Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 30 November 2020

Bande ke kaunse amal ke bare mein kaha gaya hain ke wo uske Imaan ki daleel hain?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Bande ke kaunse amal ke bare mein kaha gaya hain ke wo uske Imaan ki daleel hain?


A: Sabr karna

B: Khamoshi ikhtiyaar karna

C: Pakki ka khayal rakhna

D: Saadgi

E: Sadqa dena

F: Wazu mein rehna

G: Inmein se koi Nahi


H: Sahi jawab ka intezaar

**********

Sahi Jawab - D✅


Saadgi se Zindagi guzaarna Imaan ki dalil hain


Reference📚:

----

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ke paas kuch Sahabi Radi Allahu Anhuma ne duniya ka zikr kiya toh Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum sun nahi rahe ho, kya tum sun nahi rahe ho beshaq saadgi Imaan ki dalil hain beshaq saadgi Imaan ki dalil hain iss se Murad tark zeenat o Araish aur khasta haali hain (yani saadgi se zindagi guzarna)

-------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے کچھ صحابہ نے ایک روز آپ کے پاس دنیا کا ذکر کیا تو آپ نے فرمایا: کیا تم سن نہیں رہے ہو؟ کیا تم سن نہیں رہے ہو؟ بیشک سادگی ایمان کی دلیل ہے، بیشک سادگی ایمان کی دلیل ہے اس سے مراد ترک زینت و آرائش اور خستہ حالی ہے

---

Narrated Abu Umamah Ilyas ibn Thalabah: The Companions of the Messenger of Allah Sallalahu Alaihi wasallam mentioned this word before him. The Messenger of Allah Sallallahu Aaihi wasallam said: Listen, listen! Wearing old clothes is a part of faith, wearing old clothes is a part of faith. 

Sunan Abu Dawud 4161- Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...