Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Ek baar kuch sahabi ek qabeele ke pass se guzre jaha ek shaksh ko bichcho ne kaat liya tha phir ek sahabi ne uska ilaj kar diya aur usko shifa mil gayee

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hai!

Ek baar kuch  sahabi ek qabeele ke pass se guzre jaha ek shaksh ko bichcho ne kaat liya tha phir ek sahabi ne uska ilaj kar diya aur usko shifa mil gayee

Sawal : US sahabi ne kaunsi dua ya surah ya aayatein  padh kar ilaj kiya tha?

A. Surah Abqara ki aakhri aayatien
B. Surah Falaq
C. Aayat Al Kursi
D. Surah An Nas
E. Surah Fatiha
F. Aawuzo bikalimatillahittammati min sharri ma khalaq
G. Inmein se koi nahi

H. Sahi jawab ka intezar

Sawal 2 : Uske badle unko kya mila?

A. Dinar
B. Sona
C. Bakriyah
D. Ghar
E. Khana
F. Oont
G. Inmein se koi nahi

H. Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - E/C✅

Reference📚:
--------------
Chand sahaba ek pani se guzray jis ke paas ke qabeela mein bichhoo ka kaata huwa (ladaik ya Saleem Ravi ko un dono alfaaz ke mutaliq shuba tha) 1 shakhs tha qabeela ka 1 shakhs un ke paas aaya aur kaha kya aap logon mein koi dam jhaad karne wala hai hamaray qabeela mein 1 shakhs ko bichhoo ne kaat liya hai chunancha sahaba ki is jamaat mein se ek sahabi is shakhs ke saath gaye aur chand bakriyon ki shart ke sath is shakhs par Surah Fatiha parhi, is se woh achaa ho gaya woh sahib shart ke mutabiq bakriyan apne sathiyon ke paas laaye to unhon ne usay qubool kar lena pasand nahi kiya aur kaha ke Allah ki kitaab par tum ne ujrat le li aakhir jab sab log Madina aaye to arz kiya ke ya Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam un sahib ne Allah ki kitaab par ujrat le li hai. Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya ke jin cheezon par tum ujrat le satke ho un mein se ziyada is ki mustahiq Allah ki kitaab hi hai .
---------------
 چند صحابہ ایک پانی سے گزرے جس کے پاس کے قبیلہ میں بچھو کا کاٹا ہوا  ( لدیغ یا سلیم راوی کو ان دونوں الفاظ کے متعلق شبہ تھا )  ایک شخص تھا۔ قبیلہ کا ایک شخص ان کے پاس آیا اور کہا کیا آپ لوگوں میں کوئی دم جھاڑ کرنے والا ہے۔ ہمارے قبیلہ میں ایک شخص کو بچھو نے کاٹ لیا ہے چنانچہ صحابہ کی اس جماعت میں سے ایک صحابی اس شخص کے ساتھ گئے اور چند بکریوں کی شرط کے ساتھ اس شخص پر سورۃ فاتحہ پڑھی، اس سے وہ اچھا ہو گیا وہ صاحب شرط کے مطابق بکریاں اپنے ساتھیوں کے پاس لائے تو انہوں نے اسے قبول کر لینا پسند نہیں کیا اور کہا کہ اللہ کی کتاب پر تم نے اجرت لے لی۔ آخر جب سب لوگ مدینہ آئے تو عرض کیا کہ یا رسول اللہ! ان صاحب نے اللہ کی کتاب پر اجرت لے لی ہے۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جن چیزوں پر تم اجرت لے سکتے ہو ان میں سے زیادہ اس کی مستحق اللہ کی کتاب ہی ہے۔ 
--------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 5737

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...