Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Mahfum e hadith ke mutabiq Behtareen shakhs inmein se kis kis ko kaha gaya hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Behtareen shakhs inmein se kis kis ko kaha gaya hain?

A: Jiski Umar lambi ho aur aamal naik ho
B: Jo apna karz behtar tareeqe se adda kare
C: Jo Quran sheeke aur dusro ko bhi sheekaye
D: Jine dehk kar Allah ki yaad ajaye
E: Jo zaida astagfar padhte ho
F: Jo apne namazo ki nigebani karte ho
G: Jo zaida sadqa karte hain
H: Jo apne waledain ke farmabadari karte hain

I: Sahi Jawab ka intezaar
****************

Sahi Jawab - ABCD✅

Reference📚:
---------------
Jabir Bin Abdullah RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Raool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya mein tumahray behtareen shakhs ke baray mein nah batao? Tum mein Behtareen shakhs woh hai jis ki Umar taweel hai aur aamaal Naik hain
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1601
******
Ek shakhs Nabi Kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam se apna karz ka oont mangnay aaya toh Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ney sahaba se farmaya ke usay is ka oont dedo sahaba ney arz kiya ke karz khuwa ke oont se achi Umar ka hi oont mil raha hai is par is shakhs (karz khuwa) ney kaha mujhe tum ney mera poora haq diya tumhe Allah tumhara haq poora poora de! Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ney farmaya ke usay wohi oont de do kyunkay behtareen shakhs woh hai jo sab se ziyada behtar tareeqa par apna karz ada karta ho.
-----------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 2392
*****
Usmaan RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya :' '”tum mein se behtareen shakhs woh hai jis ney quran seekha aur (doosron ko) sikhaya.'
-------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 2109
******
Abu Malik Ashari RadiAllahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya iss ummat mai se Allah ke behtreen bande wo hai ke jinhe dekh kar Allah subhanahu yaad aa jata hai , aur iss ummat ke badtareen log wo hain jo chugal khor hain aur jo dosto (ya muhabbat karne walo) ke beech mein judayee karwate hain aur jo bequsur (pak daman) logo par gunaho ka ilzam lagate hain 
--------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha  hadees # 3412

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...