Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni ek zauja se kaha k mein tumhare ghusse aur khushi ko pahchanta ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne apni ek zauja se kaha k mein tumhare ghusse aur khushi ko pahchanta ho?

Dusre sawal mein jawab ek se ziada hai!

Sawal 1: Wo zauja kaun thi?

A: Khadija RadiAllahu Anhuma
B: Zainab RadiAllahu Anhuma
C: Hafsa RadiAllahu Anhuma
D: Safiya RadiAllahu Anhuma
E: Ayesha RadiAllahu Anhuma
F: Maimoona RadiAllahu Anhuma
G: In mai se koi nahi

Sawal 2: Wo zauja khushi aur ghusse mein hoti to Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kaise pahchante thy

A: Wo khush hoti to kehti Mohammad ke RABB ki qasam
B: Wo jab gusse mein hoti toh kehti ke Aap mere hujre mein dakhil na ho
C: Wo jab ghusse mai hoti to kehti ke Eh Ibrahim Alaihi Salam ke RABB ki qasam
D: Wo kehti mein wo ho jis ke walid ki wajah se parde ki aayat nazil huwi
E: Wo kehti mein wo ho jis ka nikah Allah ne Aasman par kiya
F: Mein ho jis ka nikah habsha mein najjashi ne padhaya tha
G: Mein wo jis ki chadar mai Aap par wahi nazil huwi

H: Sahi jawab ka intezar hai

****************


Reference📚:

Aisha RadiAllahu Anhuma se riwayat hai unhon ne kaha ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mein tumharay ghusse aur khushii ko pehchanta hon, mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam Aap ko kis terhan pata chalta hai? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab tum khush hoti ho to tum (kehti ho kyun nahi, Mohammad Sallallahu Alahih Wasallam ke RABB ki qasam) aur jab tum ghusse mein hoti ho to kehti ho nahi, Ibrahim Alaihi Salam ke RABB ki qasam, mein ne kaha jee haan, mein sirf Aap ke naam ko chodthee hon.
---------------
عائشہ رضی اللہ عنہا  سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہارے غصے اور خوشی کو پہچانتا ہوں، میں نے کہا: اے اللہ کے رسول آپ کو کس طرح پتہ چلتا ہے؟ آپ نے فرمایا: جب تم خوش ہوتی ہو تو تم (کہتی ہو کیوں نہیں ،محمد  صلی اللہ علیہ وسلم کے رب کی قسم) اور جب تم غصے میں ہوتی ہو تو کہتی ہو نہیں ،ا براہیم علیہ السلام کے رب کی قسم ، میں نے کہا :جی ہاں، میں صرف آپ کے نام کو چھوڑتی ہوں
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 100

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...