Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 February 2020

Wo kya hai jis par Rasool-Allah Sallahlahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke insan ispar sabr nahi kar sakta?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Sawal: Wo kya hai jis par Rasool-Allah Sallahlahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke insan ispar sabr nahi kar sakta?

A: Gussa
B: Maal
C: Tawakkal
D: Darguzar karna
E: Aulad
F: Sehat
G: Aurat ka fitnah

H: Sahi Jawab ka Intezaar

***************

Sahi Jawab - BE✅

Reference📚:

Beshaq tumharey Maal aur Aulad Aazmayeesh hain
--------------
Buraydah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Khutba farma rahe the itne mein Hasan aur Hussain Radi Allahu Anhumu ladkhadate huye udhar aa gaye us waqt wo surkh dhari wala kurta pahney huye they, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam unko dekhkar Mimbar se utrey aur unko Godi mein utha liya phir Mimber par chad gaye, iskey baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam alaihi wasallam ne farmaya ki Beshaq tumharey Maal aur Aulad Aazmayeesh hai mainey in dono ko dekha to Sabr na kar saka uske baad Aap Sallallahu Alaihi Wasallam phir Khutba farmane lage
----------
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1097-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...