❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Wo amal kaunsa hai jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ke woh sache dil se kehne wala shaqs Jannat mein jayega
A: Durud E Ibrahim
B: Sayyadul Astagfar
C: Ayat Al Kursi
D: Surah Ikhlas
E: Allahumma Agfirlli lil momeenina wal momeenaat
F: Azaan ke Alfaaz
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - F✅
Azan ke alfaaz ko sacche dil se dohrane wala shaqs Jannat mein jayega
Reference📚:
------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu bayan karte hai ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath thy Bilal RadiAllahu Anhu khade hokar Azan dene lage chunache jab wo khamosh hogaye toh Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaqs khulus Dil se yeh kalimat kahega wo jannat me jayega..
----
ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، ہم رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے ساتھ تھے ۔ بلال ؓ کھڑے ہو کر اذان دینے لگے ، چنانچہ جب وہ خاموش ہو گئے تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ جو شخص خلوص دل سے یہ کلمات کہے گا وہ جنت میں داخل ہو گا ۔‘‘
-----
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 676-Sahih
No comments:
Post a Comment