Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images

La Ilaha IllAllah
Tuesday, 11 February 2020
Jo yh baat pasand karta ho ke Allah aur iss ka Rasool Sallallahu Alaihi wasallam un se Mohabbat kare toh inmein se kaun kaunsi Aadatoh ki hifazat karni chaihaye?
Jawab ek se zaida hai!
Sawal: Jo yh baat pasand karta ho ke Allah aur iss ka Rasool Sallallahu Alaihi wasallam un se Mohabbat kare toh inmein se kaun kaunsi Aadatoh ki hifazat karni chaihaye?
A: Sacchi baat kehna
B: Amanat ada karna
C: Behtareen padosi banna
D: Hasad na karna
E: Momeen ki madad karna
F: Janaze ki namaz adda karna
G: Halal kamayee se sadqa karna
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*************
Sahi Jawab - ABC✅
Reference📚:
----------------
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke Bahrain se kuch mehman Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aakar thehray. Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne wudu ka pani mangwaya aur wudu kiya to woh jaldi se Aap ke wudu ke pani ki taraf doray jo mila usay pi liya, aur jo zameen par gir gaya usay apne cheharon, siron, aur seenon par laga liya. Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne un se kaha tumhe kis baat ne is kaam par ubhara? Unhon ne kaha Aap ki Mohabbat ne, shayad Allah Subhanahu taala hum se Mohabbat karne lagey Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar tumhe yeh baat pasand hai ke Allah aur is ka Rasool tum se Mohabbat karen to phir teen aadaat ki hifazat karo, Sachhi baat kehna, Amanat ada karna, aur Behtareen padosi banna kyunkay padosi ko takleef dena nakiyon ko is terhan mita deta hai jis terhan Sooraj barf ko pighla deta hai.
------------------
انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ بحرین سے کچھ مہمان نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آکر ٹھہرے ۔نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے وضو کا پانی منگوایا اور وضو کیا تو وہ جلدی سے آپ کے وضو کے پانی کی طرف دوڑے جو ملا اسے پی لیا، اور جو زمین پر گر گیا اسے اپنے چہروں ،سروں، اور سینوں پر لگا لیا۔ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے ان سے کہا تمہیں کس بات نے اس کام پرابھارا؟ انہوں نے کہا : آپ کی محبت نے ، شاید اللہ تعالیٰ ہم سے محبت کرنے لگےاے اللہ کے رسول! رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اگر تمہیں یہ بات پسند ہے کہ اللہ اور اس کا رسول تم سے محبت کریں تو پھر تین عادات کی حفاظت کرو ،سچی بات کہنا، امانت ادا کرنا، اور بہترین پڑوسی بننا ۔کیونکہ پڑوسی کو تکلیف دینا نیکیوں کو اس طرح مٹا دیتا ہے جس طرح سورج برف کو پگھلا دیتا
-----------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 78
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...

-
Bismillahirrahmanirraheem ✦ Jazak Allahu Khairan - Allah aapko achcha sila ata farmaye --------------- ✦ Usamah bin zaid radi allahu anhu se...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Jo Musalman inn addatoh ko iktiyaar karega toh Jannat mein Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam haat...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Hadith mein kiske liye kaha gaya hai ki us se Nafs ko taskeen aur dil ko itminan milta hain A: Laa ilaha il...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Jawab ek se zaiyda hain! Ek martaba Banu Tamim ka ek shaqs Rasool-Allah Sallahu Alahi wasallam ke pass aaya au...
-
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Aibo ko chupane ki dua jo Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam subah aur shaam ko padhna kabhi nahi chod...
-
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Kalma-e-Shahadat ki taqat aur uski ahmiyat --------------------- Abdullah bin amr bin aas...
-
✅ Ramadan Check List ✅ Try to make all the following deeds your routine during these days of Ramadan. 1️⃣ Fasting (The fast in which ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool- Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis namaz ke liye farmaya ki Jo bhi padhna chahe padhle is khau...
-
❗Only-Quran-Hadith Quiz❗ Sawal: kaunse shakhs ke gunaho ko Allah Subhanahu itni he miqdaar mein kaffara bana dega A: apni kisi pyari cheez ...
No comments:
Post a Comment