Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Monday, 21 March 2022
Ummat ki hukmarani kaha tak pahuchegi?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 894❗
Sawal: Ummat ki hukmarani kaha tak pahuchegi?
A: jaha tak ilm pahuchega
B: Yaman tak
C: jaha tak haq pahuchega
D: jaha tak islam pahuchega
E: jaha tak zulm pahuchega
F: har ghar tak
G: inmein se koi nahi (apna jawab likhe)
H: Sahih Jawab ka Intezaar
****
Sahih Jawab - G✅
Hadith: Iss Ummat ki hukmarani waha tak pahuchegi jahan tak Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke liye zameen sikud di gayi thi
Reference📚:
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne yaqeenan Allah Subahnahu ne mere liye Zameen sikud di, Mein ne is ke Mashriq Maghrib dekhe aur Meri ummat ki hukmarani wahan tak pahunche gi jahan tak mere liye zameen sikud di gayi
---
شداد بن اوسرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: یقیناً اللہ تعالیٰ نے میرے لئے زمین سکیڑدی، میں نے اس کے مشرق ومغرب دیکھے اور میری امت کی حکمرانی وہاں تک پہنچے گی جہاں تک میرے لئے زمین سکیڑ دی گئی
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said that: Surely Allah has shrunk the earth for me, I have seen its east and west and the rule of my ummah will reach as far as the earth has shrunk for me.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2538
Kaun kaunse amal karte waqt ye farmaya gaya hain ke banda momeen nahi hota
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 893❗
Jawab ek se zayda hain
Sawal: Kaun kaunse amal karte waqt ye farmaya gaya hain ke banda momeen nahi hota
A: Sharab peene wala
B: loot karne wala
C: Zulm karne wala
D: Khayanat karne wala
E: Chori karne wala
F: Juwaa khele wala
G: Zina karne wala
H. Gaali dene wala
I. Jhoot bolne wala
J. Na haq qatal karne wala
K.Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - ABDEGJ✅
Hadith: Jab koi Zina, Khayanat Chori, Sharab Loot maar aur Qatal karta hain to wo uss waqt Momeen nahi rehta
Reference📚:
--------
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jis waqt Zaani Zina karta hain to wo is waqt Momin nahi hota Jis waqt Chor Chori karta hain to is waqt wo Momin nahi hota, jab wo Sharaab peeta hai to Sharaab noshi ke waqt wo Momin nahi hota, Jab Lootne wala lootta hai to wo lootne ke waqt Momin nahi hota jabke log ussay dekh rahe hote hain aur jab khayanat karne wala khayanat karta hai to wo is waqt momin nahi hota pus tum bach jao bach jao
---
حضرت ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ جس وقت زانی زنا کرتا ہے تو وہ اس وقت مومن نہیں ہوتا ، جس وقت چور چوری کرتا ہے تو اس وقت وہ مومن نہیں ہوتا ، جب وہ شراب پیتا ہے تو شراب نوشی کے وقت وہ مومن نہیں ہوتا ، جب لوٹنے والا لوٹتا ہے تو وہ لوٹنے کے وقت مومن نہیں ہوتا جبکہ لوگ اسے دیکھ رہے ہوتے ہیں اور جب خیانت کرنے والا خیانت کرتا ہے تو وہ اس وقت مومن نہیں ہوتا ۔ پس تم بچ جاؤ ، بچ جاؤ ۔‘‘ متفق علیہ رواہ البخاری (۲۴۷۵) و مسلم ۔
---
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“The adulterer, at the time he is committing adultery, is not a believer; (the wine drinker) at the time he is drinking, is not a believer; the thief, at the time he is stealing, is not a believer; the plunderer, at the time he is plundering with the people looking on, is not a believer.” and when a betrayer betrays he is not a believer so you save yourself save yourself.
----
Mishkat ul Masabeeh#53-Sahih
------------
Hazrat Ibn Abbas Radi Alllahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab koi banda Zina karta hai to wo Momin nahi rehta, jab koi banda Sharab peeta hai to Momin nahin rehta, jab koi banda Chori karta hai to Momin nahi rehta aur Qatal karta hain to bhi Momin nahi rehta..
----
حضرت ابن عباس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ جب کوئی بندہ زنا کرتا ہے تو وہ مومن نہیں رہتا ۔ جب کوئی شراب پیتا ہے تو شراب پیتے وقت مومن نہیں رہتا ۔ جب کوئی چوری کرتا ہے تو مومن نہیں رہتا اور قتل کرتا ہے تو بھی مومن نہیں رہتا ۔‘‘
---
It was narrated that Ibn 'Abbas said: The Messenger of Allah said: 'No one who commits Zina is a believer at the moment when he is committing Zina, and no one who drinks wine is a believer at the moment when he is drinking it, and no thief is a believer at the moment when he is stealing, and no killer is a believer at the moment he is killing
---
Sunnan e Nasai # 4873-Sahih
Allah Subhanahu ek shahar ki taraf aisi hawa bhejega jis ki wajah se rooh qabz hojayegi
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 892❗
3 sawal hain❗
Allah Subhanahu ek shahar ki taraf aisi hawa bhejega jis ki wajah se rooh qabz hojayegi
Sawal1️⃣: WO kaunsa shahar hain?
A: Shaam
B: Masar
C: Madina
D: Yeman
E: Makkah
F: Najd
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
Sawal2️⃣: WO hawa kis tarah ki hogi?
A: Makhmaal se zayda naram
B: Zeher se bari hawa
C: bad budaar jaise mara huwa janwar
D: resham se zayda naram
E: kapus se zayda naram
F: khusbudaar jaise kasturi
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
Sawa3️⃣l: Kin logon ki rooh qabz hogi
A: Biddati logon ki
B: Jo momeen se murtad ban gaya
C: Jin ke dil mein rai ke dane ke barabar bhi Emaan hoga
D: Jis ne ek din bhi Allah Subhanahu ko yaad kiya hoga
E: Jis ne Allah ke khauf se ek aansu bhi bahaya hoga
F: Jis ne ek neiki bhi ki hogi
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - DDC✅
Hadith: Allah Subhanahu Yemen se ek hawa behjenge jo resham se zayda naram hogi aur...
Reference📚
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Allah Subahnahu Yemen se Ek hawa behjega jo Resham se ziyada Naram hogi, jis shakhs ke dil mein (rai ke) dane ke barabar bhi Emaan hoga is ki rooh qabz kar legi
---
ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ یمن سے ایک ہوا بھیجے گاجو ریشم سے زیادہ نرم ہوگی، جس شخص کے دل میں (رائی کے) دانے کے برابر بھی ایمان ہوگا اس کی روح قبض کر لے گی
---
Abu Hurarira RadiAllahu Anhu narrated that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said that Allah Subhanahu will send a wind from Yemen which will be softer then the Silk and The soul of a person who has faith in his heart equal to a grain of mustard seed will be seized
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2541
Insaan ko jab musibat pahunchti hai to wo kya karta hai ? Insan ko kab khush haali naseeb hoti hai to wo kya karta hai ?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 891❗
Do Sawal HaiSawal 1 : Insaan ko jab musibat pahunchti hai to wo kya karta hai ?
Sawal 2 : Insan ko kab khush haali naseeb hoti hai to wo kya karta hai ?
A. Khush ho jata hai
B. Shukr ada karta hai
C. Maut ki tamanna karta hai
D. Lambi umar ki arzoo karta hai
E. Na shukri karta hai
F. Taana zaani karta hai
G. Ghamgeen ho jata hai
H. Dua karne lagta hai
I. Mayoos ho jata hai
J. Kanjusi karne lagta hai
K. In mein se koi nahi to apna jawab likhein
L. Sahi jawab ka Intezaar
**********
Sahi jawab : 1. Ghabra jata hai / 2. J ✅
Al Quraan : Jab Insaan ko khush haali pahunchti hai to bakheel ban jata hai aur jab insaan ko musibat pahunchti hai to ghabra jata hai
Reference : 📚
----------
Surat No 70 : سورة المعارج - Ayat No 20
اِذَا مَسَّہُ الشَّرُّ جَزُوۡعًا ﴿ۙ۲۰﴾
Jab is par musibat aati hai to ghabra uthta hai
---------
جب اس پر مصیبت آتی ہے تو گھبرا اٹھتا ہے
--------
When evil touches him, impatient,
---------
Surat No 70 : سورة المعارج - Ayat No 21
وَّ اِذَا مَسَّہُ الۡخَیۡرُ مَنُوۡعًا ﴿ۙ۲۱﴾
aur jab uss kay paas khushhali aati hai to boht bakheel ban jata hai ,
----------
اور جب اسے خوشحالی نصیب ہوتی ہے تو بخل کرنے لگتا ہے ۔
----------
And when good touches him, withholding [of it],
---------
Al Quraan : Surah Maarij#20-21
x
Maaldaar ke liye Qarz ki adayegi mein deri karna inmein se kya hain?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 890❗
Sawal : Maaldaar ke liye Qarz ki adayegi mein deri karna inmein se kya hain?
A: Khayanat
B: Gunah
C: Zulm
D: Bemaani
E: Sood
F: Kufr
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - C✅
Hadith: Maaldaar hone ke bawajud qarz aada karne mein dairi karna Zulm hain
Reference📚:
---
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs maaldaar ho (yani itna ke qarz aada karne ki taaqat rakhta ho) is ka qarz ki ada karne mein dair karna Zulm hain aur jab tum mein se koi maaldaar par laga diya jaye to is ka peecha karen (yani maaldaar qarz dene ka zimma utha le to qubool kar lena chahiye aur is se taqaza karna chahiye)
---
سیدنا ابوہریرہ ؓ سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا کہ جو شخص مالدار ہو (یعنی اتنا کہ قرض ادا کرنے کی طاقت رکھتا ہو) اس کا قرض کے ادا کرنے میں دیر کرنا ظلم ہے اور جب تم میں سے کوئی مالدار پر لگا دیا جائے تو اس کا پیچھا کرے ۔ (یعنی مالدار قرض دینے کا ذمہ اٹھا لے تو قبول کر لینا چاہئے اور اس سے تقاضا کرنا چاہئے)
مختصر صحیح مسلم --- خریدوفروخت کے مسائل --- طاقتور کا قرض ادا کرنے میں دیر کرنا ظلم ہے اور حوالہ کا بیان ۔ [مختصر صحیح مسلم]
حدیث نمبر: 962
----
Mukhtasir Sahih Muslim#962-Sahih
Faraa aur Ateerah ke mutalliq hadeeso mein kya warid hain, Faraa aur Ateerah kya hai ?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 889❗
Jawab ek se zayda hain dono sawalo mein
Sawal 1️⃣: Faraa aur Ateerah ke mutalliq hadeeso mein kya warid hain
A: Jayez hai
B: Bidat hai
C: Mana farmaya hai
D: Sunnat hai
E: Durust nahi
F: Islam mein nahi hai
G: Jahiliyat ki rasam hai
H: Islam mein hai
Sawal 2️⃣: Faraa aur Ateerah kya hai ?
A: Gaay ke chote bache ko kahte hai jisko mushriq butt ke naam par zibah karte thy
B: Bakri ke chote bache ko kahte hai
C: Oont ke chote bache ko kahte hai jisko mushriq butt ke naam par zibah karte thy
D: Butt ko kahte hai
E: Bakri ko kahte hai jo Rajab ke mahine mein qurbani karte hai
F: Jahaliyat ke daur ki rasam o riwaj hai
G: Qayamant ki nishani hain
H: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - 1️⃣CEFG/2️⃣CE✅
Hadith: Faraa aur Ateerah Islam mein jayaz nahi aur ye jahaliyat ke daur ka amal hain....aur
Reference📚:
---
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se manqool hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Faraa aur Ateerah se mana farmaya hai
---
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے منقول ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرع اور عتیرہ سے منع فرمایا ہے ۔
---
Sunnan e Nisai#4228-Sahih
**
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Na koi Faraa hai aur na koi Ateerah. Ibn Shahab RadiAllahu Anhu ne kaha Faraa se murad paida hone wala wo pehla janwar hai jo jahaliyat wale log zibah karte thy aur Rajab ke zabiha ko Ateerah kehte hain .
---
سیدنا ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: نہ کوئی فرع ہے اور نہ کوئی عتیرہ۔ ابن شہاب نے کہا: فرع سے مراد پیدا ہونے والا وہ پہلا جانور ہے جو جاہلیت والے لوگ ذبح کرتے تھے اور رجب کے ذبیحہ کو عتیرہ کہتے ہیں۔
---
Musnad Ahmed#4727-Sahih
***
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :' ' Faraa koi cheez hai nahi Ateerah “Fara” oont ke pehle bacche ko kehte hain jise mushriqeen apne buton ke naam par zibah kiya karte thy, jabke “Ateerah” is bakri ko kehte hain jis ki Rajab ke mahinay mein qurbani ki jati thi.
---
حضرت ابوہریرہ ؓ سے روایت ہے کہ نبی ﷺ نے فرمایا :’’ فرع کوئی چیز ہے نہ عتیرہ ۔‘‘ ’’ فرع ‘‘ اونٹ کے پہلے بچے کو کہتے ہیں جسے مشرکین اپنے بتوں کے نام پر ذبح کیا کرتے تھے ، جبکہ ’’ عتیرہ ‘‘ اس بکری کو کہتے ہیں جس کی رجب کے مہینے میں قربانی کی جاتی تھی ۔ متفق علیہ ۔
---
Mishkat ul Masabeeh#1477-Sahih
***
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: islam mein Ateerah hain na Faraa
---
۔ سیدنا ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: اسلام میں عتیرہ ہے نہ فرع۔
---
Musnad Ahmed#4726-Sahih
**
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:' “Faraa aur Ateerah” durust nahi.
---
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا :’’ فرع اور عتیرہ درست نہیں ۔‘‘
---
Sunnan e Nisai#4227-Sahih
wo kaunsa amal hain jab koi kehta hain to wo khud he sabse zayda barbaad hota hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 888❗
Sawal: wo kaunsa amal hain jab koi kehta hain to wo khud he sabse zayda barbaad hota hain
A: jab wo khaash lafz kehta hain
B: jab wo kehta hain tum halak hogaye
C: jab wo kehta hain tum batameez shakhs ho
D: jab wo kehta hain tum apne hesab ki fikar karo
E: jab wo kehta hain tum deen ki samaj nahi rakhte
F: jab wo kehta hain tum se mere amal behtar hain
G: jab wo kehta hain meri ibadat tumse zyada hain
H: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
I: Sahih Jawab ka intezaaar
****
Sahih Jawab - H✅
Hadith: Jab koi shakhs ye kehta hain ke log halaq hogaye to wo.....
Reference📚:
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab koi shakhs kahe ke log halaak ho gaye to sab se ziyada barbaad hone wala wo khud he hota hain.
---
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب کوئی شخص کہے کہ لوگ ہلاک ہو گئے تو سب سے زیادہ برباد ہونے والا وہ خود ہی ہوتا ہے۔
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu narrates that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said When a person says that people have perished, So the one who is most ruined is himself.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2518
Subscribe to:
Posts (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Inmein se kaunse amal ke bare mein farmaya gaya hain ke ye Momeen ka behtareen amal hain A: Namaz B: Sila R...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar ----- Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat ha...
-
Bismillahirrhamanirrahim Aasan hisab ki dua ----- اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا Allahumma Haasibni Hisaban Yasira --------- ...