Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Jumme ka khudba sunna rahe thy ke eek qafila ayaa aur sare ke sare sahabhi jaldi jaldi chale gaye siwai kuch sahaba ke

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai aur dusre sawal mein jawab ek se ziada hai

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Jumme ka khudba sunna rahe thy ke eek qafila ayaa aur sare ke sare sahabhi jaldi jaldi chale gaye siwai kuch sahaba ke

Sawal: Uss waqt kitne sahaba maujud thy?

A: 1
B: 2
C: 7
D: 9
E: 11
F: 12
G: Inmein se koi nahi

Sawal: Uss mauqe per agar koi sahaba majud nahi rehte toh kya hota yh huwa?

A: Unko taklif dene wala azab hota
B: Surah ki Ayat nazil huwi
C: sab ke sab gumrahi mein mubtila hojate
D: Sari wadi mein aag bhar jati
E: Unke gunaho ko maaf nahi kiya jata
F: Un sabse hidayat le li jaati 
G: Qayamat ke din Allah Subahanhu ke azab se unhe nijaat nahi milti

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - F/BD✅

Reference📚:
--------------
Jabir Bin Abdullah Radi Allahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke Nabi Kareem  Sallallahu Alahih Wasallam Juma ka khutba irshad farma rahay thy ke Madine mein ek qaafla aaya, Rasool-Allah  Sallallahu Alahih Wasallam ke sahaba jaldi jaldi is ki taraf gaye, hatta ke Nabi Sallallahu Alahih Wasallam ke saath sirf baara (12) aadmi reh gaye Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya is zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai agar tum saaray ke saaray chalay jatay aur ek bhi nahi bachta toh tumhari wajah se saari waadi mein Aag bhar jati tab yeh aayat nazil huwi : (Surah Jumma Ayat No. 11)”aur jab yeh tijarat ya koi Khail dehkte hain toh jaldi se is ki taraf likte hain, aur Aap ko khada chore dete hain aur farmaya Un baara (12) afraad mein jo Aap Sallallahu Alahih Wasallam ke paas baithy rahay Abu baker Radi Allahu Anhu aur Umar Farooqi Radi Allahu Anhu bhi they
------------------
عن جَابر بن عبد الله قال: بَيْنَمَا النَّبِيُ صلی اللہ علیہ وسلم يَخْطُبُ يَومَ الْجُمُعَةِ، وَقَدِمَتْ عِيْرٌ إِلى الْمَدِيَنَةِ فَابْتَدَرَهَـــا أَصَحَابُ رَسُولِ اللهِ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم حَتَّى لَمْ يَبْقَ مَعَهُ إِلَا اثْنَا عَشَرَ رَجُلًافَقَالَ رَسُولُ الله  صلی اللہ علیہ وسلم : وَالّـَذِي نَفَـسِي بِيَـده لَـو تَتَابَعْتُم حَتَّى لَا يَبْقَى مِنْكُم أَحَدٌ لَسَالَ بِكُم الْوَادِيُ النَّارَ، فَنَزَلَتْ هَـذِه الْآيَة: وَ اِذَا  رَاَوۡا  تِجَارَۃً  اَوۡ لَہۡوَۨا انۡفَضُّوۡۤا اِلَیۡہَا وَ تَرَکُوۡکَ  قَآئِمًا (الجمعة:١١)، وَقَال: في الإِثْنَي عَشَرَ الَّذِين ثَبَتُوْا مَعَ رَسُولِ اللهِ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم أبوبكرٍ، وعمرُ. 
------------------
جابر بن عبداللہ   رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے كہا كہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم جمعہ كا خطبہ ارشاد فرما رہے تھے کہ مدینے میں ایك قافلہ آیا، رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم كے صحابہ جلدی جلدی اس كی طرف گئے، حتیٰ كہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم كے ساتھ صرف بارہ آدمی رہ گئے۔ رسول  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں میری جان ہے! اگر تم سارے كے سارے چلے جاتے اور ایك بھی نہ بچتا توتمہاری وجہ سے ساری وادی میں آگ بھرجاتی۔ تب یہ آیت نازل ہوئی : (الجمعة:١١)”اور جب یہ تجارت یا كوئی كھیل دیكھتے ہیں توجلدی سے اس كی طرف لپكتے ہیں، اور آپ كوكھڑا چھوڑ دیتے ہیں“۔اور فرمایا: ان بارہ افراد میں جو آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس بیٹھے رہے ابوبکر اور عمرفاروق   رضی اللہ عنہ  بھی تھے
--------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 763

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...