Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Mafhum e hadith ke mutabiq inmein se kaunse Amal ko Behtareen Amal kaha gaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq inmein se kaunse Amal ko Behtareen Amal kaha gaya hain?

A: Subah shaam ke azkar padhna 
B: Yateem ki parwarish karna
C: Duniya parasti mein mashgul na hona
D: Nikha karna 
E: Duniya mein aise raho jaise ke yh tumhara akhiri din ho 
F: Duniya se iss terhan jao ke tumhari zaban Allah ke zikr se tar ho 
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

*******************

Sahi Jawab - F✅

Reference📚:
------------------
Abdulla bin busr Mazni RadiAllahu Anhu kehte hain ke doh badu Rasool- Allah sallallahu alaihi wasallam ke paas aaye Ek ne kaha Eh Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam! Kaunsa shakhs behtar hai? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya is shakhs ke liye khushkhabri ho jis ki Umar lambi Hui, aur is ne naik aamaal kiye dosray shakhs ne kaha kaunsa Amal behtar hai? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke Behtareen Amal yeh hai ke tum duniya se is terhan jao ke tumhari zabaan Allah ke zikar se tar ho.
--------------
عبداللہ بن بسر مازنی کہتے ہیں کہ دو بدو رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئے ۔ایک نے کہا: اے اللہ کے رسول! کونسا شخص بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس شخص کے لئے خوشخبری ہو جس کی عمر لمبی ہوئی ،اور اس نے نیک اعمال کئے۔ دوسرے شخص نے کہا: کونسا عمل بہتر ہے؟ آپ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ: بہترین عمل یہ ہے کہ تم دنیا سے اس طرح جاؤ کہ تمہاری زبان اللہ کے ذکر سے تر ہو
----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2864

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...