Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 18 January 2021

Behtareen khazana kise irshad farmaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

❗Sawal: Behtareen khazana kise irshad farmaya hain

A: Aisi biwi jo apne shohar ko aakhirat ke liye madad kare
B: Aisi shohar jo apne biwi ko aakhirat ke liye madad kare
C: Allah ke khauf se rone wala shakhs
D: Zikr karne wali Zuban
E: Shukar karne wali Biwi
F: Shukar karne wali Zuban
G: Shukar karne wala Dil
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahih Jawab ADG✅

Behtareen khazana Zikr karne wali Zuban Shukar karne wala Dil aur Neik biwi hain

Reference📚:
----
Abdullah bin Abu Hazail RadiAllahu Anhu se riwayat hain mere ek saathi ne mujhe bayan kiya ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya sone aur chandi ke liye halakat hain ye sun kar Umar bin khattab RadiAllahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas gaye aur kaha YA Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap ne ye farma diya hain ke sone aur chandi ke liye halakat hain ab hum kya khazane kare Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Zikr karne wali Zuban, Shukar karne wala Dil aur aise biwi jo aakhirat ke mamle mai apne Khawind (Shohar) ki madad kare
---
عبد اللہ بن ابو ہذیل سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میرے ایک ساتھی نے مجھے بیان کیا کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: سونے اور چاندی کے لیے ہلاکت ہے۔ یہ سن کر سیدنا عمر بن خطاب ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ، رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے پاس گئے اور کہا: اے اللہ کے رسول! آپ نے یہ فرما دیا ہے کہ سونے اور چاندی کے لیے ہلاکت ہے، اب ہم کیا خزانہ کریں؟ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: ذکر کرنے والی زبان، شکر کرنے والا دل اور ایسی بیوی، جوآخرت کے معاملے میں اپنے خاوند کا تعاون کرے۔ 
----
Masnad Ahmed # 10057-Sahih

Mahfhum mukammal kijiye…kaunse amal karne wale par Allah Subhanahu usper apna faisla aasaan nahi karta

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum mukammal kijiye…kaunse amal karne wale par Allah Subhanahu usper apna faisla aasaan nahi karta 

A: jo Sila Rehami nahi karte
B: jo Namaz adaa nahi karte
C: jo Sabr nahi karte
D: Quran ki taleem na lene wale
E: Namaz ke baad jo dua nahi mangte 
F: Beti ke paida hone per khushi nahi zahir karne wale
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - G✅

Jo shakhs Emaan na laye aur iss baat ki gawahi na de ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Nabi hain.... 

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Allah jo shakhs tujh par Emaan laya aur is ne gawahi di ke mein tera Rasool hu, to usse apni mulaqaat mehboob karde is par apna faisla aasaan farma, aur duniya se usse thoda de, aur jo shakhs tujh par imaan nahi laaye aur gawahi nahi de ke mein tera Rasool hu to usse apni mulaqaat mehboob na kar, is par apna faisla aasaan na kar aur duniya se usse ziyada hissa de
---
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam  said: O Allah, whoever believes in You and bears witness that I am Your Messenger, then make him your beloved. Make your decision easy for him, and give him a little of the world, and whoever does not believe in you and does not bear witness that
I am your Messenger, so do not make your meeting dear to him, do not make your decision easy on him and give him more share from the world.
----
فضالہ بن عبید رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اے اللہ جو شخص تجھ پر ایمان لایا اور اس نے گواہی دی کہ میں تیرا رسول ہوں، تو اسے اپنی ملاقات محبوب کر دے۔ اس پر اپنا فیصلہ آسان فرما، اور دنیا سےاسے تھوڑا دے، اور جو شخص تجھ پر ایمان نہ لائے اور گواہی نہ دے کہ میں تیرا رسول ہوں تو اسے اپنی ملاقات محبوب نہ کر ،اس پر اپنا فیصلہ آسان نہ کر اور دنیا سےاسے زیادہ حصہ دے۔ 
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2803-Sahih

kaunse shakhs ke liye Allah Subhanahu per lazim hojata hain ke wo usse Jahannum ka peep pilaye?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Sawal : kaunse shakhs ke liye Allah Subhanahu per lazim hojata hain ke wo usse Jahannum ka peep pilaye?

A. Nashe ki wajah se char bar Namaz chodh di
B. Sharab ka aadi ho jana
C. Nashe ki wajah se ek waqt ki Namaz chorhne se
D. Apne maal mein yateem ka maal shamil kar lena
E.Nashe ki halat ke wajah se teen waqt ki Namaz nahi padi ho
F. Kisi Bidati ki uske bidat ke kaam mein madad kar dena
G. Inmein se koi nahi
H. Sahi jawab ka intezar hain
*******
Sahi jawab: A✅ 

Nasha karne ki wajah se char waqt ki namaz chordne walo ko Jahannam ka peep pilaya jayega

Reference📚:
----------
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne nashe ki wajah se ek namaz chodh di to wo aisa hain jaise ki duniya aur uska sara saman is ka tha aur usse wapas cheen liya gaya aur jis shakhs ne nashe ki wajah se char baar namaz chordh di to Allah Subhanahu per lazim hain usko Teenat-Al-Khabal peelaye, pucha gaya ki Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Teenat-Al-Khabal kya cheez hain to Aapne farmaya Ahl-e-jahannam ki Peep
----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732-Sahih
----
Narrated by Abdullah ibn Umar Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said whoever gets drunk and leave Salah (prayer) then he will be like the one who had whole world and  whatever in it, and has been taken back from him and whoever leaves four prayer due to drunk, then it is binding on Allah that he will give him to drink Teenat-Al-Khabal , The people asked Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam what is Teenat-Al-Khabal ,  he said the discharge of wounds, flowing from the people of Hell. 
----
رسول صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا   جس شخص نے نشے كی وجہ سے ایك نماز چھوڑدی تو وہ ایسے ہے گویا کہ دنیا اور اس کا تمام سامان اس کا تھا ارو یہ اس سے چھن گیا ہے، اور جس شخص نے نشے كی وجہ سے چار مرتبہ نماز چھوڑ ی تواللہ تعالیٰ پر لازم ہے كہ اسے طینۃ الخبال پلائے۔ پوچھا گیا یہ طینۃ الخبال  كیا چیز ہے ؟ اے اللہ كے رسول؟ آپ نے فرمایا: اہل جہنم كا پیپ
----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 732-Sahih

Al-Quran Qayamat ke din kamil andhera kaha cha jayega aur koi insan apna haath bhi nahi dehk sakega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ 

Sawal : Al-Quran Qayamat ke din  kamil andhera kaha cha jayega aur koi insan apna haath bhi nahi dehk sakega?

A. Qabr ke andar
B. Maidan e Mahshar mein
C. Dabbat Al-Ard jab niklega
D. Yajuj Majuj ke nikalne per
E. Pool sirat ke qareeb
F. Jab suraj magrib se nikalega
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai
*******
Sahi jawab - E✅ 
------- 
Bismillahirrahmanirrahim 

يَوْمَ يَقُولُ الْمُنَافِقُونَ وَالْمُنَافِقَاتُ لِلَّذِينَ آمَنُوا انظُرُونَا نَقْتَبِسْ مِن نُّورِكُمْ قِيلَ ارْجِعُوا وَرَاءَكُمْ فَالْتَمِسُوا نُورًا فَضُرِبَ بَيْنَهُم بِسُورٍ لَّهُ بَابٌ بَاطِنُهُ فِيهِ الرَّحْمَةُ وَظَاهِرُهُ مِن قِبَلِهِ الْعَذَابُ 
-------- 
Al Quran : Jis din munafiq mard aur munafiq aurtein unse kahenge jo imaan laye hain ki Hamara intezar karo hum bhi tumhare noor se roshni le le , kaha jayega apne peeche laut jao aur phir waha roshni talash karo , phir unke darmiyan ek deewar khadi kar di jayegi jismein ek darwazz hoga uske andar ki taraf rahmat hogi aur bahar ki taraf azab hoga 
Surah Al-Hadid,(57), 13 
Tafsir: Ibn Abbas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Qayamat ke din (pul sirat ke kareeb) kamil andhera cha jayega aur koi insan apna haath bhi nahi dekh sakega us waqt Allah subhanahu ek noor zahir karenge musalman unki taraf jane lagege to munafiq bhi peeche peeche chalne lagenge jab momeen zyada aage nikal jayenge to ye munafiq unko rokne ke liye aawaz lagayenge aur yaad dilayenge ki duniya mein hum sab saath they to momeen jawab denge ki wapas andhero mein laut jao aur wahi noor talash karo. 
Tafsir ibn kathir,Surah Al-Hadid (57), 13

Dilo ke ghaflat ko dur karne ke liye kaunsa Amal zyada karna chahiye?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Dilo ke ghaflat ko dur karne ke liye kaunsa Amal zyada karna chahiye?

A: kasrat se Alhumdullilah padhne se
B: kasrat se La hawla wala quwwata illah billah padhne se
C: Tahhajud ki Namaz
D: Chast ki Namaz 4 rakate
E: 100 martaba La ilha illAllah padhne se
F: kasrat se SubhanAllah, walAlhumdullilah, wa la ilaha illAllah, Allahu Akbar padhne se
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
******
Sahih Jawab - G✅ (Astagfar)

Mafhum e hadith: Dilo ke ghaflat ko durr karne ke liye rozana 100-100 martaba Allah se bakshih talab karna chahiye (Astagfar)

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya beshak shaan ye hain ke Mere dil per bhi ghaflat taari hojati hain aur mein har roz 100-100 baar Allah Subhanahu taala se (Astagfar) bakhshish talab karta hu
----
The Messenger of Allaah (peace and blessings of Allaah be upon him) said: Of course, the glory is that my heart also becomes heedless and I seek forgiveness (Astagfar) from Allah Almighty hundreds of times every day.
----
سیدنا اغر مزنی  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  بیشک شان یہ ہے کہ میرے دل پر بھی غفلت طاری ہو جاتی ہے اور میں ہر روز سو سو بار اللہ تعالیٰ سے بخشش طلب کرتا ہوں۔  
----
Musnad Ahmed#5482-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...