Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 30 November 2020

Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain

A: Namaz
B: Sila Rehami
C: Salam
D: Ilm hasil karna
E: Sulah karana 
F: Kasrat se Astagfar karna 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
******
Sahi Jawab - A✅

Namaz Momeen ka behtareen Amal hain

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya seedhe hojao, qareeb hojao, Amal karo, ikhtiyar dawaar jaan lo ke tumhara behtareen Amal Namaz hain, aur sirf momeen he Wazu par hameshgi karta hain
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Straighten up, draw near, act, choose, and know that your best deed is prayer, and only a believer performs ablution forever.
----
ثوبانرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: سیدھے ہو جاؤ، قریب ہو جاؤ، عمل كرو،اختیار دواور جان لو  كہ تمہارا بہترین عمل نماز ہے،اور صرف مومن ہی وضوء پر ہمیشگی کرتا ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2393-Sahih

Bande ke kaunse amal ke bare mein kaha gaya hain ke wo uske Imaan ki daleel hain?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Bande ke kaunse amal ke bare mein kaha gaya hain ke wo uske Imaan ki daleel hain?


A: Sabr karna

B: Khamoshi ikhtiyaar karna

C: Pakki ka khayal rakhna

D: Saadgi

E: Sadqa dena

F: Wazu mein rehna

G: Inmein se koi Nahi


H: Sahi jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - D✅


Saadgi se Zindagi guzaarna Imaan ki dalil hain


Reference📚:

----

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke paas kuch Sahabi Radi Allahu Anhuma ne duniya ka zikr kiya toh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum sun nahi rahe ho, kya tum sun nahi rahe ho beshaq saadgi Imaan ki dalil hain beshaq saadgi Imaan ki dalil hain iss se Murad tark zeenat o Araish aur khasta haali hain (yani saadgi se zindagi guzarna)

-------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے کچھ صحابہ نے ایک روز آپ کے پاس دنیا کا ذکر کیا تو آپ نے فرمایا: کیا تم سن نہیں رہے ہو؟ کیا تم سن نہیں رہے ہو؟ بیشک سادگی ایمان کی دلیل ہے، بیشک سادگی ایمان کی دلیل ہے اس سے مراد ترک زینت و آرائش اور خستہ حالی ہے

---

Narrated Abu Umamah Ilyas ibn Thalabah: The Companions of the Messenger of Allah Sallalahu Alaihi wasallam mentioned this word before him. The Messenger of Allah Sallallahu Aaihi wasallam said: Listen, listen! Wearing old clothes is a part of faith, wearing old clothes is a part of faith. 

Sunan Abu Dawud 4161- Sahih

Nazar ke liye kya kya farmaya gaya hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Nazar ke liye kya kya farmaya gaya hain?

A. Bacche ke roone par nazar ka dam karana.
B. Nazar lagane wale ko wuzu karne ka hukm hai aur jisey nazar lagi ho woh us paani se ghusl kare.
C. Wuzu kar ke do rakat nazar ke liye utarne ki padhein.
D. Taqdeer se koi cheez sabqat le jaye toh woh nazar hoti hai.
E. Yeh bulandi wale ko neeche utar deti hai.
F. Nazar aadmi ko qabr mein dakhil kar deti hai.
G. Oont ko haandi mein utar deti hai.
H. Nazar lagna haq hai.
I. Sahi Jawab ka intezaar
****************
Sahi Jawab - ABDEFGH ✅

Nazar ke liye karne wale ahkaam
-------
Reference📚:

Jabir aur Abu Zarr Radi'Allahu Anhuma se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Nazar aadmi ko qabr mein dakhil kar deti hain aur oont ko haandi mein.
-----
Al Silsila Tus Sahiha 2325-Sahih
******
Abu Huraira Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke: Nazar lagna haq hain.
---
Al Silsila Tus Sahiha 2326-Sahih
----
Abdullah bin Abbas Radi'Allahu Anhu se riwayat hain ke: Nazar lagna haq hai, ye bulandi wale ko neeche utar deti hain (yani kisi ohda wagaira ki bulandi ya aadmi ke sehat mein accha hona
---
Al Silsila Tus Sahiha 2327-Sahih
------
Abdullah bin Abbas Radi'Allahu Anhu  se riwayat hain ke: Nazar lagna haq hai, agar taqdeer se koi cheez sabqat le jaye to wo nazar hoti aur jab tum se ghusl karne ka kaha jaye to ghusl kar ke (in ko paani de do).
Al Silsila Tus Sahiha 2328-Sahih
*****
Aisha Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam inhein hukum diya ke nazar ka dum karwaein.
----
Al Silsila Tus Sahiha 2334-Sahih
****
Aisha Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam nazar lagane wale ko wuzu karne ka hukm dete, phir jis shaksh ko nazar lagi hoti thi woh us se ghusl karta.
----
Al Silsila Tus Sahiha 2335-Sahih
*****
Aisha Radi'Allahu Anhu kehti hain ke Nabi Sallallahu Allaihi wasallam andar dakhil huwe to ek bacche ki roone ki awaaz sunni, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Is bacche ko kya huwa jo ye roo raha hai ? Tum is ke liye nazar ka dum kyu nahi karwaya?
----
Al Silsila Tu Sahiha 2340-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kaunsi baat ke liye farmaya ke bande ka wo baat kehna bahut he bura hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kaunsi baat ke liye farmaya ke bande ka wo baat kehna bahut he bura hain

A: kasrat se sawal karna 
B: Bohtan lagana 
C: Quran ki aayat bhul gaya 
D: Gheebat karna 
E: Jhoot bolna
F: Jo dua ke pehle Darood padhna bhul jaye
G: Inmein se koi nahi
H:Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahih Jawab - C✅

Sabse buri baat banda kahe mein falah aayat bhul gaya

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kisi Aadmi ke liye ye bahut buri baat hain ke wo kahe mein falah aayat bhul gaya ya falah falah aayat bhul gaya balke usse bhulwa diya gaya hain
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فر ما تے ہو ئے سنا : کسی آدمی کے لیے یہ بہت بری بات ہے کہ وہ کہے میں فلا ں فلاں سورت بھول گیا یا فلا ں فلاں آیت بھول گیا بلکہ اسے بھلوا دیا گیا ہے ۔ 
----
Ibn Mas'ud reported Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam as saying: Wretched is the man who says: I forgot such and such a surah, or I forget such and such a verse, but he has been made to forget. 
---
Sahih Muslim # 1843-Sahih

Kaunsa amal subah aur sham karne se har tarah ki pareshaniyon se bachao ke liye kaafi hoga

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunsa amal subah aur sham karne se har tarah ki pareshaniyon se bachao ke liye kaafi hoga

A: Ayat Al-Kursi
B: Allahummastur 'awrati, wa amin raw'ati
C:  Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha illa anta
D: Surah Ikhlas, Surah Al Falaq aur Surah An Nas 3 baar
E: La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir  La Hawla wa La Quwwata illa billah SubhanAllah, Walhamdulillah,  Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar
F: Sayyad-Al-Astigfar
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
.Sahi Jawab - D✅

Subah Sham 3 baar Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An Nas padhne ki fazilat

Reference📚:
-----
Abdullah ibn Khubayb RadiAllahu Anhu kehte hain ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko barish ki ek sakht andheri raat mein namaz padhne ke liye talaash karne nikle, to hum ne Aap Sallallahu Alaihi wasallam ko pa liya, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum logon ne namaz padh li? hum ne koi jawab nahi diya, Aap ne farmaya kuch kaho is par bhi hum ne kuch nahi kaha, Aap ne phir farmaya kuch kaho (phir bhi) hum ne kuch nahi kaha, phir aap ne farmaya kuch to kaho mein ne arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya kahoon? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: (Surah Al Ikhlas) aur Al-Mu’awwidhatan (yani Surah Falaq aur Surah An Nas) teen martaba subah ke waqt, aur teen martaba shaam ke waqt keh liya karo to ye tumhe (har terhan ki pareshaniyon se bachao ke liye) kaafi hongi.
Sunnan e Abu Dawood#5082-Sahih
-----
عبداللہ بن خبیب رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ ہم رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو بارش کی ایک سخت اندھیری رات میں نماز پڑھانے کے لیے تلاش کرنے نکلے، تو ہم نے آپ کو پا لیا، آپ نے فرمایا:  کیا تم لوگوں نے نماز پڑھ لی؟  ہم نے کوئی جواب نہیں دیا، آپ نے فرمایا:  کچھ کہو  اس پر بھی ہم نے کچھ نہیں کہا، آپ نے پھر فرمایا:  کچھ کہو   ( پھر بھی )  ہم نے کچھ نہیں کہا، پھر آپ نے فرمایا:  کچھ تو کہو  میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! کیا کہوں؟ آپ نے فرمایا: «قل هو الله أحد» اور معوذتین تین مرتبہ صبح کے وقت، اور تین مرتبہ شام کے وقت کہہ لیا کرو تو یہ تمہیں  ( ہر طرح کی پریشانیوں سے بچاؤ کے لیے )  کافی ہوں گی۔
-----
Narrated Abdullah ibn Khubayb: We went out one rainy and intensely dark night to look for the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam to lead us in prayer, and when we found him, he asked: Have you prayed?, but I did not say anything. So he said: Say, but I did not say anything. He again said: Say, but I did not say anything. He then said: Say. So I said: What am I to say? He said: Say:  (Surah Al Ikhlas) Say, He is Allah, One, and al-Mu'awwadhatan (Surah Falaq and Surah An Nas) three times in the morning and evening; they will serve you for every purpose.
-----
Sunnan e Abu Dawood#5082-Sahih

Sayyad Al Astagfaar-Allah Subhanahu se maghfirat maangne ki sab duao ki sardar



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Sayyad Al Astagfaar-Allah Subhanahu se maghfirat maangne ki sab duao ki sardar
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Sayyad-Al-Astagfaar (maghfirat maangne ki sab kalimaat ki sardaar)  ye hain ki jisne is dua ke alfaaz par yaqeen rakhte huwe dil se inko keh liya aur iss din iss ka inteqaal hogaya shaam hone se phele to wo jannati aur jis ne iss dua ke alfaaz par yakeen rakhte huwe raat mein inko padh liya aur phir iss ka subah hone se pehle inteqaal hogaya to wo jannati hain..wo dua ye hain...

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
----
Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya,  wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
-----
Eh Allah tu hi mera RABB hain, tere siwa koi mabood nahi, tune he mujhe paida kiya hain aur main tera hi banda hu, main apni taqat ke mutabiq tujhse kiye huwe Ahad aur wade par qayam hu, main tujhse us cheez ki burayee se panah maangta hu jisko maine kiya ,main tere samne teri neimaton ka iqrar karta hu jo tune mujhe ata farmayee, Aur mein apne gunahon ka bhi iqrar karta hu, tu mujhe maaf kar de, beshak tere siwa gunahon ko koi maaf karne wala nahi
Sahih Bukhari,  6306-Sahih
---------
اور ان سے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے کہ سیدالاستغفار  ( مغفرت مانگنے کے سب کلمات کا سردار )  یہ ہے یوں کہے
اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
اے اللہ ! تو میرا رب ہے، تیرے سوا کوئی معبود نہیں ۔ تو نے ہی مجھے پیدا کیا اور میں تیرا ہی بندہ ہوں میں اپنی طاقت کے مطابق تجھ سے کئے ہوئے عہد اور وعدہ پرقائم ہوں ۔ ان بری حرکتوں کے عذاب سے جو میں نے کی ہیں تیری پناہ مانگتا ہوں مجھ پر نعمتیں تیری ہیں اس کااقرار کرتا ہوں ۔ میری مغفرت کر دے کہ تیرے سوا اور کوئی بھی گناہ نہیں معاف کرتا
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جس نے اس دعا کے الفاظ پر یقین رکھتے ہوئے دل سے ان کو کہہ لیا اور اسی دن اس کا انتقال ہو گیا شام ہونے سے پہلے، تو وہ جنتی ہے اور جس نے اس دعا کے الفاظ پر یقین رکھتے ہوئے رات میں ان کو پڑھ لیا اور پھر اس کا صبح ہونے سے پہلے انتقال ہو گیا تو وہ جنتی ہے
-----
The Prophet Sallallahu Alaihi wa sallam said The most superior way of asking for forgiveness from Allah is:

اللَّهُمَّ أَنْتَ رَبِّي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ خَلَقْتَنِي وَأَنَا عَبْدُكَ وَأَنَا عَلَى عَهْدِكَ وَوَعْدِكَ مَا اسْتَطَعْتُ أَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا صَنَعْتُ أَبُوءُ لَكَ بِنِعْمَتِكَ عَلَىَّ وَأَبُوءُ لَكَ بِذَنْبِي فَاغْفِرْ لِي فَإِنَّهُ لاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ
----
Allahumma anta Rabbi la ilaha illa anta, Khalaqtani wa ana abduka, wa ana 'ala ahdika wa wa'dika mastata'tu, Awuzu bika min sharri ma sana'tu, abu'u Laka bini'matika 'alaiya,  wa Abu'u Laka bizambi fagfirli fa innahu la Yagfiru-az-zunuba illa anta.
----
O Allah, You are my Lord, none has the right to be
worshiped except You, You created me and I am Your servant and I Obey to Your covenant and promise as best as I can, I take refuge in You from the evil of which I committed. I acknowledge Your favor upon me and I acknowledge my sin, so forgive me, indeed none can forgive sins except You.
The Prophet Salallallahu Alaihi wasallam added.   If somebody recites it during the day with firm faith in it, and dies on the same day before the evening, he will be from the people of Paradise; and if somebody recites it at night with firm faith in it, and dies before the morning, he will be from the people of Paradise.
-----
Sahih Bukhari,  6306-Sahih
https://youtu.be/ExyQvhFPrXI


 

Allah Subhanahu se Maghfirat Mangne ki dua



Bismillahirrahmanirrahim

Dua: Allah Subhanahu se Maghfirat Mangne ki dua
----
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-Aafu, faafu anni
---
Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
Sunan ibn Majah, Jild 3, 731-Sahih
---
یا اللہ تو معاف کرنے والا ہے اور معاف کرنے کو پسند کرتا ہے اس لئے مجھے معاف فرما
----
Bismillahirrahmanirrahim

Dua for asking forgiveness from Allah Subhanahu
----
O Allah, You are Forgiving and love forgiveness, so forgive me.
Sunan ibn Majah, Book 34, Hadith 24-Sahih
https://youtu.be/T_Va4oO_VHE


 

Subah Sham 3 baar Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An Nas padhne ki fazilat




Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Subah Sham 3 baar Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq aur Surah An Nas padhne ki fazilat
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: (Surah Al Ikhlas) aur Al-Mu’awwidhatan (yani Surah Falaq aur Surah An Nas) teen martaba subah ke waqt, aur teen martaba sham ke waqt keh liya karo to ye tumhe (har terhan ki pareshaniyon se bachao ke liye) kaafi hongi.
Sunnan e Abu Dawood#5082-Sahih
-----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم  نے فرمایا: «قل هو الله أحد» اور معوذتین تین مرتبہ صبح کے وقت، اور تی مرتبہ شام کے وقت کہہ لیا کرو تو یہ تمہیں  ( ہر طرح کی پریشانیوں سے بچاؤ کے لیے )  کافی ہوں گی۔
-----
Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: The Virtue of reciting Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq and Surah An Nas 3 times in the morning and evening
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Say:  (Surah Al Ikhlas) Say, He is Allah, One, and al-Mu'awwadhatan (Surah Falaq and Surah An Nas) three times in the morning and evening; they will serve you for every purpose.
-----
Sunnan e Abu Dawood#5082-Sahih
https://youtu.be/bAeXdhfY2CM


 

Jumma k din mujh per zyada se zyada darood bheja karo




Bismillahirrhamanirrahim

Hadith: Jumma k din mujh per zyada se zyada darood bheja karo
-----------
Hazrat Aws bin Aws Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wassalam ne farmaya tumhare tamam dinon men Jumma ka din sabse afzal hai ki is din Hazrat Aadam Alaihi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayi aur usi din soor  phunka jayega aur isi din sab behosh honge isliye is roz (Juma ko)mujh per zyada se zyada darood bgeja kero kyunki tumhara darood padhna mujh per pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humara darood parhna aap per kis tarah se pesh honge to aap Sallallahu Alaihi wassallam ne farmaya Allah subhanahu ne Anbiya karam ke jism ko mitti per haram kar diya hai.
Sunnan Abu Dawud,Vol 1, 1035-Sahih
----------------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تمہارے دنوں میں سب سے افضل (بہترین) جمعہ کا دن ہے، اسی دن آدم علیہ السلام پیدا ہوئے، اسی میں ان کی روح قبض کی گئی، اور اسی دن صور پھونکا جائے گا، اور اسی دن بیہوشی طاری ہو گی، لہٰذا تم مجھ پر زیادہ سے زیادہ صلاۃ (درود و رحمت) بھیجو کیونکہ تمہاری صلاۃ (درود و رحمت) مجھ پر پیش کیے جائیں گے ؎ لوگوں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہماری صلاۃ (درود و رحمت) آپ پر کس طرح پیش کی جائیں گی حالانکہ آپ ریزہ ریزہ ہو چکے ہوں گے یعنی وہ کہنا چاہ رہے تھے، کہ آپ بوسیدہ ہو چکے ہوں گے، آپ نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ نے زمین پر حرام کر دیا ہے کہ وہ انبیاء علیہم السلام کے جسم کو کھائے ۔
---------
Narrated By Aws Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam said: Among the most excellent of your days is Friday; on  this day Adam Alaihi salam was created, on this day  he died, on this day the last trumpet will be blown, and on this day the shout will be made, so send more blessings on me this day (means on friday), for your blessings will be submitted to me. The people asked: Ya Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam  how can it be that our blessings will be submitted to you while your body is decayed? Rasool-Allah SallallahuAlalhi Wasallam replied: Allah Subhanahu has prohibited the earth from consuming the bodies of Prophets. 
Sunan Abu Dawud, Book 3, 1042-Sahih
https://youtu.be/Djk51TAWv38


 

Masjid mein Fajar ki namaz padhna aur fir chast ki namaz adda karne wala shakhs aisa hain jisne bahut badi maa e ghanemat samait li ho



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Masjid mein Fajar ki namaz padhna aur fir chast ki namaz adda karne wala shakhs aisa hain jisne bahut badi maa e ghanemat samait li ho
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek Lashker bheja, jinhon ne bohat badi tadaad mein maal ghanimat haasil kiya aur jaldi wapas aagaye, ek aadmi ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam hum ne aise log nahi dehke jo is Lashker se ziyada ghanimat haasil karne wale aur jaldi wapas anne wale ho. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mein tumhe is Lashker se bhi ziyada jaldi aur badi ghanimat haasil karne wale ke bare mein na batao? wo shakhs jis ne apne ghar mein wazu ki aur achchi tarhan wazu kiya, phir Masjid ki taraf gaya aur Masjid mein subah ki namaz padhi, phir is ke baad chaasht ki Namaz padhi, to wo bohat jald aur bohat badi ghanimat samaitt kar palta.
----
 ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ایك لشكر بھیجا، جنہوں نے بہت بڑی تعداد میں مال  غنیمت حاصل كیا اور جلدی واپس آگئے ، ایك آدمی نے كہا: اے اللہ كے رسول صلی اللہ علیہ وسلم ہم نے ایسے لوگ نہیں دیكھے جو اس لشكر سے زیادہ غنیمت حاصل کر نےوالے اور جلدی واپس آنے والے ہوں ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں تمہیں اس لشكر سے بھی زیادہ جلدی اور بڑی غنیمت حاصل كرنے والےكے بارے میں نہ بتاؤں؟ وہ شخص جس نے اپنے گھر میں وضو ءكیا اور اچھی طرح وضو كیا، پھر مسجد كی طرف گیا اور مسجدمیں صبح كی نماز پڑھی، پھر اس كے بعد چاشت كی نماز پڑھی ، تو وہ بہت جلد اور بہت بڑی غنیمت سمیٹ کر پلٹا
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2384-Sahih


 

Aur wahi (Allah) daulatmand banata hain aur Muflis karta hain





Bismillahirahmanirrahim

وَأَنَّهُ هُوَ أَغْنَىٰ وَأَقْنَىٰ
-----
Aur wahi (Allah) daulatmand banata hain aur Muflis karta hain
---
اور یہ کہ وہی (الله) دولت مند بناتا اور مفلس کرتا ہے
---
And that it is He (Allah) Who has given wealth and contentment?
----
Surah An-Najam - (53:48)


 

Namaz ko mukummal teen hisso mein sahi se adda karne wale ki Namaz qabool hogi aur uske saare aamal qabool honge aur jiski Namaz mardood hogi uske saare aamal bhi mardood honge



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Namaz ko mukummal teen hisso mein sahi se adda karne wale ki Namaz qabool hogi aur uske saare aamal qabool honge aur jiski Namaz mardood hogi uske saare aamal bhi mardood honge
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namaz teen hisson mein taqseem hain pakeezgi ek tihai hain, aur ruku ek tihai hain aur sajda ek tihai hain, jis ne usse kama haq ada kiya to is ki Namaz qabool ki jayegi, aur is ke sare aamaal qabool honge aur jis ki Namaz mardood hogayi is ke saare aamaal mardood hogaye
----
It was narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allaah Sallallahu Alaihi wasallam said: The prayer is divided into three parts, the purity is one-third, the bowing is one-third, and the prostration is one-third. And all his deeds will be accepted, and he whose prayers are rejected, his deeds will be rejected.
------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نماز تین حصوں میں تقسیم ہے، پاكیزگی ایك تہائی ہے،اور رکوع ایک تہائی  ہے اورسجدے  ایك تہائی ہیں، جس نے اسے كماحقہ ادا كیا تو اس كی نماز قبول كی جائے گی، اور اس كے سارے اعمال قبول ہوں گے اور جس كی نماز مردود ہوگئی اس كے سارے اعمال مردود ہو گئے
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#643-Sahih


 

Mera RABB jo chahiye uss ke liye behtareen tadbeer karne wala hain.




Bismillahirrahmannirrahim

إِنَّ رَبِّي لَطِيفٌ لِّمَا يَشَاءُ
------
Mera RABB jo chahiye uss ke liye behtareen tadbeer karne wala hain.
------
میرا رب جو چاہے اس کے لئے بہترین تدبیر کرنے والا ہے  
------
Indeed, my Lord is Subtle in what He wills.
------
Surah Yusuf: (12:100)


 

Aise Azkar jinke padhne se Allah Subhanahu bande ki hajjat (dua) qubool farmata hain





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Aise Azkar jinke padhne se Allah Subhanahu bande ki hajjat (dua) qubool farmata hain
-----
Hazrat Anas bin Maalik RadiAllahu Anhu se riwayat hai, unhon ne farmaya Hazrat Umm Saleem RadiAllahu anhu Nabi Sallallahu Alaihi ke paas ayen aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Mujhe kuch aisay kalImaat sikha dijiye jin ke saath mein Namaz mein dua kiya karoon Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya das 
(10) dafaa SubhanAllah padha kar aur 
das (10) dafaa Alhumdullilah padha kar aur 
das (10) dafaa Allahu Akbar padha kar phir Allah Subahnahu se apni haajat talabb kar. Allah Subhanahu taala farmaiye ga haan! haan! (Mein ne teri haajat qubool ki
-----
 It was narrated that Anas bin Malik said: Umm Sulaim came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: 'O Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, teach me some words that I may supplicate with during my prayer.' He said: 'Glorify Allah (by saying SubhanAllah) ten times, and praise Him (by saying Alhamdulilah) ten times, and magnify Him (by saying Allahu Akbar) ten times, then ask Him for what you need; He will say: 'Yes, Yes.' 
-----
حضرت انس بن مالک رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، انھوں نے فرمایا : حضرت ام سلیم رضی اللہ عنہا نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئیں اور کہا : اے اللہ کے رسول ! مجھے کچھ ایسے کلمات سکھا دیجیے جن کے ساتھ میں نماز میں دعا کیا کروں ۔ آپ نے فرمایا :’’ دس دفعہ سبحان اللہ پڑھا کر اور دس دفعہ الحمدللہ پڑھا کر اور دس دفعہ اللہ اکبر پڑھا کر ۔ پھر اللہ سے اپنی حاجت طلب کر ۔ اللہ تعالیٰ فرمائے گا : ہاں ! ہاں ! ( میں نے تیری حاجت قبول کی ) ۔‘‘ 
----
Sunnan e Nisai#1300-Sahih


 

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah



Bismillahirrahmanirrahim

لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
----
Allah ke Siwa koi ibadat ke layaq nahi  aur Muhammed Sallallahu Alahih Wasallam Allah ke Rasool hai
-----
الله کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم الله کے رسول ہیں
------
There is no God but Allah and Muhammed Sallallahu Alahih Wasallam is the messenger of Allah


 

Allah Subhanahu ne Shaitan ke Makr ko waswasa bana diya jo Momeen ko nuqsaan nahi pahuchata hain




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ne Shaitan ke Makr ko waswasa bana diya jo Momeen ko nuqsaan nahi pahuchata hain
------
Ek shakhs Rasool- Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aaya, aur is ne arz kiya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! hum mein se kisi ke dil mein aisa waswasa paida hota hain, ke is ko bayan karne se raakh hojana ya jal kar koyla hojana behtar maloom hota hain Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Akbar, Allah Akbar, shukar hain iss Allah Subhanahu ka jis ne shaitan ke makr ko waswasa bana diya (aur waswasa Momeen ko nuqsaan nahi pohanchata)
----
Narrated Abdullah ibn Abbas: A man came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: Messenger of Allah! one of us has thoughts of such nature that he would rather be reduced to charcoal than speak about them. He said: Allah is Most Great, Allah is Most Great, Allah is Most Great. Praise be to Allah Who has reduced the guile of the devil to evil prompting. Ibn Qudamah said  reduced his matter  instead of  reduced his guile . Ibn Qudamah said  reduced his matter  instead of  reduced his guile . 
-----
ایک شخص رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آیا، اور اس نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہم میں سے کسی کے دل میں ایسا وسوسہ پیدا ہوتا ہے، کہ اس کو بیان کرنے سے راکھ ہو جانا یا جل کر کوئلہ ہو جانا بہتر معلوم ہوتا ہے، آپ نے فرمایا: اللہ اکبر، اللہ اکبر، شکر ہے اس اللہ کا جس نے شیطان کے مکر کو وسوسہ بنا دیا  ( اور وسوسہ مومن کو نقصان نہیں پہنچاتا )  ۔ ابن قدامہ نے اپنی روایت میں «رد كيده» کی جگہ «رد أمره» کہا ہے۔ 
-----
Sunnan e Abu Dawood#5112-Sahih


 

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya khabardaar ye chaar kalimaat baaki rehne wali nekiya hain


Bismillahirrahmanirrahim

🌷SubhanAllah 🌷
----------
🌷Alhamdulillah 🌷
----------
🌷La illaha illAllah🌷
----------
🌷Allahu Akbar 🌷
-----------
Hadith : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya khabardaar ye chaar kalimaat baaki rehne wali nekiya hain

سبحان الله الحمد لله لا إله إلا الله الله أكبر

SubhanAllah
Alhamdulillah
La illaha illAllah
Allahu Akbar
Musnad Ahmed#8666-Sahih
-----
نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: خبردار! یہ چار کلمات باقی رہنے والی نیکیاں ہیں: سُبْحَانَ اللّٰہِ،اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ، لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ اور اللّٰہُ اَکْبَرُ۔ 
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said be aware that this four azkar are the everlasting good deeds

سبحان الله الحمد لله لا إله إلا الله الله أكبر

SubhanAllah
Alhamdulillah
La illaha illAllah
Allahu Akbar
---
Musnad Ahmed#8666-Sahih


 

Nazar lagna haq hain... kuch hadeese nazar ke mutalliq bayan ki gayi hain..

 Bismillahirrahmannirahim


Hadith: Nazar lagna haq hain... kuch hadeese nazar ke mutalliq bayan ki gayi hain..

------

Jabir aur Abu Zarr Radi'Allahu Anhuma se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Nazar aadmi ko qabr mein dakhil kar deti hain aur oont ko haandi mein.

-----

Al Silsila Tus Sahiha 2325-Sahih

******

Abu Huraira Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke: Nazar lagna haq hain.

---

Al Silsila Tus Sahiha 2326-Sahih

****

Abdullah bin Abbas Radi'Allahu Anhu se riwayat hain ke: Nazar lagna haq hai, ye bulandi wale ko neeche utar deti hain (yani kisi ohda wagaira ki bulandi ya aadmi ke sehat mein accha hona

---

Al Silsila Tus Sahiha 2327-Sahih

*****

Abdullah bin Abbas Radi'Allahu Anhu  se riwayat hain ke: Nazar lagna haq hai, agar taqdeer se koi cheez sabqat le jaye to wo nazar hoti aur jab tum se ghusl karne ka kaha jaye to ghusl kar ke (in ko paani de do).

Al Silsila Tus Sahiha 2328-Sahih

*****

Aisha Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Salllallahu Alaihi wasallam inhein hukum diya ke nazar ka dum karwaein.

----

Al Silsila Tus Sahiha 2334-Sahih

****

Aisha Radi'Allahu Anhu se riwayat hai ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam nazar lagane wale ko wuzu karne ka hukm dete, phir jis shaksh ko nazar lagi hoti thi woh us se ghusl karta.

----

Al Silsila Tus Sahiha 2335-Sahih

*****

Aisha Radi'Allahu Anhu kehti hain ke Nabi Sallallahu Allaihi wasallam andar dakhil huwe to ek bacche ki roone ki awaaz sunni, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Is bacche ko kya huwa jo ye roo raha hai ? Tum is ke liye nazar ka dum kyu nahi karwaya?

----

Al Silsila Tu Sahiha 2340-Sahih

Surah Al Quraish Roman Urdu English Tarjuma



🌹QURAN KI FAZEELAT🌹
---------
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya main tumhe naseehat karta hu ki Allah ke zikr aur Quran ki tilawat ko lazim kar lo kyunki ye tumhare liye aasman mein noor ka sabab hain aur zameen mein tumhare liye Zikr e khair ki wajah hain

Al Sisila As Sahiha , 1351
-----
Bismillahirrahmannirrahim

🌹Surah Al Quraish🌹
-----
1. لِإِيلَافِ قُرَيْشٍ
2. إِيلَافِهِمْ رِحْلَةَ الشِّتَاءِ وَالصَّيْفِ
3. فَلْيَعْبُدُوا رَبَّ هَـٰذَا الْبَيْتِ
4. الَّذِي أَطْعَمَهُم مِّن جُوعٍ وَآمَنَهُم مِّنْ خَوْفٍ
----
1. Quraish ke Manoos karne ke sabab
2. (yani) un ko jaade aur garmi ke safar se manoos karne ke sabab
3. Logo ko chahiye ke (is Niyamat ke shukar mein) is ghar ke Maalik ki ibadat kare
4. Jisne un ko bhook mein khana khilaya aur khauf se aman bakhsha
-----
1. قریش کے مانوس کرنے کے سبب
2. (یعنی) ان کو جاڑے اور گرمی کے سفر سے مانوس کرنے کے سبب
3. لوگوں کو چاہیئے کہ (اس نعمت کے شکر میں) اس گھر کے مالک کی عبادت کریں
 4. جس نے ان کو بھوک میں کھانا کھلایا اور خوف سے امن بخشا
----
1. SINCE THE QURAISH have been united,
2. United to fit out caravans winter and summer, 
3. Let them worship the Lord of this House,
4. Who provided them against destitution and gave them security against fear.
----
Surah Al Quraish, 106


 

Ek baar Subhan-Allahil Azeem, Wa Bihamdehi kehta hai toh uske liye Jannat mein ek Khajoor ka darkht laga diya jata hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Ek baar Subhan-Allahil Azeem, Wa Bihamdehi kehta hai toh uske liye Jannat mein ek Khajoor ka darkht laga diya jata hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs

سُبْحَانَ اللّهِ الْعَظِيمِ وَ بِحَمْدِهِ
Subhan-Allahil-Azeem wa biHamdihi

kahega is ke liye Jannat mein khajoor ka ek darakht lagaya jayega“
Jam e Tirmazi#3465-Sahih
----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو شخص: «سبحان الله العظيم وبحمده» کہے گا اس کے لیے جنت میں کھجور کا ایک درخت لگایا جائے گا“ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: “Whoever says: ‘Glory is to Allah The Supreme and with His Praise" 
SubhanAllahil-Azeem wa biHamdihi
a date-palm tree is planted for him in Paradise.” 
-----
Jam e Tirmazi#3465-Sahih


 

Surah jo Shirk se aazad karne wala hain wo hain Surah Al-Kafiroon



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Surah jo Shirk se aazad karne wala hain wo hain Surah Al-Kafiroon
-----
Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam safar mein ek aadmi ke paas se guzre wo Surah Kafiroon padh raha tha Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye Shirk se aazad ho gaya
Musnad Ahmed-8848-Sahih
-----
قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ  لَا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ
وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ وَلَا أَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدتُّمْ
وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ لَكُمْ دِينُكُمْ وَلِيَ دِينِ
--------
Kah do Eh Kafiroh Jin (butoh) ki tum ibadat karte ho unki mein ibadat nahi karta,Aur jis Allah ki main Ibadat karta hu uski tum ibadat nahi karte, Aur Jin ki tum ibadat karte ho unki main ibadat karne wala nahi hu, Aur na tum uski bandagi karne wale  ho jiski mein bandagi karta hu ,Tum apne Deen par mein apne Deen par
Surah Al Kafiroon (109)
--------
میں نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے ساتھ ایک سفر میں تھا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ایک آدمی کے پاس سے گزرے، وہ سورۂ کافرون پڑھ رہا تھا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: یہ شرک سے بری ہو گیا ہے۔ 
--------
کہہ دو کہ اے کافرو!  جن (بتوں) کی تم عبادت کرتے ہوں ان کی میں عبادت نہیں کرتا
اور جس (الله)  کی میں عبادت کرتا  ہوں اس کی تم عبادت نہیں کرتے 
اور (میں پھر کہتا ہوں کہ) جن کی تم عبادت کرتے ہوں ان کی میں عبادت کرنے والا نہیں ہوں  
اور نہ تم اس کی بندگی کرنے والے (معلوم ہوتے) ہو جس کی میں بندگی کرتا ہوں 
تم اپنے دین پر میں اپنے دین پر
--------
Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: The Surah which will free you from Shirk (polytheism) is Surah Al-Kafiroon
-----
During a journey Rasool-Allah Sallallahu Alahi Wasllam heard a man reciting Qul Yaaayuhal kafiroon (Surah Kafiroon) , after hearing this Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said he has been freed from Shirk (polytheism)
Musnad Ahmed-8848-Sahih
--------
Say O disbelievers, I worship not that which you worship, Nor will you worship that which I worship 
And I shall not worship that which you are worshiping, Nor will you worship that which I worship 
To you be your religion and to me my religion
Surah Kafiroon (109)
https://youtu.be/cIAS4RGUzlA

 

Jo log Allah ke raah mein kisi cheez ko jodhe se karch karte hain unhe Jannat ke har darwaze se pukara jayega



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo log Allah ke raah mein kisi cheez ko jodhe se karch karte hain unhe Jannat ke har darwaze se pukara jayega
-----
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo aadmi kisi cheez ka jodha Allah Subhanahu taala ki raah mein kharch karega, usse Jannat ke darbaan yun aawaz denge Eh Musalman! yeh darwaaza behtar hai, idhar aajao
-----
Abu Huraira that the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him) said: Whoever spends a pair of things in the way of Allah, the gatekeepers of Paradise will call him: O Muslims! This door is better, come here.
-----
۔ سیدنا ابوہریرہ رضی اللہ عنہ  سے یہ بھی روایت ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا:  جو آدمی کسی چیز کا جوڑا اللہ تعالیٰ کی راہ میں خرچ کرے گا، اسے جنت کے دربان یوں آواز دیں گے: اے مسلمان! یہ دروازہ بہتر ہے، ادھر آ جاؤ۔  
------
Musnad Ahmed#3600-Sahih


 

Alhamdulillahi Rabbil Aalamin



Bismillahirrahmannirrahim


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo koi dil se Alhumdullilahi Rabbil Aalamin kahega (yani zuban ke saath dil se bhi iska yakeen ho ki Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hain) toh uske liye 30 nekiya likhi jayegi aur 30 gunah mita diye jayenge
Masnad Ahmed, 5450- Sahih
-----
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ

Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
-----  
Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hain
-------
تمام تعریفیں اللہ کے لئے ہیں اور وہی سارے جہاں کا پالنے والا ہے 
-------
All praise and thanks is for Allah alone


 

Surah Al Humaza with Roman Urdu Tarjuma



🌹QURAN KI FAZEELAT🌹
---------
Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya main tumhe naseehat karta hu ki Allah ke zikr aur Quran ki tilawat ko lazim kar lo kyunki ye tumhare liye aasman mein noor ka sabab hain aur zameen mein tumhare liye Zikr e khair ki wajah hain

Al Sisila As Sahiha , 1351
------

Bismillahirrahmannirrahim

🌹Surah Al Humaza🌹

1. وَيْلٌ لِّكُلِّ هُمَزَةٍ لُّمَزَةٍ
2. الَّذِي جَمَعَ مَالًا وَعَدَّدَهُ
3. يَحْسَبُ أَنَّ مَالَهُ أَخْلَدَهُ
4. كَلَّا ۖ لَيُنبَذَنَّ فِي الْحُطَمَةِ
5. وَمَا أَدْرَاكَ مَا الْحُطَمَةُ
6. نَارُ اللَّهِ الْمُوقَدَةُ
7. الَّتِي تَطَّلِعُ عَلَى الْأَفْئِدَةِ
8. إِنَّهَا عَلَيْهِم مُّؤْصَدَةٌ
9. فِي عَمَدٍ مُّمَدَّدَةٍ
----
1. Har gheebat karne wale tana dene wale ke liye halakat hain
2. jo maal ko jama karta hain aur usse ginta rehta hain
3. wo khayaal karta hain ke is ka maal usse sada rakhega
4. hargiz nahi wo zaroor hutma mein phenka jayega
5. aur aap ko kya maloom hutma kya hain
6. wo Allah Subhanahu ki bhadkayi huwi aag hain
7. jo dilon tak ja pahunchti hain
8. beshak wo un par charon taraf se band kar di jayegi
9. lambe lambe satuno mein 
-----
1. ہر غیبت کرنے والے طعنہ دینے والے کے لیے ہلاکت ہے
2. جو مال کو جمع کرتا ہے اور اسے گنتا رہتا ہے
3. وہ خیال کرتا ہے کہ اس کا مال اسے سدا رکھے گا
4. ہرگز نہیں وہ ضرور حطمہ میں پھینکا جائے گا
5. اور آپ کو کیا معلوم حطمہ کیا ہے
6. وہ الله کی بھڑکائی ہوئی آگ ہے
7. جو دلوں تک جا پہنچتی ہے
8. بے شک وہ ان پر چاروں طرف سے بند کر دی جائے گی
9. لمبے لمبے ستونوں میں
-----
1. Woe to every scorner and mocker
2. Who collects wealth and [continuously] counts it.
3. He thinks that his wealth will make him immortal.
4. No! He will surely be thrown into the Crusher.
5. And what can make you know what is the Crusher?
6. It is the fire of Allah, [eternally] fueled,
7. Which mounts directed at the hearts.
8. Indeed, Hellfire will be closed down upon them
9. In extended columns.
----
Surah Al Humaza, 104


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...