Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 8 December 2020

wo kaunsa azkar ya dua hai jiske padhne ke baad shaitan kehta hain ke ye abb sara din mujhse mehfooz rahega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa azkar ya dua hai jiske padhne ke baad shaitan kehta hain ke ye abb sara din mujhse mehfooz rahega

A: Surah Al-Baqara ki akhri do aayat 
B: Allahumma inni auzubika min diqil duniya wa diqil yawmal-qiyamah
C: Ya Rabbi lakal hamdu kama yam baghi'li jalali waj\hika wa'azimi sultanik
D: Aauzubil lahil azeem wa bi-wajhihil-kareem wa sultanhil-qadim, min ash shaitan nir rajeem
E: Aauzubillahi Minashaitan Nirajeem
F: Aauzu bi kalimaatillaa-hittammaati Min Sharri Ma khalaq
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - D✅

Masjid mein dhakil hote waqt jo ye dua padh le to shaitaan kehta hain ke abb sara din mujhse mehfooz rahega

Reference📚"
-------
Jab Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Masjid mein daakhil hote to ye dua kiya karte 
"‏ أَعُوذُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِوَجْهِهِ الْكَرِيمِ وَسُلْطَانِهِ الْقَدِيمِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ ‏" 
Aauzubil lahil azeem wa bi-wajhihil-kareem wa sultanhil-qadim, min ash shaitan nir rajeem
Mein Shaitan mardood se Allah Azeem, iski zaat kareem aur is ki qadeem badshahat wa qudrat ke zariye panah chahta hu.
Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya pas jab koi shakhs ye dua padhta hain to Shaitan kehta hain, ye ab sara din mujhse mehfooz rahega
------
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam entered the mosque, he would pray: 
"‏ أَعُوذُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِوَجْهِهِ الْكَرِيمِ وَسُلْطَانِهِ الْقَدِيمِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ ‏" 
Aauzubil lahil azeem wa bi-wajhihil-kareem wa sultanhil-qadim, min ash shaitan nir rajeem
I seek refuge through him I seek refuge in Allah from the accursed Satan through his greatness, his noble nature and his ancient kingdom and power 
”The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said:“ So when a person recites this supplication, Shaitan says, 'It will be safe from me all day long. 
----
حضرت عبداللہ بن عمرو بن عاص   ؓ  بیان کرتے ہیں ، جب رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم مسجد میں داخل ہوتے تو یہ دعا کیا کرتے :’’ میں شیطان مردود سے اللہ عظیم ، اس کی ذات کریم اور اس کی قدیم بادشاہت و قدرت کے ذریعے پناہ چاہتا ہوں ۔‘‘ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ پس جب کوئی شخص یہ دعا پڑھتا ہے تو شیطان کہتا ہے ، یہ اب سارا دن مجھ سے محفوظ رہے گا ۔‘‘ 
-----
Mishkat ul Masabeeh#749-Sahih

Agar wo in baton par amal karega toh inhen bigaad dega....yaha kaunse Amal ka zikr kiya gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Agar wo in baton par amal karega toh inhen bigaad dega

Sawal: yaha kaunse Amal ka zikr kiya gaya hain
A: Jhoot bolna
B: Hasad karna
C: badgumaani karna
D: Zulm karna
E: Tohmat lagana
F: Gaib ki khabar puchna
G: Ilm chupana
H: Sahi Jawab ka Intezaar
----------
Sahi Jawab - CE✅

Haakim jab logon ke mamle mein badgumani karega toh inhe bigaad dega

Reference📚:
------
Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Haakim jab logon ke Mamlaat mein badgumaani aur Tohmat par amal karega to inhe bigaad dega.
-----
Narrated Miqdam ibn Madikarib ; Abu Umamah: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: When a ruler seeks to make imputations against the people, he corrupts them.
-----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  حاکم جب لوگوں کے معاملات میں بدگمانی اور تہمت پر عمل کرے گا تو انہیں بگاڑ دے گا ۔
-----
Sunnan e Abu Dawood#4889-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...