❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziada hain!
Sawal: Inmein se wo kaun kaun si cheezain hai jo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ko aata ki gayi hain aur jo aur kisi Nabi ko nahi di gayeen hain?
A: Zameen ki chabiya aata ki gayi
B: Ahmed naam rakha gaya
C: Matti ko paak kar di gayi
D: Ummat ko sab se behtareen banaya gaya
E: Shaffat aata ki gayi
F: tamam insano ke liye Nabi bana kar bheja gaya
G: tamam zameen ko sajda gaah bana diya hai
H: Maal e Ganimat
I: Roab ke zariye madad ki gayi
J: Sahi Jawab ka Intezaar?
*********************
Sahi Jawab - ABCDEFGHI✅
Reference📚:
----------------
Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe paanch cheeze aisi di gayi hain jo mujh se pehlay kisi ko nahi di gayi theen ek Mahine ki masafat se roab ke zareya meri madad ki gayi hai aur tamam zameen mere liye sajda gaah aur paki ke Laiq banai gayi pas meri ummat ka jo insaan namaz ke waqt ko (jahan bhi) paley usay wahan hi namaz ada kar leni chahiye aur mere liye ghanemat ka maal halal kiya gaya hai mujhse pehlay yeh kisi ke liye bhi halal nah tha aur mujhe Shafaat ataa ki gayi aur tamam Anbia apni apni qoum ke liye maboos hotay they lekin mein tamam insanon ke liye aam tor par nabi bana kar bheja gaya hon
------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 335
----------------
Sayedna Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe woh cheezian ataa ki gayi hain, jo kisi Nabi ko nahi di gayeen. hum nay kaha EH Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam! woh kaun si hain? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya roab ke sath meri madad ki gayi hai, mujhe zameen ki chabiyan ataa ki gayi hain, mera naam Ahmed rakha gaya hai, matti ko mere liye pakk karne wala bana diya gaya hai aur meri ummat ko sab se behtareen ummat banaya gaya hai.
---------------
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 991
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 942❗ Sawal: Dhokha dene wala Qayamat ke din kaise pehchana jayega? A: wo sabse ziyada khauff mein mubtala hoga B: w...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Insan ka bure hone ka saboot kaise pata chalta hain A: Mazlum ki madad na karna B: Maal ki zakat ada na kar...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis ke liye farmaya samjho ke wo gharaat hogaya? A: Joh Husn ...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kis ke liye farmya ke yh har musalmaan par haq hain A: Nikah kar...
-
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Allah Subhanahu ke naam ke muqable mein koi cheez bhaari nahi ho sakti {أَشْهَدُ أَنْ ل...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Fajar ki Namaz ke baad padhne ki dua..Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr wa min fitnatil-Qabri. -...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 946❗ Sawal: wo kaunsa amal hai jiske karne wale ke liye farmaya gaya hai ke wo sood ke bade darwaze mein dakhil hog...
No comments:
Post a Comment