❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do sawal hain aur phele sawal mein jawab ek se zaida hain!
Mahfhum e hadith
Sawal1: Inmein se kausa amal Allah Subhanahu ke nazdeek sabse pasandeeda Amal hain?
A: logo ko sab se zaida nafa dena wala
B: ek muslman dusre muslman ko khushi de
C: Momin ki museebat dur kare
D: Momin ka qarz dur kare
E: Momin ki bhook khatam kare
F: Musafah karna
G: Aib chupane wala
H: Sahi Jawab ka intezaar?
Sawal2: kaunsi addat amal ko kharab kar deti hain?
A: Hiris karna
B: Jhoot bolna
C: Hasad karna
D: Bad ikhlaqi
E: Gheebat karna
F: Dhoka dena
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar?
*****************
Sahi Jawab BCDE/D✅
Reference📚:
---------------
Abdullah bin Umro RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke aik Aadmi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! konsa shakhs Allah ko ziyada mehboob hai aur konsa amal Allah ko ziyada pasand hai? Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya logon mein sab se ziyada mehboob Allah ke haan woh shakhs hai jo logon ko sab se ziyada Naffa dainay wala hai aur Allah ko sab se ziyada pasandeeda amal woh khusi hai jo musalman kisi dosray musalman ko de, ya is se museebat dur kare, ya is ka Karz ada kare ya is ki bhook khatam kare, aur agar mein kisi bhai ke sath is ki zaroorat poori karne ke liye chaloon to yeh mujhe is masjid (yani Masjid Nabwi) mein ek mah aitekaf mein bethnay se ziyada mehboob hai jis shakhs ne apna gussa roka Allah taala is ke aibo par parda daal dega, jo shakhs apne ghusse ke mutabiq amal karne ki taaqat ke bawajood apne ghusse ko pi gaya. Allah taala qayamat ke din is ke dil ko umeed se bhar dega aur jo shakhs apne bhai ke saath is ki zaroorat poori honay taq is ke saath chala to Allah taala usay is din saabit qadam rakhen ge jis din qadam dagmaga rahe honge (aur yaqeenan bad ikhlaqi amal ko kharab kar deti hai jis terhan sirka shehad ko kharab kar deta hai)
---------------------
عبداللہ بن عمررضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ: ایک آدمی نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا اور کہا اے اللہ کے رسول! کونسا شخص اللہ کو زیادہ محبوب ہے اور کونسا عمل اللہ کو زیادہ پسند ہے؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: لوگوں میں سب سے زیادہ محبوب اللہ کے ہاں وہ شخص ہے جو لوگوں کو سب سے زیادہ نفع دینے والا ہے ۔ اور اللہ کو سب سے زیادہ پسندیدہ عمل وہ خوشی ہے جو مسلمان کسی دوسرے مسلمان کو دے، یا اس سے مصیبت دور کرے ،یا اس کا قرض ادا کرے یا اس کی بھوک ختم کرے، اور اگر میں کسی بھائی کے ساتھ اس کی ضرورت پوری کرنے کے لئے چلوں تو یہ مجھے اس مسجد (یعنی مسجد نبوی) میں ایک ماہ اعتکاف میں بیٹھنے سے زیادہ محبوب ہے۔ جس شخص نے اپنا غصہ روکا اللہ تعالیٰ اس کے عیوب پر پردہ ڈال دے گا، جو شخص اپنے غصے کے مطابق عمل کرنے کی طاقت کے باوجود اپنے غصے کو پی گیا۔ اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس کے دل کو امید سے بھر دے گا۔ اور جو شخص اپنے بھائی کے ساتھ اس کی ضرورت پوری ہونے تک اس کے ساتھ چلا تو اللہ تعالیٰ اسے اس دن ثابت قدم رکھیں گے جس دن قدم ڈگمگا رہے ہوں گے (اور یقیناً بد اخلاقی عمل کو خراب کر دیتی ہے جس طرح سرکہ شہد کو خراب کر دیتا ہے
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 209
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment