Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 18 January 2021

Al-Quran Qayamat ke din kamil andhera kaha cha jayega aur koi insan apna haath bhi nahi dehk sakega?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ 

Sawal : Al-Quran Qayamat ke din  kamil andhera kaha cha jayega aur koi insan apna haath bhi nahi dehk sakega?

A. Qabr ke andar
B. Maidan e Mahshar mein
C. Dabbat Al-Ard jab niklega
D. Yajuj Majuj ke nikalne per
E. Pool sirat ke qareeb
F. Jab suraj magrib se nikalega
G. Inmein se koi nahi 
H. Sahi jawab ka intezar hai
*******
Sahi jawab - E✅ 
------- 
Bismillahirrahmanirrahim 

يَوْمَ يَقُولُ الْمُنَافِقُونَ وَالْمُنَافِقَاتُ لِلَّذِينَ آمَنُوا انظُرُونَا نَقْتَبِسْ مِن نُّورِكُمْ قِيلَ ارْجِعُوا وَرَاءَكُمْ فَالْتَمِسُوا نُورًا فَضُرِبَ بَيْنَهُم بِسُورٍ لَّهُ بَابٌ بَاطِنُهُ فِيهِ الرَّحْمَةُ وَظَاهِرُهُ مِن قِبَلِهِ الْعَذَابُ 
-------- 
Al Quran : Jis din munafiq mard aur munafiq aurtein unse kahenge jo imaan laye hain ki Hamara intezar karo hum bhi tumhare noor se roshni le le , kaha jayega apne peeche laut jao aur phir waha roshni talash karo , phir unke darmiyan ek deewar khadi kar di jayegi jismein ek darwazz hoga uske andar ki taraf rahmat hogi aur bahar ki taraf azab hoga 
Surah Al-Hadid,(57), 13 
Tafsir: Ibn Abbas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Qayamat ke din (pul sirat ke kareeb) kamil andhera cha jayega aur koi insan apna haath bhi nahi dekh sakega us waqt Allah subhanahu ek noor zahir karenge musalman unki taraf jane lagege to munafiq bhi peeche peeche chalne lagenge jab momeen zyada aage nikal jayenge to ye munafiq unko rokne ke liye aawaz lagayenge aur yaad dilayenge ki duniya mein hum sab saath they to momeen jawab denge ki wapas andhero mein laut jao aur wahi noor talash karo. 
Tafsir ibn kathir,Surah Al-Hadid (57), 13

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...