❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal : Is ayat ko mukammal kijiye
Allah Subhanahu ka ___ ikhtiyaar karo aur Allah Subahnahu Taala se Acha _____kis ka hoga?
A: Taqwa
B: Qurb
C: Badla
D: Zikr
E: Farman
F: Hisaab
G: Deen
H: In mein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar?
***********
Sahi Jawab - HH✅....Rang
Reference📚
2 : سورة البقرة 138
صِبۡغَۃَ اللّٰہِ ۚ وَ مَنۡ اَحۡسَنُ مِنَ اللّٰہِ صِبۡغَۃً ۫ وَّ نَحۡنُ لَہٗ عٰبِدُوۡنَ ﴿۱۳۸﴾
اللہ کا رنگ اختیار کرو اور اللہ تعالٰی سے اچھا رنگ کس کا ہوگا ؟ ہم تو اسی کی عبادت کرنے والے ہیں ۔
Allah ka Rang ikhtiyar karo aur Allah Talaa say acha Rang kis ka hoga? Hum to ussi ki ibadat karney wale hain.
Surah Baqarah: Ayat 138
Tafseer: Ibn Kaseer
Rang se murad Deen hai aur is ka zabar bator اغراء ke hai. jisay fitra Allah mein matlab yeh hai ke Allah ke deen ko lazim pakar lau is par chimat jao. baaz kehte hain yeh badal hai millat e Ibrahim se jo is se pehlay mojood hai. Sybuyah (سیبویہ) kehte hain yeh saddar moukada hai. Amana billah ki wajah se Mansob hai jaisay vad- Allah aik marfoo hadees hai Bani Israel ne kaha Eh Rasool-Allah (ﷺ) kya hamara RAB rang bhi karta hai? Aap ne farmaya Allah se daro aawaz aayi un se keh do ke tamam rang mein he to peda karta hoon. yahi matlab is aayat ka bhi hai lekin is rivayet ka moqoof hona hi sahih hai aur yeh bhi is waqt jab ke is ki Asnad sahih ho.