Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 21 March 2022

Allah Subhanahu ek shahar ki taraf aisi hawa bhejega jis ki wajah se rooh qabz hojayegi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 892❗

3 sawal hain❗


Allah Subhanahu ek shahar ki taraf aisi hawa bhejega jis ki wajah se rooh qabz hojayegi


Sawal1️⃣: WO kaunsa shahar hain?


A: Shaam
B: Masar
C: Madina
D: Yeman
E: Makkah
F: Najd
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar


Sawal2️⃣: WO hawa kis tarah ki hogi?


A: Makhmaal se zayda naram
B: Zeher se bari hawa
C: bad budaar jaise mara huwa janwar
D: resham se zayda naram
E: kapus se zayda naram
F: khusbudaar jaise kasturi
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar


Sawa3️⃣l: Kin logon ki rooh qabz hogi


A: Biddati logon ki
B: Jo momeen se murtad ban gaya 
C: Jin ke dil mein rai ke dane ke barabar bhi Emaan hoga
D: Jis ne ek din bhi Allah Subhanahu ko yaad kiya hoga
E: Jis ne Allah ke khauf se ek aansu bhi bahaya hoga
F: Jis ne ek neiki bhi ki hogi 
G: Inmein se koi nahi (to apna jawab likiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
***
Sahih Jawab - DDC✅
Hadith: Allah Subhanahu Yemen se ek hawa behjenge jo resham se zayda naram hogi aur...
Reference📚
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne farmaya : Allah Subahnahu Yemen se Ek hawa behjega jo Resham se ziyada Naram hogi, jis shakhs ke dil mein (rai ke) dane ke barabar bhi Emaan hoga is ki rooh qabz kar legi
---
ابو ہریرہ رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اللہ تعالیٰ یمن سے ایک ہوا بھیجے گاجو ریشم سے زیادہ نرم ہوگی، جس شخص کے دل میں (رائی کے) دانے کے برابر بھی ایمان ہوگا اس کی روح قبض کر لے گی
---
Abu Hurarira RadiAllahu Anhu narrated that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said that Allah Subhanahu will send a wind from Yemen which will be softer then the Silk and The soul of a person who has faith in his heart equal to a grain of mustard seed will be seized
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2541

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...