Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Kaunse Amal ko har amal ki intehaa kaha gaya hai? Sawal: Kaunse Amal ko Islam ki rahbaniyat kaha gaya hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai!

Sawal: Kaunse Amal ko har amal ki intehaa kaha gaya hai?
Sawal: Kaunse Amal ko Islam ki rahbaniyat kaha gaya hai?


A: Zakat
B: Tilawat
C: Salam
D: Dua
E: Taqwa
F.: Zikre ilahi
G: Namaz
H: Sila rahmi 
I: Jihad
J: Hajj

K: Sahi Jawab ka Intezaar


****************

Sahi Jawab - EI✅

Reference📚:
--------------
Abu Saeed Khudri  Radi Allahu Anhu se marwi hai ke ek aadmi in ke pas aaya aur kehne laga :mujhe nasihat kijiye Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu ne kaha:tum ne mujh se aisa sawal kiya hai jo mai ne tum se pahle Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se kiya tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mai tumhe Allah ke taqwe ki wasiyat karta hon kiyo ki ye har amal ki intehaa hai aur tumhe Jihad ki nasihat karta hon kiyo ki  ye islam ki rahbaniyat hai aur Allah ke zikar aur tilawat ko lazim kar lo kiyo ki ye aasman mai tumhari rooh aur zameen mai tumhara zikar hai. 
--------------
ابو سعید خدری  سے مروی ہے کہ ایک آدمی ان کے پاس آیا اور کہنے لگا: مجھے نصیحت کیجئے۔ ابو سعید نے کہا: تم نے مجھ سے ایسا سوال کیا ہے جو میں نے تم سے پہلے رسول اللہ ﷺ سے کیا تھا۔ آپﷺ نے فرمایا: میں تمہیں اللہ کے تقویٰ کی وصیت کرتا ہوں کیوں کہ یہ ہر عمل کی انتہا ہے اور تمہیں جہاد کی نصیحت کرتا ہوں کیوں کہ یہ اسلام کی رہبانیت ہے ۔اور اللہ کے ذکر اور تلاوت کو لازم کر لو کیوں کہ یہ آسمان میں تمہاری روح اور زمین میں تمہارا ذکر ہے
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2834

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...