگوں میں کوئی دم جھاڑ کرنے والا ہے۔ ہمارے قبیلہ میں ایک شخص کو بچھو نے کاٹ لیا ہے چنانچہ صحابہ کی اس جماعت میں سے ایک صحابی اس شخص کے ساتھ گئے اور چند بکریوں کی شرط کے ساتھ اس شخص پر سورۃ فاتحہ پڑھی، اس سے وہ اچھا ہو گیا وہ صاحب شرط کے مطابق بکریاں اپنے ساتھیوں کے پاس لائے تو انہوں نے اسے قبول کر لینا پسند نہیں کیا اور کہا کہ اللہ کی کتاب پر تم نے اجرت لے لی۔ آخر جب سب لوگ مدینہ آئے تو عرض کیا کہ یا رسول اللہ! ان صاحب نے اللہ کی کتاب پر اجرت لے لی ہے۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جن چیزوں پر تم اجرت لے سکتے ہو ان میں سے زیادہ اس کی مستحق اللہ کی کتاب ہی ہے۔ 
--------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 5737

Mahfum e hadith ke mutabiq Behtareen shakhs inmein se kis kis ko kaha gaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Behtareen shakhs inmein se kis kis ko kaha gaya hain?

A: Jiski Umar lambi ho aur aamal naik ho
B: Jo apna karz behtar tareeqe se adda kare
C: Jo Quran sheeke aur dusro ko bhi sheekaye
D: Jine dehk kar Allah ki yaad ajaye
E: Jo zaida astagfar padhte ho
F: Jo apne namazo ki nigebani karte ho
G: Jo zaida sadqa karte hain
H: Jo apne waledain ke farmabadari karte hain

I: Sahi Jawab ka intezaar
****************

Sahi Jawab - ABCD✅

Reference📚:
---------------
Jabir Bin Abdullah RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Raool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya mein tumahray behtareen shakhs ke baray mein nah batao? Tum mein Behtareen shakhs woh hai jis ki Umar taweel hai aur aamaal Naik hain
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1601
******
Ek shakhs Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam se apna karz ka oont mangnay aaya toh Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ney sahaba se farmaya ke usay is ka oont dedo sahaba ney arz kiya ke karz khuwa ke oont se achi Umar ka hi oont mil raha hai is par is shakhs (karz khuwa) ney kaha mujhe tum ney mera poora haq diya tumhe Allah tumhara haq poora poora de! Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ney farmaya ke usay wohi oont de do kyunkay behtareen shakhs woh hai jo sab se ziyada behtar tareeqa par apna karz ada karta ho.
-----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 2392
*****
Usmaan RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya :' '”tum mein se behtareen shakhs woh hai jis ney quran seekha aur (doosron ko) sikhaya.'
-------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 2109
******
Abu Malik Ashari RadiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain 
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha  hadees # 3412

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Fajar ki do rakato mein aur Maghrib ki sunnat namaz mein inmein se kaunsa surah padha karte thy?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hai!

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Fajar ki do rakato mein aur Maghrib ki sunnat namaz mein inmein se kaunsa surah padha karte thy?

A: Surah ul Falaq
B: Surah un Naas
C: Surah ul Ikhlas
D: Surah ul Kafiroon
E: Surat un Nasar
F: Surat ul Kausar
G: Surat ul Quraish 

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - DC✅

Reference📚:
--------------
Abdullah Bin Umar RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alahih Wasallam Fajar ki do rakate aur Maghrib ke baad do rakato mein الکفرون ، الاخلاص parha karte thay
-------------
عن ابن عُمَرَ أَنَّ النَّبِي صلی اللہ علیہ وسلم كَانَ يَقْرَأُ فِي رَكْعَتَي الْفَجْرِ (وَالرَّكْعَتَيْنِ بَعْدَ الْمَغْرِبِ  قُلۡ یٰۤاَیُّہَا الۡکٰفِرُوۡنَ ۙ﴿۱﴾ قُلۡ ہُوَ  اللّٰہُ  اَحَدٌ  ۚ﴿۱﴾
-----------
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم فجر كی دو ركعتوں (اور مغرب كے بعد دو ركعتوں میں الکفرون ، الاخلاص  پڑھا كرتے تھ
-------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 702

Mafhum e hadith ke mutabiq inmein se kaunse Amal ko Behtareen Amal kaha gaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq inmein se kaunse Amal ko Behtareen Amal kaha gaya hain?

A: Subah shaam ke azkar padhna 
B: Yateem ki parwarish karna
C: Duniya parasti mein mashgul na hona
D: Nikha karna 
E: Duniya mein aise raho jaise ke yh tumhara akhiri din ho 
F: Duniya se iss terhan jao ke tumhari zaban Allah ke zikr se tar ho 
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

*******************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
------------------
Abdulla bin busr Mazni RadiAllahu Anhu kehte hain ke doh badu Rasool- Allah sallallahu alaihi wasallam ke paas aaye Ek ne kaha Eh Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam! Kaunsa shakhs behtar hai? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya is shakhs ke liye khushkhabri ho jis ki Umar lambi Hui, aur is ne naik aamaal kiye dosray shakhs ne kaha kaunsa Amal behtar hai? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Behtareen Amal yeh hai ke tum duniya se is terhan jao ke tumhari zabaan Allah ke zikar se tar ho.
--------------
عبداللہ بن بسر مازنی کہتے ہیں کہ دو بدو رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئے ۔ایک نے کہا: اے اللہ کے رسول! کونسا شخص بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس شخص کے لئے خوشخبری ہو جس کی عمر لمبی ہوئی ،اور اس نے نیک اعمال کئے۔ دوسرے شخص نے کہا: کونسا عمل بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ: بہترین عمل یہ ہے کہ تم دنیا سے اس طرح جاؤ کہ تمہاری زبان اللہ کے ذکر سے تر ہو
----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2864

Ek Sahabi ko Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne tohfa diya to wo kehne lage ke aap ye cheez mujh se ziada zaroorat mand ko dede..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek Sahabi ko Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne tohfa diya to wo kehne lage ke aap ye cheez mujh se ziada zaroorat mand ko dede..

Sawal1: Wo sahabi kaun thy?

A: Tamim Dari RadiAllahu Anhu
B: Dahya Kalbi RadiAllahu Anhu
C: Maaz Bin Jabal RadiAllahu Anhu
D: Saad Bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu
E: Zubair Ibne Awwam RadiAllahu Anhu
F: Abdullah Bin Zubair RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal 2: Un Sahabi ki baat sun kar Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kya irshad farmaya?

A: Nabi ne kaha tum meri nazar mai iss maal ke sab se ziyada mustaheq ho
B: Tum ye tohfa ley lo aur sadqa kar do
C: Jo maal kisi sawal ke baghair mile toh usey le liya karo
D: Tum Jannat mein mere sab se qareeb honge
E: Iss tarha maal na mile to apne nafs ko iske peeche na lagaya karo
F: Apne padosio ko sadqa kar do
G: Apne biwi bacho mein taqseem kar do

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*************************

Sahi Jawab - G/BCE✅

Reference📚:

Abdullah Bin Saadi RadiAllahu Anhu, Syedna Umar Bin Khataab RadiAllahu ANhu ke daur khilafat mein un ke paas aeye, Syedna Umar RadiAllahu Anhu ne un se kaha mujhe maloom huwa hai ke tum ko logon ke umoor par mamoor kiya jata hai, phir jab aap ko is ki mazdoori di jati hai to tum is ko napasand karte ho, kya baat aisay hi hai? Unhon neh kaha jee haan, Syedna Umar RadiAllahu Anhu ne farmaya is se tumhara maqsad kya hai? is neh kaha mein ghoron aur ghulamoo ka malik aur maal wala hon, meri khwahish yeh hai ke meri yeh khidmat musalmanoon ke liye sadqa qarar paye. syedna Umar RadiAllahu Anhu neh kaha aisa mat karo, mein neh bhi tumhaari terhan ka iradah kiya tha, jab Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam mujhe atiyah dete to mein kehta tha ke aap yeh cheez mujh se ziyada zaroorat mand ko den, Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmatay ke yeh le lo aur is ko apna maal bana lo aur sadqa karo, is terhan ka jo maal kisi tama aur sawal ke baghair mil jaye to is ko le liya karo aur is terhan nah miley to apne nafs ko is ke peechay nah lagaya karo.
------------------
 عبداللہ بن سعدی، سیدنا عمر بن خطاب  رضی اللہ عنہ  کے دور خلافت میں ان کے پاس آئے، سیدنا عمر رضی اللہ عنہ نے ان سے کہا: مجھے معلوم ہوا ہے کہ تم کو لوگوں کے امور پر مامور کیا جاتا ہے، پھر جب آپ کو اس کی مزدوری دی جاتی ہے تو تم اس کو ناپسند کرتے ہو، کیا بات ایسے ہی ہے؟ انھوں نے کہا: جی ہاں، سیدنا عمر  رضی اللہ عنہ  نے فرمایا: اس سے تمہارا مقصد کیا ہے؟اس نے کہا: میں گھوڑوں اور غلاموں کامالک  اور مال والا ہوں، میری خواہش یہ ہے کہ میری یہ خدمت مسلمانوں کے لیے صدقہ قرار پائے۔  سیدنا عمر رضی اللہ عنہ  نے کہا: ایسا مت کرو، میں نے بھی تمہاری طرح کا ارادہ کیا تھا، جب نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  مجھے عطیہ دیتے تو میں کہتا تھا کہ آپ یہ چیز مجھ سے زیادہ ضرورت مندکودے دیں، آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم فرماتے کہ  یہ لے لو اور اس کو اپنا مال بنا لو اور صدقہ کرو، اس طرح کا جو مال کسی طمع اور سوال کے بغیر مل جائے تو اس کو لے لیا کرو اور اس طرح نہ ملے تو اپنے  نفس کو اس کے پیچھے نہ لگایا کرو۔ 
---------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5735

Inmein se wo kaun kaun si cheezain hai jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko aata ki gayi hain aur jo aur kisi Nabi ko nahi di gayeen hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Inmein se wo kaun kaun si cheezain hai jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko aata ki gayi hain aur jo aur kisi Nabi ko nahi di gayeen hain?


A: Zameen ki chabiya aata ki gayi
B: Ahmed naam rakha gaya
C: Matti ko paak kar di gayi
D: Ummat ko sab se behtareen banaya gaya
E: Shaffat aata ki gayi
F: tamam insano ke liye Nabi bana kar bheja gaya
G: tamam zameen ko sajda gaah bana diya hai 
H: Maal e Ganimat
I: Roab ke zariye madad ki gayi

J: Sahi Jawab ka Intezaar?


*********************

Sahi Jawab - ABCDEFGHI✅

Reference📚:
----------------
Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe paanch cheeze aisi di gayi hain jo mujh se pehlay kisi ko nahi di gayi theen ek Mahine ki masafat se roab ke zareya meri madad ki gayi hai aur tamam zameen mere liye sajda gaah aur paki ke Laiq banai gayi pas meri ummat ka jo insaan namaz ke waqt ko (jahan bhi) paley usay wahan hi namaz ada kar leni chahiye aur mere liye ghanemat ka maal halal kiya gaya hai mujhse pehlay yeh kisi ke liye bhi halal nah tha aur mujhe Shafaat ataa ki gayi aur tamam Anbia apni apni qoum ke liye maboos hotay they lekin mein tamam insanon ke liye aam tor par nabi bana kar bheja gaya hon
------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 335
----------------
Sayedna Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe woh cheezian ataa ki gayi hain, jo kisi Nabi ko nahi di gayeen. hum nay kaha EH Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam! woh kaun si hain? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya roab ke sath meri madad ki gayi hai, mujhe zameen ki chabiyan ataa ki gayi hain, mera naam Ahmed rakha gaya hai, matti ko mere liye pakk karne wala bana diya gaya hai aur meri ummat ko sab se behtareen ummat banaya gaya hai.
---------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 991

Wo kya cheez hai jisko Dozakh ki aag nahi jala sakti ?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal : Wo kya cheez hai jisko Dozakh ki aag nahi jala sakti ?

A: Insan ki zuban
B: Insan  ka dil
C: Momeen ke reed ki haddi
D: Momeen ki aankhein
E: Insan ke reed ki haddi
F: Momeen ki zuban
G: Inmein se koi nahi

H. Sahi Jawab ka intezar hai

*******************

Sahi Jawab - G✅ {sajdon ke nishaan}

Referecne📚:
-----------
Nabi Akram Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jahannum ki aag Ibn Adam ke saaray badan ko khaye gi siwaye sajdon ke nishaan ke, Allah Subahnahu taala ne aag par yeh haraam kiya hai ke woh sajdon ke nishaan ko khaye
----------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) said: “The Fire will consume all of the son of Adam except the mark of prostration. Allah has forbidden the Fire to consume the mark of prostration.’” 
---------------
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جہنم کی آگ ابن آدم کے سارے بدن کو کھائے گی سوائے سجدوں کے نشان کے، اللہ تعالیٰ نے آگ پر یہ حرام کیا ہے کہ وہ سجدوں کے نشان کو کھائے ۔ 
-----------------
Sahih Hadees 
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 4326

Mahfum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne in mein se kaun se sahabi ko acha Shakhs kaha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain aur dono sawal mein jawab ek se zaida hain!

Sawal1: Mahfum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne in mein se kaun se sahabi ko acha Shakhs kaha?

Sawal2:  Aur kaun se sahabi ko behtareen shaqs/aadmi kaha?

A: Hussain RadiAllahu Anhu
B: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
C: Umar RadiAllahu Anhu
D: Abu Ubaida bin Jarah RadiAllahu Anhu
E: Aaseed bin Huzair RadiAllahu Anhu
F: Saabit bin Qais bin Shamaas RadiAllahu Anhu
G: Maaz bin Jabal RadiAllahu Anhu
H: Umro bin Jamwa RadiAllahu Anhu

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

**********************

Sahi Jawab – 1. BCDEG✅
                           2. AFH✅

Reference📚:
------------
Yali bin maraah RadiAllahu Anhu se riwayat hain, kehte hain ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Hussain mujh se hai aur mein Hussain se hon. Allah Subhanahu ta’ala is se mohabbat kare jo Hussain se Mohabbat kare. Hussain aik behtareen nawasa hai, (ya behtareen shakhs hai) .
-------------
یعلی بن مرہ سے مروی ہے، کہتے ہیں کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: حسین مجھ سے ہےاور میں حسین سے ہوں۔ اللہ تعالیٰ اس سے محبت کرے جو حسین سے محبت کرے۔حسین ایک بہترین نواسہ ہے ،(یا بہترین شخص ہے)۔
-------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3477
---------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya acha shakhs hai Abubakr, acha shakhs hai Umar, acha shakhs hai Abu Ubaida bin Jarah, acha shakhs hai Aaseed bin Huzair, behtareen aadmi hai Saabit bin Qais bin Shamaas, behtareen aadmi hai Maaz bin Jabal aur acha shakhs hai Maaz bin Umro bin Jamwa RadiAllahu Anhu
----------
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ اچھا شخص ہے ابوبکر ، اچھا شخص ہے عمر ، اچھا شخص ہے ابوعبیدہ بن جراح ، اچھا شخص ہے اسید بن حضیر ، بہترین آدمی ہے ثابت بن قیس بن شماس ، بہترین آدمی ہے معاذ بن جبل اور اچھا شخص ہے معاذ بن عمرو بن جموح رضی اللہ عنھم ۔‘‘     اسنادہ صحیح ، رواہ الترمذی ۔
--------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 6233

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne yh kiske liye farmaya ke Aag uske ziyada layaq hogi ?

❗Only-Quran-Hadit-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne yh kiske liye farmaya ke Aag uske ziyada layaq hogi ?

A: jhoot bolne wala
B: jo yateem ka maal kha jaye
C: jo waledain ki nafarmai kare
D: jo sharab ka aadi ho
E: logo ke Aib nikalne wala
F: Ilm chupane wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

******************

Sahi Jawab - G ✅ (Joh Haram se pala hoga

Reference📚:
--------------
Syedna Jabir Bin Abdullah RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah  Sallallahu Alahih Wasallam ne Syedna Kaab Bin Ujrah RadiAllahu Anhu se farmaya Eh Kaab Bin Ujrah wo Gosht Jannat mein daakhil nahi hoga, jo haraam se pala hoga, Aag is ke ziyada Laiq hogi
--------------
 ۔ سیدنا جابر بن عبداللہ  رضی اللہ عنہما  سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے سیدنا کعب بن عجرہ  رضی اللہ عنہ  سے فرمایا:  اے کعب بن عجرہ! وہ گوشت جنت میں داخل نہیں ہو گا، جو حرام سے پلا ہو گا، آگ اس کے زیادہ لائق ہو گی۔  
--------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5726

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis ke liye farmaya samjho ke wo gharaat hogaya?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis ke liye farmaya samjho ke wo gharaat hogaya?

A: Joh Husn suluk nahi karta
B: Joh baat kare toh srif jhoot he bole
C: Joh budape mein apne maa baap ki khidmat na kare
D: Jis ke shar se uska padosi mehfuz na ho
E: Allah ki aayaton ko kum kimat mein bech de
F: Joh Namaz ka paband nahi
G: Jine apne padosi ki biwi ke saath zina kiya
H: Inmein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - H✅

Reference📚:
---------
Jis ke hisab mein jaach partaal ki gayi samjho woh gharaat hogaya
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwi Hazrat Aisha RadiAllahu Anhuma jab koi aisi battain sunnatain jis ko samajh nah patin to dobarah is ko maloom kartin taakay samajh len. chunancha ( aik martaba ) nabi kareem sale Allah aleh wasallam ney farmaya ke jis se hisaab liya gaya usay azaab kya jaye ga. hazrat aisha razi Allah anha farmaati hain ke ( yeh sun kar ) mein ney kaha ke kya Allah ney yeh nahi farmaya ke anqareeb is se aassan hisaab liya jaye ga? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ney farmaya ke yeh sirf (Allah ke darbaar mein ) paishi ka zikar hai. lekin jis ke hisaab mein jaanch partaal ki gayi ( samjhoo ) woh ghaarat ho gaya.
----------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی بیوی حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا جب کوئی ایسی باتیں سنتیں جس کو سمجھ نہ پاتیں تو دوبارہ اس کو معلوم کرتیں تاکہ سمجھ لیں ۔ چنانچہ ( ایک مرتبہ ) نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس سے حساب لیا گیا اسے عذاب کیا جائے گا ۔ حضرت عائشہ رضی اللہ عنہا فرماتی ہیں کہ ( یہ سن کر ) میں نے کہا کہ کیا اللہ نے یہ نہیں فرمایا کہ عنقریب اس سے آسان حساب لیا جائے گا ؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ یہ صرف ( اللہ کے دربار میں ) پیشی کا ذکر ہے ۔ لیکن جس کے حساب میں جانچ پڑتال کی گئی ( سمجھو ) وہ غارت ہو گیا ۔
--------------
Narrated Ibn Abu Mulaika: Whenever `Aisha (the wife of the Prophet) heard anything which she did not understand, she used to ask again till she understood it completely. Aisha said: "Once the Prophet (ﷺ) said, "Whoever will be called to account (about his deeds on the Day of Resurrection) will surely be punished." I said, "Doesn't Allah say: "He surely will receive an easy reckoning." (84.8) The Prophet (ﷺ) replied, "This means only the presentation of the accounts but whoever will be argued about his account, will certainly be ruined."
--------------
Reference : Sahih al-Bukhari 103
In-book reference : Book 3, Hadith 45
USC-MSA web (English) reference : Vol. 1, Book 3, Hadith 103

Wo kaun hai jiss per mohar laga di jayegi aur qayamat mein log usse uski khusbhu se pehchan lenge ke yh falah shaqs hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kaun hai jiss per mohar laga di jayegi aur qayamat mein log usse uski khusbhu se pehchan lenge ke yh falah shaqs hai?

A: Muttaqqi
B: Shuhada 
C: Muaazzin 
D: Alim
E: Quran e Hafiz
F: Tahhajjud Guzaar
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
----------------
Syedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem  Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ta’ala kisi aadmi ke pait mein raah e khuda ka gubhar aur jahannum ka dhuwan jama nahi karega, jis ke pav Allah ke rastay mein khaak alood ho gaye Allah Subahnahu ta’ala is ke baqi jism par bhi aag ko haraam kar dega, jis naay Allah Subahanhu ta’ala ke rastay mein ek roza rakha, Allah Subahnahu ta’ala is ko ek hazaar saal ki masafat aag se durr kar dega, jabkay is arsay mein masafate karne wala jaldi chalne wala sawaar ho, jis ko Allah Subahnahu ta’ala ke rastay mein zakham laga, is par Shuhada ki mohar laga di jayegi, woh zakham is ke liye qayamat ke din noor hoga, is ka rang zafran ki terhan ka aur khusbhoo kastoori ki terhan ki hogi, aglay pichalle is ko pehchan lenge, log kahin ge falan aadmi par Shuhada ki mohar hai aur jis naay Allah Subahnahu ke rastay mein oontni ke do baar dubne ki darmiyani muddat ke barabar jihaad kiya to is ke liye jannat wajib hogayi.
---------------
 ۔ سیدنا ابودرداء  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ کسی آدمی کے پیٹ میں راہِ خدا کا غبار اور جہنم کا دھواں جمع نہیں کرے گا، جس کے پاؤں اللہ کے راستے میں خاک آلود ہو گئے، اللہ تعالیٰ اس کے باقی جسم پر بھی آگ کو حرام کر دے گا، جس نے اللہ تعالیٰ کے راستے میں ایک روزہ رکھا، اللہ تعالیٰ اس کو ایک ہزار سال کی مسافت آگ سے دور کر دے گا، جبکہ اس عرصے میں مسافت طے کرنے والا جلدی چلنے والا سوار ہو، جس کو اللہ تعالیٰ کے راستے میں زخم لگا، اس پر شہداء کی مہر لگا دی جائے گی، وہ زخم اس کے لیے قیامت کے دن نور ہو گا، اس کا رنگ زعفران کی طرح کا اور خوشبو کستوری کی طرح کی ہو گی، اگلے پچھلے اس کو پہچان لیں گے، لوگ کہیں گے: فلاں آدمی پر شہداء کی مہر ہے اور جس نے اللہ کے راستے میں اونٹنی کے دو بار دوہنے کی درمیانی مدت کے برابر جہاد کیا تو اس کے لیے جنت واجب ہو گئی۔   
--------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 4830

Mahfum e Hadith ke mutabiq wo kaunsa Amal hai joh Allah Subhanahu ke nazdeek Namaz, Zakat aur Jihad se bhi zaida Mehboob ya pasandeeda Amal hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfum e Hadith ke mutabiq wo kaunsa Amal hai joh Allah Subhanahu ke nazdeek Namaz, Zakat aur Jihad se bhi zaida Mehboob ya pasandeeda Amal hain?

A: Ahle baith se Mohabbat
B: Sahabi RadiAllahu Anhuma se Mohabbat
C: Paak rehna
D: Masjid tamir karna 
E: Waliden se Mohabbat karne wala 
F: Allah ke liye Mohabbat karna aur ussi ke liye bughz rakhne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

****************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
------------
Sayedna Abbu Zar RadiAllahu Anhu se riwayat hain, woh kehte hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam hamaray paas tashreef laaye aur farmaya: kya tum jantay ho ke konsa amal Allah Subhanahu ta’ala ko sab se ziyada Mehboob hain? ek aadmi naay kaha Namaz aur zakat, aur kisi ne kaha ke Jihaad hai, Aap  Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya beshak Allah Subhanahu ta’ala ko sab se ziyada pasandeeda Amal yeh hai ke Allah Subhanahu ta’ala ke liye mohabbat ki jaye aur ussi ke liye bughz rakha jaye.
--------------
 ۔ سیدنا ابو ذر رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ہمارے پاس تشریف لائے اور فرمایا: کیا تم جانتے ہو کہ کون سا عمل اللہ تعالیٰ کو سب سے زیادہ محبوب ہے؟ ایک آدمی نے کہا: نماز اور زکوۃ، اور کسی نے کہا کہ جہاد ہے، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: بیشک اللہ تعالیٰ کو سب سے زیادہ پسندیدہ عمل یہ ہے کہ اللہ تعالیٰ کے لیے محبت کی جائے اور اُسی کے لیے بغض رکھا جائے۔
--------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 9447

Mahfuhm e hadith ke mutabiq wo kaun se amal ki wajah se insan ke dil mein ek siyah nuqtta lag jata hain joh Qayamat tak usse koi cheez saaf nahi kar sakegi..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq wo kaun se amal ki wajah se insan ke dil mein ek siyah nuqtta lag jata hain joh Qayamat tak usse koi cheez saaf nahi kar sakegi..

A: Yateem ka maal khane wala 
B: kisi Musalmaan per tohmat lagana
C: Geebat karna
D: Apne bhai se bugz rakhne wale
E: Musalman ka maal Jhooti qasam kha kar hatyana
F: Munafiq
G: Riyakari karne wale
H: Inmein se koi nahi

I. Sahi Jawab ka intezaar

****************

Sahi Jawab - E ✅

Reference📚:
----------------------
Abu Imama Bin Salbi RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah (ﷺ) ne farmaya jis shakhs ne kisi Musalman ka maal jhooti qasam kha kar hatya liya is ke dil mein ek siyah nuqta lag jaye ga, Qayamat tak usse koi cheez saaf nahi kar sakegi.
-----------------------
 ابو امامہ بن ثعلبہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا: جس شخص نے کسی مسلمان کا مال جھوٹی قسم کھا کر ہتھیا لیا اس کے دل میں ایک سیاہ نقطہ لگ جائے گا، قیامت تک اسے کوئی چیز صاف نہیں کر سکے گی 
---------------------
Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1180

Rasool-Allah Sallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke unhe Namaz-e-Fajar se tulu e aftaab taq yh Namaz-e-Asar se ghuroob aftaab tak baith kar Allah Subhanahu ka zikr karte rahe yh tasbeeh aur tahleel bayan karte rahe toh usse bhi ziyada mehboob unhe wo amal hai…

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke unhe Namaz-e-Fajar se tulu e aftaab taq yh Namaz-e-Asar se ghuroob aftaab tak baith kar Allah Subhanahu ka zikr karte rahe yh tasbeeh aur tahleel bayan karte rahe toh usse bhi ziyada mehboob unhe wo amal hai…

Sawal: Wo Amal kaunsa hai?

A: SubhanAllaahi wa bihamdihi Adada khalqihi ,Wa ridhaa nafsihi, Wa zinata Arshihi  Wa Midaada Kalimaatihi
B: Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
C: Subhanaka Allahumma Wa bi hamdika, Wa tabarakas-muka, wa taala jadduka, wa la ilaha gairuka.
D: La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
E: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem
F: Allahu Akbar kabira wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab – G✅

Reference📚:
------------
Syedna Abu Amama RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar mein (Namaz-e Fajar se) tulu aftaab taq baith kar Allah taala ka zikar karta rahon aur is ki barayi, hamd, tasbeeh aur Tahleel bayan karta rahon to yeh amal mujhe is se ziyada mehboob hai ke mein Ismael Alaihi Salam ki aulaad mein se do ya zayed gardanon ko azad karoon, aik rivayet mein chaar gardanon ka zikar hai, aur agar mein Namaz-e Asar se ghuroob aftaab taq yahi zikar karta rahon to yeh Amal mujhe is se ziyada pasand ho ga ke mein Ismael Alaihi Salam ki aulaad se chaar gardanein azad karoon .
------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5508
******
In sha Allah hum bhi yh sawab roz kama sakte hain roz subah aur shaam 10 martaba yh kalimat padne se
----------------------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jo Shaks Subha ke waqt 
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ،
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu lahul mulk wa lahul hamd wa huwa ala kulli shayee qadir 
kahe to usko Ismail Alaihi Salam ki Aulad mein se ek gardan (yani gulam) Aazad Karne ke barabar sawab milega, uske liye 10 nekiyan likhi jayegi ,10 burayeeya mita di jayegi aur uske 10 darjat buland Kar diye jayenge ,aur wo Shaam tak Shaitan ki burayee se Mehfuz rahega aur agar Shaam ke Waqt kahe to Subah tak uske Sath yahi mamala Hoga
---------------------
Sunan Abi Dawood Jild 3 ,1640-Sahih

kaunse shaqs ko Allah Qayamat ke din tak sawab se nawazta rahega aur Qayamat ke roz bhi usse pura pura sawab aata karega?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ko Allah Qayamat ke din tak sawab se nawazta rahega aur Qayamat ke roz bhi usse pura pura sawab aata karega?

A: Jo Mazak mein bhi jhoot na bole
B: Jo har roz Quran ki tilawat karta hai
C: Jo Yateem ki parwarsih karta hai
D: Jab banda namaz ke liye ghar se nikalta hai 
E: Jo Gheebat karne se apni hifazat karta hai
F: Jo apne Zuban ki hifazat kare
G: Jo Chast ki namaz padhta hai 
H: Inmein se koi nahi 

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

***************

Sahi Jawab – H ✅{ apni zabaan ko aisi neki ke liye istemaal karta hai ke jis par is ke baad bhi amal kiya jata hai}

Reference📚: 

Sayedna Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shakhs apni zabaan ko aisi neki ke liye istemaal karta hai ke jis par is ke baad bhi amal kiya jata hai to Allah Subahnahu taala usay Qayamat ke din taq sawab se nawazta rehta hai aur qayamat ke roz usay poora poora sawab ataa karega.
----------------
 ۔ سیدناانس بن مالک رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو شخص اپنی زبان کو ایسی نیکی کے لیے استعمال کرتا ہے کہ جس پر اس کے بعد بھی عمل کیا جاتا ہے تو اللہ تعالیٰ اسے  قیامت کے دن تک ثواب سے نوازتا رہتا ہے اور قیامت کے روز اسے پورا پورا ثواب عطا کرے گا۔ 
------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 3638

Allah Subhanahu jab kisi band ke saath bhalayi chahata hai toh uske saath kya farmata hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hai!

Sawal: Allah Subhanahu jab kisi band ke saath bhalayi chahata hai toh uske saath kya farmata hai? 

A: Deen ki samajh aata farma deta hai
B: Logo mein mehboob bana deta hai
C: Tauba karne ki taufeeq aata farma deta hai
D: Neik Amal karne ki taufeeq aata farma deta hai
E: Museebato mein mubtala kar deta hai
F: Rizq mein barkat aata farna deta hai
G: Fariston ke samne unka zikr karte hai
H: Beemari ki takleef mein mubtala kar deta hai

I: Sahi Jawab ka intezaar?

**************

Sahi Jawab - ABDEH✅

Reference📚:
------------
Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jab Allah Subhanahu Kisi bande ke sath bhalayee Ka irada karta hai to usay logo main mehboob bana deta hai kisi ne Kaha mehboob bana dene se kya murad hai ? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu usko Marne se pehle neik aamal Karne ki taufeeq ata farma deta hai phir ussi halat par usko maut de deta hai
Musnad Ahmed 2985 – Sahih
*******
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jiske saath Allah subhanahu bhalayee chahta hai usko deen ki samajh ata farma deta hai aur Allah hi dene wala hai aur main to taqseem karne wala hu aur ye ummat apne dushmano ke muqable mein hamesha galib rahegi yaha tak ki Allah ka hukm (Qayamat) aa jaye aur us waqt bhi ye galib hi hogi
Sahih Bukhari, Jild 4, 3116 
******
Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu jiske saath khair aur bhalaii karna chahta hai usey beemari ki takleef aur dusri musibaton mein mubtala kar deta hai. 
Sahih Bukhari, Vol 7, 5645

Yh Misal inmein se kiske liye bayan farmayi hain? Uss ghor sawaar ki si hai jis ko iska ghora usse apni pusht par sawaar kar ke Allah Subhanahu ke rastay mein apne dushman ki taraf ghoray par taizi se dora ja raha ho

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Yh Misal inmein se kiske liye bayan farmayi hain?
Uss ghor sawaar ki si hai jis ko iska ghora usse apni pusht par sawaar kar ke Allah Subhanahu ke rastay mein apne dushman ki taraf ghoray par taizi se dora ja raha ho 

A: Jihad karne wale ke liye
B: Shaheed ke liye
C: Har waqt ba wazu rehne wale ke liye
D: Beemar ki Adayat karne wale shaqs ke liye
E: Ek namaz ke baad doosri namaz ka intezaar karne wale ke liye
F: Hajj karne wale shaqs ke liye
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
---------------------
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ek namaz ke baad doosri namaz ka intezaar karne walay ki misaal is ghor sawaar ki hai, jis ko is ka ghora usay apni pusht par sawaar kar ke Allah ke rastay mein apne dushman ki taraf ghoray par taizi se dora ja raha ho, jab taq intezaar karne wala shakhs be wudu nahi ho jata, is waqt taq farishtay is ke liye duaye rehmat karte rehtay hain, jabkay woh aadmi rabat akbar mein hota hai.
-------------------
سیدنا ابو ہریرہؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  ایک نماز کے بعد دوسری نماز کا انتظار کرنے والے کی مثال اس گھوڑ سوار کی ہے، جس کو اس کا گھوڑا اسے اپنی پشت پر سوار کر کے اللہ کے راستے میں اپنے دشمن کی طرف گھوڑے پر تیزی سے دوڑا جا رہا ہو، جب تک انتظار کرنے والایہ شخص بے وضو نہیں ہو جاتا، اس وقت تک فرشتے اس کے لیے دعائے رحمت کرتے رہتے ہیں، جبکہ وہ آدمی رباطِ اکبر میں ہوتا ہے۔ 
--------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 1037

Anbiya ke waris kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal : Anbiya ke waris kaun hain?

A: Sahaba Radi Allahu Anhu
B: Ilm wale
C: Hijrat karne wale
D: Jihad karne wale
E: Tahajjud padhne wale
F: Hajj karne wale
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezar hai

***************

Sahi Jawab - B✅

Referecen📚:

Syedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Ilm wale ko ibadat guzaar par itni fazeelat haasil hai, jaisay chaand ki baqiya sitaron par hai, beshak Ahale Ilm he Anbiya-e Karaam ke waris hain, unhon ne virsay mein darham o dinar nahi liye, balkay ilm wusool kiya, pas jis shakhs neh ilm haasil kiya, is ne (Nabwi meeras se) bharpoor hissa le liya.
------------------
سیدنا ابو درداءؓ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  علم والے کو عبادت گزار پر اتنی فضیلت حاصل ہے، جیسے چاند کی بقیہ ستاروں پر ہے، بیشک اہل علم ہی انبیائے کرام کے وارث ہیں، انھوں نے ورثے میں درہم و دینار نہیں لیے، بلکہ علم وصول کیا، پس جس شخص نے علم حاصل کیا، اس نے (نبوی میراث سے) بھرپور حصہ لے لیا۔ 
------------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 246

Allah Subhanahu kisse Mohbbat nahin karte?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Allah Subhanahu kisse Mohbbat nahin karte?

A. Gunhegaar se 
B. Jo Nabiyo ka inqaar karte hain
C. Jo Maal hote huwe bhi apne ghar walo par karch nahi karte
D. Jo haram ki kamayi khate hain
E. Jo na shukri karte hain
F.  Quran ki ayaato ko bhool jane wala 
G.  Allah ke naam per jhooti kasam khane wale

H. Sahi Jawab ka Intezaar hain?

***************

Sahi Jawab - AE✅

Reference📚:

یَمۡحَقُ اللّٰہُ الرِّبٰوا وَ یُرۡبِی الصَّدَقٰتِ ؕ وَ اللّٰہُ  لَا یُحِبُّ کُلَّ  کَفَّارٍ اَثِیۡمٍ ﴿۲۷۶﴾
---------------
Allah Subhanahu Taalaa sood ko mitata aur sadqay ko barhata hai aur Allah Subhanahu Taalaa kissi na shukray aur gunehgaar say mohabbat nahi karta.
--------------
Al Quran Surah Al Baqrah (02:276)

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Jumme ka khudba sunna rahe thy ke eek qafila ayaa aur sare ke sare sahabhi jaldi jaldi chale gaye siwai kuch sahaba ke

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai aur dusre sawal mein jawab ek se ziada hai

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Jumme ka khudba sunna rahe thy ke eek qafila ayaa aur sare ke sare sahabhi jaldi jaldi chale gaye siwai kuch sahaba ke

Sawal: Uss waqt kitne sahaba maujud thy?

A: 1
B: 2
C: 7
D: 9
E: 11
F: 12
G: Inmein se koi nahi

Sawal: Uss mauqe per agar koi sahaba majud nahi rehte toh kya hota yh huwa?

A: Unko taklif dene wala azab hota
B: Surah ki Ayat nazil huwi
C: sab ke sab gumrahi mein mubtila hojate
D: Sari wadi mein aag bhar jati
E: Unke gunaho ko maaf nahi kiya jata
F: Un sabse hidayat le li jaati 
G: Qayamat ke din Allah Subahanhu ke azab se unhe nijaat nahi milti

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - F/BD✅

Reference📚:
--------------
Jabir Bin Abdullah Radi Allahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke Nabi Kareem  Sallallahu Alahih Wasallam Juma ka khutba irshad farma rahay thy ke Madine mein ek qaafla aaya, Rasool-Allah  Sallallahu Alahih Wasallam ke sahaba jaldi jaldi is ki taraf gaye, hatta ke Nabi Sallallahu Alahih Wasallam ke saath sirf baara (12) aadmi reh gaye Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai agar tum saaray ke saaray chalay jatay aur ek bhi nahi bachta toh tumhari wajah se saari waadi mein Aag bhar jati tab yeh aayat nazil huwi : (Surah Jumma Ayat No. 11)”aur jab yeh tijarat ya koi Khail dehkte hain toh jaldi se is ki taraf likte hain, aur Aap ko khada chore dete hain aur farmaya Un baara (12) afraad mein jo Aap Sallallahu Alahih Wasallam ke paas baithy rahay Abu baker Radi Allahu Anhu aur Umar Farooqi Radi Allahu Anhu bhi they
------------------
عن جَابر بن عبد الله قال: بَيْنَمَا النَّبِيُ صلی اللہ علیہ وسلم يَخْطُبُ يَومَ الْجُمُعَةِ، وَقَدِمَتْ عِيْرٌ إِلى الْمَدِيَنَةِ فَابْتَدَرَهَـــا أَصَحَابُ رَسُولِ اللهِ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم حَتَّى لَمْ يَبْقَ مَعَهُ إِلَا اثْنَا عَشَرَ رَجُلًافَقَالَ رَسُولُ الله  صلی اللہ علیہ وسلم : وَالّـَذِي نَفَـسِي بِيَـده لَـو تَتَابَعْتُم حَتَّى لَا يَبْقَى مِنْكُم أَحَدٌ لَسَالَ بِكُم الْوَادِيُ النَّارَ، فَنَزَلَتْ هَـذِه الْآيَة: وَ اِذَا  رَاَوۡا  تِجَارَۃً  اَوۡ لَہۡوَۨا انۡفَضُّوۡۤا اِلَیۡہَا وَ تَرَکُوۡکَ  قَآئِمًا (الجمعة:١١)، وَقَال: في الإِثْنَي عَشَرَ الَّذِين ثَبَتُوْا مَعَ رَسُولِ اللهِ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم أبوبكرٍ، وعمرُ. 
------------------
جابر بن عبداللہ   رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے كہا كہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم جمعہ كا خطبہ ارشاد فرما رہے تھے کہ مدینے میں ایك قافلہ آیا، رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم كے صحابہ جلدی جلدی اس كی طرف گئے، حتیٰ كہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم كے ساتھ صرف بارہ آدمی رہ گئے۔ رسول  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں میری جان ہے! اگر تم سارے كے سارے چلے جاتے اور ایك بھی نہ بچتا توتمہاری وجہ سے ساری وادی میں آگ بھرجاتی۔ تب یہ آیت نازل ہوئی : (الجمعة:١١)”اور جب یہ تجارت یا كوئی كھیل دیكھتے ہیں توجلدی سے اس كی طرف لپكتے ہیں، اور آپ كوكھڑا چھوڑ دیتے ہیں“۔اور فرمایا: ان بارہ افراد میں جو آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس بیٹھے رہے ابوبکر اور عمرفاروق   رضی اللہ عنہ  بھی تھے
--------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 763

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...