Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 20 September 2020

Raat o Din ke konse auqaat hain jin mein namaz padhna pasandeeda aur na pasandeeda Amal hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Raat o Din ke konse auqaat hain jin mein namaz padhna pasandeeda aur na pasandeeda Amal hai?


Sahi Milan kijiye!

A: Jab subah ki namaz parh lo to Sooraj tulu honay tak namaz parhnay se ruke raho kuyki?

B: Jab Sooraj tulu ho jaye to phir namaz parho kuyki?

C: Jab Sooraj ain tumharay sir par khada (yani sir ke barabar ho) ho jaye toh phir namaz nah parho kuyki?

D: Jab woh tumharay dayen taraf dhal jaye (yani Zawaal ka waqt ho jaye) to phir namaz parho kuyki?

1: Us waqt Jahannum badhgayi jati hai aur is ghadi mein Jahannum ke darwazay khole jatay hain

2: Us waqt Sooraj Shaitan ke do seengon ke darmain se tulu hota hai

3: Us waqt Shaitan ke guzar ka waqt hota hai 

4: Us waqt namaz mein Farishtay haazir hotay hain aur wo maqbool hoti hai

5: Us waqt Shaitan apne takht par baithta hai

6: Us waqt farishte baitul mamoor ka tawaf karte hain

7: US waqt Allah subahanhu aasman e duniya par hota hai


8: Sahi Jawab ka intezaar?

*************

Sahi Jawab - A2/B4/C1/D4✅

Reference📚:

Safwan Bin Muatal Radi Allahu Anhu se rivayat hai unhon ne Nabi Sal-Allahu Alaihi wasallam se sawal kiya Eh Allah ke Rasool Sal-Allahu Alaihi wasallam mein Aap se is cheez ke baaray mein sawal karna chahta hon, jisay Aap jantay hain aur mein la ilm hon. Raat o Din ke konse auqaat hain jin mein namaz padhna pasandeeda Amal hai? Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum subah ki namaz parh lo to Sooraj tulu honay tak namaz parhnay se ruke raho, (kuynake Sooraj Shaitan ke do seengon ke darmain se tulu hota hai) jab Sooraj tulu ho jaye to phir namaz parho kuyke namaz mein Farishtay haazir hotay hain aur maqbool hoti hai. hatta ke jab Sooraj ain tumharay sir par khada ho jaye. (toh phir namaz nah parho ) jab woh tumharay sir ke barabar ho jaye to yeh woh ghadi hai jis mein Jahannum badhgayi jati hai, aur is ghari mein jahannum ke darwazay khole jatay hain hatta ke woh tumharay dayen taraf dhal jaye (zawaal hojaye). Jab woh tumharay dayen taraf dhal jaye to phir namaz parho kuynake namaz mein Farishtay haazir hotay hain, aur maqbool hoti hai hatta ke tum Asar parh lo phir Sooraj ghuroob honay tak namaz chore do (nah parho).

--------------

صفوان بن معطل سلمیرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سوال كیا كہ:اے اللہ كے رسول ! میں آپ سے اس چیز كے بارے  میں سوال كرنا چاہتا ہوں ،جسے آپ جانتے ہیں اور میں لاعلم ہوں۔ رات و دن كے كونسے اوقات ہیں جن میں نماز پڑھنانا پسندیدہ عمل ہے؟ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:جب تم صبح كی نماز پڑھ لو تو سورج طلوع ہونے تك نماز پڑھنے سے ركے رہو،( كیونكہ سورج شیطان كے دو سینگوں كے درمیان سے طلو ع ہوتاہے) جب سورج طلوع ہو جائے تو پھر نماز پڑھو۔ كیونكہ نماز میں فرشتے حاضر ہوتے ہیں اور مقبول ہوتی ہے۔حتیٰ كہ جب سورج عین تمہارے سر پر كھڑا ہو جائے۔(تو پھر نماز نہ پڑھو)۔ جب وہ تمہارے سر كے برابر ہو جائے تو یہ وہ گھڑی ہے جس میں جہنم بھڑكائی جاتی ہے ، اور اس گھڑی میں جہنم كے دروازے كھولے جاتے ہیں ۔حتی كہ وہ تمہارے دائیں طرف ڈھل جائے(زوال ہوجائے)۔ جب وہ تمہارے دائیں طرف ڈھل جائے تو پھر نماز پڑھو۔كیونكہ نماز میں فرشتے حاضر ہوتے ہیں، اور مقبول ہوتی ہے حتی كہ تم عصر پڑھ لو۔پھر سورج غروب ہونے تك نماز چھوڑ دو(نہ پڑھو)۔

-------------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 518

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...