Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 March 2022

Faraa aur Ateerah ke mutalliq hadeeso mein kya warid hain, Faraa aur Ateerah kya hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 889❗


Jawab ek se zayda hain dono sawalo mein


Sawal 1️⃣: Faraa aur Ateerah ke mutalliq hadeeso mein kya warid hain


A: Jayez hai
B: Bidat hai
C: Mana farmaya hai
D: Sunnat hai
E: Durust nahi
F: Islam mein nahi hai
G: Jahiliyat ki rasam hai
H: Islam mein hai


Sawal 2️⃣: Faraa aur Ateerah kya hai ?


A: Gaay ke chote bache ko kahte hai jisko mushriq butt ke naam par zibah karte thy
B: Bakri ke chote bache ko kahte hai
C: Oont ke chote bache ko kahte hai jisko mushriq butt ke naam par zibah karte thy
D: Butt ko kahte hai
E: Bakri ko kahte hai jo Rajab ke mahine mein qurbani karte hai
F: Jahaliyat ke daur ki rasam o riwaj hai
G: Qayamant ki nishani hain
H: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - 1️⃣CEFG/2️⃣CE✅


Hadith: Faraa aur Ateerah Islam mein jayaz nahi aur ye jahaliyat ke daur ka amal hain....aur


Reference📚:
---
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se manqool hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Faraa aur Ateerah se mana farmaya hai
---
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے منقول ہے کہ رسول اللہ  ﷺ  نے فرع اور عتیرہ سے منع فرمایا ہے ۔
---
Sunnan e Nisai#4228-Sahih
**
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Na koi Faraa hai aur na koi Ateerah. Ibn Shahab RadiAllahu Anhu ne kaha Faraa se murad paida hone wala wo pehla janwar hai jo jahaliyat wale log zibah karte thy aur Rajab ke zabiha ko Ateerah kehte hain .
---
سیدنا ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  نہ کوئی فرع ہے اور نہ کوئی عتیرہ۔  ابن شہاب نے کہا: فرع سے مراد پیدا ہونے والا وہ پہلا جانور ہے جو جاہلیت والے لوگ ذبح کرتے تھے اور رجب کے ذبیحہ کو عتیرہ کہتے ہیں۔
---
Musnad Ahmed#4727-Sahih
***
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :' ' Faraa koi cheez hai nahi Ateerah “Fara” oont ke pehle bacche  ko kehte hain jise mushriqeen apne buton ke naam par zibah kiya karte thy, jabke “Ateerah” is bakri ko kehte hain jis ki Rajab ke mahinay mein qurbani ki jati thi.
---
حضرت ابوہریرہ ؓ سے روایت ہے کہ نبی ﷺ نے فرمایا :’’ فرع کوئی چیز ہے نہ عتیرہ ۔‘‘ ’’ فرع ‘‘ اونٹ کے پہلے بچے کو کہتے ہیں جسے مشرکین اپنے بتوں کے نام پر ذبح کیا کرتے تھے ، جبکہ ’’ عتیرہ ‘‘ اس بکری کو کہتے ہیں جس کی رجب کے مہینے میں قربانی کی جاتی تھی ۔ متفق علیہ ۔
---
Mishkat ul Masabeeh#1477-Sahih
***
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: islam mein Ateerah hain na Faraa
---
۔ سیدنا ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اسلام میں عتیرہ ہے نہ فرع۔
---  
Musnad Ahmed#4726-Sahih
**
Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya:' “Faraa aur Ateerah” durust nahi.
---
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ  ﷺ  نے فرمایا :’’ فرع اور عتیرہ درست نہیں ۔‘‘ 
---
Sunnan e Nisai#4227-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...