Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ek sahabi se poocha ke kaun si aayat tumhare nazdeek sab se barri hain toh sahabi ne kaunsi aayat tilawat farmayi?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hain!

Sawal: Ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ek sahabi se poocha ke kaun si aayat tumhare nazdeek sab se barri hain toh sahabi ne kaunsi aayat tilawat farmayi?

A: إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ
B: اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ
C: قُلْ أَعُوذُ بِرَبّ النَّاسِ
D: قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ
E: قُلْ أَعُوذُ بِرَ‌بِّ الْفَلَقِ
F: قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Sawal: Sahabi ka jawab sunke Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne un sahabi ka seena thaptapaya aur kaha tumhe Ilm Mubarak ho wo sahabi kaun thy?

A: Ammar Radi Allahu Anhu
B: Abu Zar Radi Allahu Anhu
C: Abu Al-Mundhir Radi Allahu Anhu
D: Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu
E: Usman Radi Allahu Anhu
F: Ubayy bin Kab Radi Allahu Anhu
G: Innmai se koi Nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - BC✅

Reference📚:

Quran ki sabse barri ayat Ayat-Al-Kursi hain
----------
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Eh Abu Al-Mundhir Radi Allahu Anhu Kitaab Allah ki kaun si aayat tumahray nazdeek sab se ba azmat hain?, mein neh arz kiya : Allah aur is ke Rasool ziyada jantay hain, Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne phir farmaya Abu Al-Mundhir! Kitaab Allah ki kaun si aayat tumahray nazdeek sab se barri hain? Mein ne arz kiya : « اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ », to Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne mere seenay ko thaptapaya aur farmaya : Eh Abu Al-Mundhir tumhe ilm Mubarak ho.
--------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  اے ابومنذر! ۱؎ کتاب اللہ کی کون سی آیت تمہارے نزدیک سب سے باعظمت ۲؎ ہے؟ ، میں نے عرض کیا: اللہ اور اس کے رسول زیادہ جانتے ہیں، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے پھر فرمایا: ابومنذر! کتاب اللہ کی کون سی آیت تمہارے نزدیک سب سے بڑی ہے؟ ، میں نے عرض کیا: «الله لا إله إلا هو الحي القيوم» ، تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے میرے سینے کو تھپتھپایا اور فرمایا:  اے ابومنذر! تمہیں علم مبارک ہو ۔
--------------
Ubayy bin Kab said: The Messenger of Allah صلی اللہ علیہ وسلم said: Abu al-Mundhir, which verse of Allah's Book that you have is creates ? I replied: Allah and His Messenger know best. He said: Abu al-Mundhir, which verse of Allah's that you have is greatest ? I said: Allah, there is no god but He, the Living, the Eternal. Thereupon he struck me on the beast and said: May knowledge be pleasant for you, Abu al-Mundhir.
---------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 1460

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...