Bismillahirrahmannirahim
Hadith: Namaz padhne wale shaqs ki taraf Allah Subhanahu apna chehra mubarak mutawajjah kar dete hai
-----
Huzaifa Radi Allahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum mein se koi shakhs apni Namaz mein khada hota hai, to Allah Subhanahu ta'ala apne chehray ka rukh is ki taraf kar ke mutawajjah ho jata hai. is liye koi shakhs apne Qible ki taraf hargiz na thuke na apne dayen taraf thuke kuy na ke nekiya likhne walay dayen taraf hotay hain, lekin apne baen taraf thuke
-----
حذیفہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے كہاكہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب تم میں سے كوئی شخص اپنی نماز میں كھڑا ہوتا ہے ، تو اللہ تعالیٰ اپنے چہرے كا رخ اس كی طرف كر كے متوجہ ہو جاتا ہے۔ اس لئے كوئی شخص اپنے قبلہ كی طرف ہر گز نہ تھوكے ، نہ اپنے دائیں طرف تھوكے۔ كیونكہ نیكیاں لكھنے والے دائیں طرف ہوتے ہیں، لیكن اپنے بائیں طرف تھوكے۔
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#521- Sahih
No comments:
Post a Comment