Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Kaunsa amal aisa hai joh sab amal se behtar hain aur Allah Subhanahu ko sab se zaida mehboob hain joh darjaat ko buland karta ho aur sone chadi karch karne aur dushman se jung karne se behtar hain aur Allah Subhanahu ke azaab se nijaat dilane wala Amal hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunsa amal aisa hai joh sab amal se behtar hain aur Allah Subhanahu ko sab se zaida mehboob hain joh darjaat ko buland karta ho aur sone chadi karch karne aur dushman se jung karne se  behtar hain aur Allah Subhanahu ke azaab se nijaat dilane wala Amal hain?

A: Masjid main Namaz ka intezaar karna
B: SubhanAllah walhamdulillah Wa La ilaha illAllah WallahuAkbar kehna
C: SubhanAllahi Wa Bihamdihi SubhanAllahil Azeem kehna
D: Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih kehna
E: Janaze mein shareek hona ya Janaza pass se guzre toh khade hojana 
F: Salam mein pehal karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar?

***************

Sahi Jawab - G ✅(Allah Subhanahu ka Zikr)

Reference📚:
-------------------
Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhe woh Amal nah batao jo tumahray Amal mein sab se behtar Amal ho, aur tumahray Maalik ko sab se ziyada mehboob ho, aur tumahray darjaat ko buland karta ho, aur tumahray liye sona chandi kharch karne aur dushman se aisi jung karne se ke tum un ki gardanein maro, aur woh tumhari gardanein marain behtar ho? Logon ne arz kiya! Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! wo kaunsa Amal hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo Allah Subhanahu ka zikar hai aur Maaz bin Jabal Radi Allahu Anhu kehte hain ke Allah Subhanahu taala ke azaab se nijaat dilanay wala insaan ka koi Amal zikar Ellahi se barh kar nahi hain.
------------------
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  کیا میں تمہیں وہ عمل نہ بتاؤں جو تمہارے اعمال میں سب سے بہتر عمل ہو، اور تمہارے مالک کو سب سے زیادہ محبوب ہو، اور تمہارے درجات کو بلند کرتا ہو، اور تمہارے لیے سونا چاندی خرچ کرنے اور دشمن سے ایسی جنگ کرنے سے کہ تم ان کی گردنیں مارو، اور وہ تمہاری گردنیں ماریں بہتر ہو؟ ، لوگوں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! وہ کون سا عمل ہے؟ آپ نے فرمایا:  وہ اللہ کا ذکر ہے ۔ اور معاذ بن جبل رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ اللہ تعالیٰ کے عذاب سے نجات دلانے والا انسان کا کوئی عمل ذکر الٰہی سے بڑھ کر نہیں ہے۔ 
----------------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 3790

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...