Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Ek Sahabi ko Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne tohfa diya to wo kehne lage ke aap ye cheez mujh se ziada zaroorat mand ko dede..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek Sahabi ko Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne tohfa diya to wo kehne lage ke aap ye cheez mujh se ziada zaroorat mand ko dede..

Sawal1: Wo sahabi kaun thy?

A: Tamim Dari RadiAllahu Anhu
B: Dahya Kalbi RadiAllahu Anhu
C: Maaz Bin Jabal RadiAllahu Anhu
D: Saad Bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu
E: Zubair Ibne Awwam RadiAllahu Anhu
F: Abdullah Bin Zubair RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal 2: Un Sahabi ki baat sun kar Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kya irshad farmaya?

A: Nabi ne kaha tum meri nazar mai iss maal ke sab se ziyada mustaheq ho
B: Tum ye tohfa ley lo aur sadqa kar do
C: Jo maal kisi sawal ke baghair mile toh usey le liya karo
D: Tum Jannat mein mere sab se qareeb honge
E: Iss tarha maal na mile to apne nafs ko iske peeche na lagaya karo
F: Apne padosio ko sadqa kar do
G: Apne biwi bacho mein taqseem kar do

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*************************

Sahi Jawab - G/BCE✅

Reference📚:

Abdullah Bin Saadi RadiAllahu Anhu, Syedna Umar Bin Khataab RadiAllahu ANhu ke daur khilafat mein un ke paas aeye, Syedna Umar RadiAllahu Anhu ne un se kaha mujhe maloom huwa hai ke tum ko logon ke umoor par mamoor kiya jata hai, phir jab aap ko is ki mazdoori di jati hai to tum is ko napasand karte ho, kya baat aisay hi hai? Unhon neh kaha jee haan, Syedna Umar RadiAllahu Anhu ne farmaya is se tumhara maqsad kya hai? is neh kaha mein ghoron aur ghulamoo ka malik aur maal wala hon, meri khwahish yeh hai ke meri yeh khidmat musalmanoon ke liye sadqa qarar paye. syedna Umar RadiAllahu Anhu neh kaha aisa mat karo, mein neh bhi tumhaari terhan ka iradah kiya tha, jab Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam mujhe atiyah dete to mein kehta tha ke aap yeh cheez mujh se ziyada zaroorat mand ko den, Aap Sallallahu Alahih Wasallam farmatay ke yeh le lo aur is ko apna maal bana lo aur sadqa karo, is terhan ka jo maal kisi tama aur sawal ke baghair mil jaye to is ko le liya karo aur is terhan nah miley to apne nafs ko is ke peechay nah lagaya karo.
------------------
 عبداللہ بن سعدی، سیدنا عمر بن خطاب  رضی اللہ عنہ  کے دور خلافت میں ان کے پاس آئے، سیدنا عمر رضی اللہ عنہ نے ان سے کہا: مجھے معلوم ہوا ہے کہ تم کو لوگوں کے امور پر مامور کیا جاتا ہے، پھر جب آپ کو اس کی مزدوری دی جاتی ہے تو تم اس کو ناپسند کرتے ہو، کیا بات ایسے ہی ہے؟ انھوں نے کہا: جی ہاں، سیدنا عمر  رضی اللہ عنہ  نے فرمایا: اس سے تمہارا مقصد کیا ہے؟اس نے کہا: میں گھوڑوں اور غلاموں کامالک  اور مال والا ہوں، میری خواہش یہ ہے کہ میری یہ خدمت مسلمانوں کے لیے صدقہ قرار پائے۔  سیدنا عمر رضی اللہ عنہ  نے کہا: ایسا مت کرو، میں نے بھی تمہاری طرح کا ارادہ کیا تھا، جب نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  مجھے عطیہ دیتے تو میں کہتا تھا کہ آپ یہ چیز مجھ سے زیادہ ضرورت مندکودے دیں، آپ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم فرماتے کہ  یہ لے لو اور اس کو اپنا مال بنا لو اور صدقہ کرو، اس طرح کا جو مال کسی طمع اور سوال کے بغیر مل جائے تو اس کو لے لیا کرو اور اس طرح نہ ملے تو اپنے  نفس کو اس کے پیچھے نہ لگایا کرو۔ 
---------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 5735

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...