Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Farishte Imaan walo ke liye Dua aur Astagfaar karte hain

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz  ❗

Jawab ek se ziada hain!

Sawal: Farishte Imaan walo ke liye Dua aur Astagfaar karte hain

Inmein se wo kaun hai..

A: Namaz ki pabandi karne walon k liye
B: Tauba karne walon ke liye
C: Jihad karne walon k liye
D: Tahajjud padhne walon k liye
E: Jo Allah Subahnahu ki raah per chale yh perwi kare
F: Rasool-Allah (ﷺ) ki itat kare
G: Jo chup kar sadqa kare
H: Jo Rasool-Allah (ﷺ) ki sunnato per amal kare

I. Sahi Jawab ka Intezaar

******************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚:

Bismillahirrahmannirrahim

اَلَّذِیۡنَ یَحۡمِلُوۡنَ الۡعَرۡشَ وَ مَنۡ حَوۡلَہٗ یُسَبِّحُوۡنَ بِحَمۡدِ  رَبِّہِمۡ وَ یُؤۡمِنُوۡنَ بِہٖ وَ یَسۡتَغۡفِرُوۡنَ  لِلَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا ۚ رَبَّنَا وَسِعۡتَ کُلَّ  شَیۡءٍ رَّحۡمَۃً  وَّ عِلۡمًا فَاغۡفِرۡ  لِلَّذِیۡنَ تَابُوۡا وَ اتَّبَعُوۡا سَبِیۡلَکَ وَ قِہِمۡ  عَذَابَ  الۡجَحِیۡمِ

Arash kay uthaney walay aur uss kay aas pass kay  ( farishtay )  apnay rab ki tasbeeh hamd kay sath sath kertay hain aur uss per eman rakhtay hain aur eman walon kay liye istaghfaar kertay hain kehtay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu ney her cheez ko apni bakhsish aur ilm say gher rakha hai pus tu enhen bakhash day jo tauba kare aur teri raah ki perwi kare aur tu enhen dozakh kay azab say bhi bacha lay. 
-------
 عرش کے اٹھانے والے اور اس کے  اس پاس کے ( فرشتے )  اپنے رب کی تسبیح و حمد کے ساتھ ساتھ کرتے ہیں اور اس پر ایمان رکھتے ہیں اور ایمان والوں کے لئے استغفار کرتے ہیں ،  کہتے ہیں کہ اے ہمارے پروردگار! تو نے ہرچیز کو اپنی بخشش اور علم سے گھیر رکھا ہے ،  پس  توانہیں بخش دے جو توبہ کریں اور تیری راہ کی پیروی کریں اور تو انہیں دوزخ کے عذاب سے بھی بچا لے ۔  
--------
Those [angels] who carry the Throne and those around it exalt [ Allah ] with praise of their Lord and believe in Him and ask forgiveness for those who have believed, [saying], "Our Lord, You have encompassed all things in mercy and knowledge, so forgive those who have repented and followed Your way and protect them from the punishment of Hellfire. 
----
Al Quran - Surah Al Momeen (40), Ayat No. 07

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...