Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Mahfuhm e hadith ke mutabiq Momin ka har mamla bhalai ka hota hain Sawal: Bhalai se kya murad hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain

Sawal: Mahfuhm e hadith ke mutabiq Momin ka har mamla bhalai ka hota hain
Sawal: Bhalai se kya murad hai? 

A: Khushi aur Khushali mein Allah ka shukar karna
B: Nuqsaan pahoche toh Allah ki raza ke liye sabar karna 
C: Allah ki raah mein Jihad karna
D: Tangi mein bhi Allah ki raza ke liye sadqa karna
E: Khushali yh nuqsaan mein 2 rakat shukrana ki namaz adaa karna
F: Khushi ki khabar sunte he sajda karna 
G: Beti hone par khush hona 

H: Sahi Jawab ka intezaar?

**************

Sahi Jawab - AB✅

Reference📚:
-----------
Hazrat Sohib RadiAllahu Anhu se rivayet hai, kaha Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Momin ka maamla ajeeb hai. is ka har mamla is ke liye bhalai ka hai aur yeh baat momin ke siwa kisi aur mehsar nahi usay khushi aur khushhali miley toh shukr karta hai aur yeh is ke liye achaha hota hai aur agar usay koi nuqsaan puhanche to (Allah ki Raza ke liye) sabar kar taa hai, yeh (bhi) is ke liye bhalai hoti hai
---------------
 حضرت صہیب رضی اللہ تعالیٰ عنہ   سے روایت ہے  ، کہا : رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم  نے فرمایا :    مومن کا معاملہ عجیب ہے ۔ اس کا ہرمعاملہ اس کے لیے بھلائی کا ہے ۔ اور یہ بات مومن کے سوا کسی اور کومیسر نہیں ۔ اسے خوشی اور خوشحالی ملے توشکر کرتا ہے ۔ اور یہ اس کے لیے اچھا ہوتا ہے اور اگر اسے کوئی نقصان پہنچے تو ( اللہ کی رضا کے لیے )  صبر کر تا ہے  ، یہ ( ابھی )  اس کے لیے بھلائی ہوتی ہے
-----------------    
Sahih Hadees
Sahih Muslim Hadees # 7500

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...