Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 March 2022

Maaldaar ke liye Qarz ki adayegi mein deri karna inmein se kya hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 890❗


Sawal : Maaldaar ke liye Qarz ki adayegi mein deri karna inmein se kya hain?


A: Khayanat
B: Gunah
C: Zulm
D: Bemaani 
E: Sood
F: Kufr
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih Jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - C✅


Hadith: Maaldaar hone ke bawajud qarz aada karne mein dairi karna Zulm hain


Reference📚:
---
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke jo shakhs maaldaar ho (yani itna ke qarz aada karne ki taaqat rakhta ho) is ka qarz ki ada karne mein dair karna Zulm hain aur jab tum mein se koi maaldaar par laga diya jaye to is ka peecha karen (yani maaldaar qarz dene ka zimma utha le to qubool kar lena chahiye aur is se taqaza karna chahiye)
---
سیدنا ابوہریرہ ؓ سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا کہ جو شخص مالدار ہو (یعنی اتنا کہ قرض ادا کرنے کی طاقت رکھتا ہو) اس کا قرض کے ادا کرنے میں دیر کرنا ظلم ہے اور جب تم میں سے کوئی مالدار پر لگا دیا جائے تو اس کا پیچھا کرے ۔ (یعنی مالدار قرض دینے کا ذمہ اٹھا لے تو قبول کر لینا چاہئے اور اس سے تقاضا کرنا چاہئے)
 مختصر صحیح مسلم --- خریدوفروخت کے مسائل --- طاقتور کا قرض ادا کرنے میں دیر کرنا ظلم ہے اور حوالہ کا بیان ۔ [مختصر صحیح مسلم]
حدیث نمبر: 962
----
Mukhtasir Sahih Muslim#962-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...