Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 September 2020

Nabi sallalahu alaihi wasallam se ek aadmi ne arz kiya ke mai safar par nikalne ka irada kar raha ho to aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye Aap ne uss aadmi ko kuch baton ki wasiyat ki phir jab wo aadmi palat kar safar par nikla to Aap ne dua padhi wo dua kaunsi hai?


❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Sawal: Nabi sallalahu alaihi wasallam se ek aadmi ne arz kiya ke mai safar par nikalne ka irada kar raha ho to aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye Aap ne uss aadmi ko kuch baton ki wasiyat ki phir jab wo aadmi palat kar safar par nikla to Aap ne dua padhi wo dua kaunsi hai?


A.

السَّـــــــلاَمُ عَلَيــْــكُم وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكـَـاتُه

B.

اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ

C.

أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ

D.

سُبحـان اَللّه والحَمدُ لِلّه و لَا إِلَهَ إِلا اَللّه واللّهُ أَكبَر ولاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللّه

E

قَدَّرَ اللَّهُ وَمَا شَاءَ فَعَلَ

F.

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ


G. Nabi sallalahu alaihi wasallam ne koye dua nahi padhi

H. In mai se koye nahi 

I. Sahi jawab ka intezar hai


***************

Sahi jawab hai

🌷B🌷

--------------

Ek aadmi ne arz kiya : Allah ke Rasool! Mai safar par nikalne ka irada kar raha ho to aap mujhe kuch wasiyat farma dijiye, Aap ne farmaya : "mai tujhe Allah ka taqwa ikhtiyar karne ki wasiyat karta ho aur nasihat karta ho ke jaha kahi bhi onchaye o bulandi par chadho Allah ki takbir padho, (Allahu AKbar kahte raho)phir jab aadmi palat kar safar par nikla to Aap ne farmaya 

" اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ"

"Aye Allah! Iss ke liye musafat ki dori ko lapet kar muqtesir kar de aur iss ke liye safar ko aasan bana de."

------------------

حَدَّثَنَا مُوسَى بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ الْكِنْدِيُّ الْكُوفِيُّ، حَدَّثَنَا زَيْدُ بْنُ حُبَابٍ، أَخْبَرَنِي أُسَامَةُ بْنُ زَيْدٍ، عَنْ سَعِيدٍ الْمَقْبُرِيِّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، رضى الله عنه أَنَّ رَجُلاً، قَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنِّي أُرِيدُ أَنْ أُسَافِرَ فَأَوْصِنِي ‏.‏ قَالَ ‏"‏ عَلَيْكَ بِتَقْوَى اللَّهِ وَالتَّكْبِيرِ عَلَى كُلِّ شَرَفٍ ‏"‏ ‏.‏ فَلَمَّا أَنْ وَلَّى الرَّجُلُ قَالَ ‏"‏ اللَّهُمَّ اطْوِ لَهُ الأَرْضَ وَهَوِّنْ عَلَيْهِ السَّفَرَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ ‏.‏


Grade : Hasan (Darussalam)

Reference : Jami` at-Tirmidhi 3445

In-book reference : Book 48, Hadith 76

English translation : Vol. 6, Book 45, Hadith 3445

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...