Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Mahfum e hadith ke mutabiq inmein se kaun si cheezo ko lannat ka bais kaha gaya hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hai

Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq inmein se kaun si cheezo ko lannat ka bais kaha gaya hai?

A: Sood khane wale par
B: Sood khilane wale par
C: Sood ke gawah dene wale par
D: halal karne wale par
E: jis ke liye halal kiya uss par
F: Sadka aur Zakat rokne wale par
G: Noha karne wale par
H:  Wo Mard jo aurton ka chaal challan ikhtiyar kare
I: Wo Aurat jo mard ka chaal challan ikhtiyar kare
J: Wo Aurat jo halaqat ki dua kare 

K: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - ABCDEFGHIJ✅

Reference📚:
----------------
Sayedna Ali RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne sood khanay walay par, khilanay walay par, is ke dono gawahoon par, is ko likhnay walay par, til bharnay wali par, til bharvaane wali par, halala karne walay par, jis ke liye halala kiya jaye is par aur sadqa ya zakat roknay walay par laanat ki hai aur Aap Sallallahu Alahih Wasallam noha se bhi mana kiya karte they
----------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 9668
----------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne un Mardon par laanat bheji jo aurton ka chaal chalan ikhtiyar karey, aur un Aurton par laanat bheji jo Mardon ka chaal chalan ikhtiyar karey.
----------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari, Jild 7, 5885
------------------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne us aurat par lanat ki Jo apna chehra noche apna gireban phade aur halaqat ki dua Karne wali par lanat ki
-------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-As-Sahiha # 3292

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...