Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 14 September 2020

yh kis ke liye farmaya hai ke wo aisi tijarat ke umeedwar hain jo kabhi khasaray mein nahi honge?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: yh kis ke liye farmaya hai ke wo aisi tijarat ke umeedwar hain jo kabhi khasaray mein nahi honge?


A: Quran padne wale

B: Namaz ke paband 

C: Posheedah aur ailaniya taur per kharch karne wale

D: Husn e  Suluq karne wale

E: Jo amal aur sawab ki umeed Allah Subhanahu se rakhte hai

F: Zakat dene wale

G: Hajj karne wale

H: Waledain ki khidmat karne wale

I: Roza rakhne wale


J: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - ABCDEF✅


Reference📚:


Bismillahirrahmanirrahim


اِنَّ الَّذِیۡنَ یَتۡلُوۡنَ  کِتٰبَ اللّٰہِ  وَ اَقَامُوا الصَّلٰوۃَ  وَ اَنۡفَقُوۡا مِمَّا رَزَقۡنٰہُمۡ سِرًّا وَّ عَلَانِیَۃً  یَّرۡجُوۡنَ  تِجَارَۃً  لَّنۡ تَبُوۡرَ 

-----------

Jo log kitabullah ki tilawat kertay hain aur namaz ki pabandi rakhtay hain aur jo kuch hum ney unn ko ata farmaya hai uss mein say posheedah aur ailaniya kharach kertay hain woh aisi tijarat kay umeedwaar hain jo kabhi khasaray mein na hogi.

-----------

Tafseer Ibn e Kaseer 

Kitaab Allah ki tilawat ke fazayal Momin bundon ki naik saftin bayan ho rahi hain ke woh kitaab Allah ki tilawat mein mashgool raha karte hain Imaan ke sath parhte rehtay hain amal bhi haath se jane nahi dete namaz ke paband zakat khairaat ke aadi zahir o batin Allah ke bundon ke sath sulooq karne walay hotay aur woh apne aamaal ke sawab ke umeed waar Allah se hotay hain jis ka milna yakeeni hai jaisay ke is Tafseer ke shuru mein fazayal quran ke zikar mein hum ne bayan kiya hai ke kalaam Allah shareef apne saathi se kahe ga ke har tajir apni tijarat ke peechay hai aur tu toh sab ki sab tijaratoh ke peechay hai inhen un ke poooray sawab milein ge balkay bohat barha charha kar milein ge jis ka khayaal bhi nahi. Allah gunaaho ka bakhsnay wala aur chhootey aur thoray amal ka bhi qader daan hai. hazrat Mutraf RehmatuAllah aleh to is aayat ko qaryon ki aayat kehte they. musnad ki aik hadees mein hai Allah taala jab kisi bande se raazi hota hai to is par bhalaiyon ki sana karta hai jo is ne ki nah hon aur jab kisi se naraaz hota hai to isi terhan buraiyon ki. lekin yeh hadees bohat hi ghareeb hai

-------------

Al Quran – Surah Fatir Ayat No. 29

In mein se kaun se waqt aasman ke darwaze khol diye jate hai?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: In mein se kaun se waqt aasman ke darwaze khol diye jate hai?


A: Jab koi banda Rasool-Allah ﷺ per darood bhejte hai

B: Jab Azan di jati hai 

C: Jab koi shaqs yeah kalima padhe Allahu Akbar kabira Wa Al-hamdu Lillahi kathira, Wa Subhan-Allahi bukratan wa Asila

D: Har peer aur jumerat ko

E: Jab banda Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih padta hai

F: Jab fajar ka waqt hota hai

G: Jab kisi masoom bacche ki wafat hoti hai

H: Jab koi shaheed hota hai


I: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - BC✅


Reference📚:


Ibn Umar Radi Allahu anhu se rivayat hai ki hum log Rasool-Allah ﷺ ke saath namaz mein mashgul they ki ek shaksh ne kaha 

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً

Allahu Akbar kabira Wa Al-hamdu Lillahi kathira, Wa Subhan-Allahi bukratan wa Asila

Rasool-Allah ﷺ ne sunkar farmaya ki kisne ye kalimat padhe us shaksh ne kaha ki maine, to Aap ﷺ ne farmaya is kalme ki wajah se aasman ke darwaze khol diye gaye Ibn umar Radi allahu anhu ne farmaya jis waqt se Rasool-Allah ﷺ se maine ye hadith suni uske baad se maine is kalimat ko padhna kabhi nahi chorha 

------------

Sunan Nasaii, Jild 1, 889-Sahih

-------------

Anas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Nabi (ﷺ) ne farmaya jab Namaz ke liye pukara jata hai (yani Azan ke waqt) toh Aasman ke darwazay khol diye jatay hain, aur dua qubool ki jati hai

----------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 531

Mafhum e hadith ke mutabiq kaun pani ki jagah khoon ke aanso royege?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq kaun pani ki jagah khoon ke aanso royege?


A: Zina karne wale

B: Yajuj Majuj

C: Dajjal ke manne wale

D: Ahle Jahannum

E: Shirk karne wale

F: Musalmano ko qatal karne wale 

G: Zalim Hukmaran

H: Riyakari karne wale

I: In mein se koi nahi


J: Sahi Jawab ka Intezaar?

************

Sahi Jawab - D✅


Reference📚:


Abdullah Bin Qais Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ahle Jahannum itna rooegi ke agar inke asuoo mein kashtiyan chalaye jayen to woh bhi chal padegi woh pani ki jagah khoon ke ansoo royain ge

---------

عبداللہ بن قیسرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اہل جہنم اتنا رؤیں گے کہ اگر ان کے آنسوؤں میں کشتیاں چلائی جائیں تو وہ بھی چل پڑیں وہ پانی كی جگہ خون كے آنسو روئیں گے

---------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1452

Rasool-Allah (ﷺ) ne teen giroh ki misla di jo mazduri karne aaye they unmein se do ne mazduri nahi li aur teesre ne le li, wo kaun kaun se giroh they jinhone mazduri nahi li?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: Rasool-Allah (ﷺ) ne teen giroh ki misla di jo mazduri karne aaye they unmein se do ne mazduri nahi li aur teesre ne le li, wo kaun kaun se giroh they jinhone mazduri nahi li?


A. Munafiqo ka giroh

B. Kafiro ka giroh

C. Yahudiyo ka giroh

D. Nasraneeyo ka giroh

E. Kuffar e Quraish

F. Mushriko ka giroh

G. Kuffar e Bani Israiel


H. Sahi Jawab ka Intezar?

***********

Sahi Jawab - CD✅


Reference📚:


Aap (ﷺ) ne farmaya ke Musalmano aur Yahood o Nasari ki misaal ek aisay shakhs ki si hai ke jis ne kuch logon se mazdoori par raat tak kaam karne ke liye kaha unhon ne adhay din kaam kiya phir jawab day diya ke hamein tumharee ujrat ki zaroorat nahi, (yeh yahood thy) phir is shakhs ne dosray mazdoor bulaye aur un se kaha ke din ka jo hissa baqi bach gaya hai ( yani aadha din ) isi ko poora kar do shart ke mutabiq mazdoori tumhe miley gi unhon ne bhi kaam shuru kiya lekin Asar tak woh bhi jawab day baithy (yeh nasari thy) pas is teesray giroh ne ( Jo Ahal Islam hain) pehlay do garohoon ke kaam ki poori mazdoori le li.

----------------

Narrated Abu Musa: The Prophet (ﷺ) said, "The example of Muslims, Jews and Christians is like the example of a man who employed laborers to work for him from morning till night. They worked till midday and they said, 'We are not in need of your reward.' So the man employed another batch and said to them, 'Complete the rest of the day and yours will be the wages I had fixed (for the first batch). They worked until the time of the `Asr prayer and said, 'Whatever we have done is for you.' He employed another batch. They worked for the rest of the day till sunset, and they received the wages of the two former batches."

-----------

 آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ مسلمانوں اور یہود و نصاری کی مثال ایک ایسے شخص کی سی ہے کہ جس نے کچھ لوگوں سے مزدوری پر رات تک کام کرنے کے لیے کہا۔ انہوں نے آدھے دن کام کیا۔ پھر جواب دے دیا کہ ہمیں تمہاری اجرت کی ضرورت نہیں،  ( یہ یہود تھے )  پھر اس شخص نے دوسرے مزدور بلائے اور ان سے کہا کہ دن کا جو حصہ باقی بچ گیا ہے  ( یعنی آدھا دن )  اسی کو پورا کر دو۔ شرط کے مطابق مزدوری تمہیں ملے گی۔ انہوں نے بھی کام شروع کیا لیکن عصر تک وہ بھی جواب دے بیٹھے۔  ( یہ نصاریٰ تھے )  پس اس تیسرے گروہ نے  ( جو اہل اسلام ہیں )  پہلے دو گروہوں کے کام کی پوری مزدوری لے لی۔ 

--------------------

Sahih Hadees

Sahih Bukhari Hadees # 558

Dozakh ki aag kaisee hai ?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zyada hai!


Sawal: Dozakh ki aag kaisee hai ?


A. Uski teen shakhien hai

B. Uski chingariya aisee hai jaise mahal

C. Uske andar jo ek baar jata wapas nahi aa sakta

D. Khajur ke tano ki tarah uski shaankhe hain

E. Zard rang ke oont ki tarah hai

F. Uska rang lal aur kala hai

G. Uske charo aur pighle huye taanbe ki baoundry hai



H. Sahi Jawab ka Intezaar?

*********

Sahi Jawab - ABE✅


Reference📚:

Bismillahirrahmanirrhaim


انطَلِقُوا إِلَىٰ مَا كُنتُم بِهِ تُكَذِّبُونَ 

انطَلِقُوا إِلَىٰ ظِلٍّ ذِي ثَلَاثِ شُعَبٍ 

لَّا ظَلِيلٍ وَلَا يُغْنِي مِنَ اللَّهَبِ 

إِنَّهَا تَرْمِي بِشَرَرٍ كَالْقَصْرِ 

كَأَنَّهُ جِمَالَتٌ صُفْرٌ 

وَيْلٌ يَوْمَئِذٍ لِّلْمُكَذِّبِينَ

----------

(kafiron se kaha jayega) Jis cheez ko tum jhuthlaya karte they,(ab) is ki taraf chalo (yani) is (dozakh ke aag ke) saaye ki taraf chalo jis ki teen shaakhen hain, Na thandhi chaon aur na (uski) lapat se bachao , isse (aag ki itni badi) chingariyan udti hain jaise mahal, jaiseا ki zard rang ke oont hain, us din jhutlanae walon ki kharabi hai

----------

Al Quran , Surah Mursalat, Aayat 29-34

Ek sahaba ne kaha ke agar in batoh ka khayal na hota toh wo ghulam hokar marna pasand karte thy

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hai❗


Sawal: Ek sahaba ne kaha ke agar in batoh ka khayal na hota toh wo ghulam hokar marna pasand karte thy ?


Woh kaun kaun si baate hai?


A. Namaz

B. Hajj 

C. Zakat

D. Roza

E. Sila rahmi

F. Umrah

G. Maa se husna suluk

H. Nawafil Ibadat

I.  Jihad fi Sabi Lillah

J. Sunnat per Amal karna


K. Sahi Jawab ka Intezaar?

**********

Sahi Jawab - BGI✅


Reference📚:


Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayat hai Naik Saleh ghulam ke liye dohra ajar hai is zaat ki qisam jis ke haath mein Abu Huraira RadiAllahu Anho ki jaan hai! agar Jihaad fi Sabeel Allah , Hajj aur apni Maa se husna suluk (khidmat) nahi hota to mujhe yeh baat pasand thi ki mein ghulam ho kar maru

----------------------------

) ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے: نیك صالح غلام كے لئے دوہرا اجر ہے۔ اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں ابو ہریرہرضی اللہ عنہ كی جان ہے! اگر جہاد فی سبیل اللہ، حج اور اپنی ماں سے حسن سلوك(خدمت)نہ ہوتا تو مجھے یہ بات پسند تھی كہ میں غلام ہو كر مروں

-----------------------------

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ رضی اللہ عنہ  مرفوعا: لِلْعَبْدِ الْمَمْلُوكِ الصَّالِحِ أَجْرَانِ وَالَّذِي نَفْس أَبِي هُرَيْرَةَ بِيَدِهِ! لَوْلَا الْجِهَادُ فِي سَبِيلِ اللهِ وَالْحَجُّ وَبِرُّ أُمِّي لَأَحْبَبْتُ أَنْ أَمُوتَ وَأَنَا مَمْلُوكٌ

-----------------------------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3700

Allah Subahnhu inmein kaunse dil ki dua kabool nahi karta

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zayda hai!


Sawal: Allah Subahnhu inmein kaunse dil ki dua kabool nahi karta


A: Riyaakari karne wala

B: Ghaafil 

C: Bakheel

D: Zulm karne wala

E: Nafarman Aulad

F: Dikhawa karne wala

G: Sarkashi karne wala

H: Laa parwah 


I: Sahi Jawab ka intezaar

***********

Sahi Jawab - BH✅

📚Reference: 

Abu Huraira Radi Allahu Anhu se marfua marwi hai ke : Allah Subahanhu s

e qabuliat ke yaqeen ke saath dua karo, aur jaan lo ke Allah Suabhanhu taala laa parwah o ghaafil dil ki dua qubool nahi karta

-----------

ابو ہریرہرضی اللہ عنہ  سے مرفوعا مروی ہے کہ: اللہ سے قبولیت کے یقین کے ساتھ دعا کرو، اور جان لو کہ اللہ تعالیٰ لا پرواہ و غافل دل کی دعا قبول نہیں کرتا

------------------

عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ مَرفُوعاً: ادْعُوا اللهَ تَعَالَى وَأَنْتُمْ مُوقِنُونَ بِالْإِجَابَةِ وَاعْلَمُوا أَنَّ اللهَ لَا يَسْتَجِيبُ دُعَاءً مِنْ قَلْبٍ غَافِلٍ لَاهٍ.

-------------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2738

Kaun sa shaqs rahmat mein dooba rehta aur rahmat mein gota lagata hai


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaun sa shaqs rahmat mein dooba rehta aur rahmat mein gota lagata hai?


A: Subha aur Sham ke azkar padne wale

B: Subah aur Sham 100 baar Astagfar padne wale.

C: Mareez ki ayadat karne wale

D: Janaze mein shareek hone wale

E: kisi musibat mein mubtala shaqs ki madad karne wale

F: Bure rishtedaro ke saath husn sulook karne wale

G: Budhe maa baap ki khidmat karne wale

H: In mein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka intezaar?

**********

Sahi Jawab - C✅

Reference📚:

Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne mareez ki ayadat ki jab tak woh baith nahi jaye rahmat mein dooba rahega jab woh baith jaye ga to rahmat mein ghouta lagaye ga.

------

جابر بن عبداللہ رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے مریض كی عیادت كی جب تك وہ بیٹھ نہ جائے رحمت میں ڈوبا  رہے گا ۔ جب وہ بیٹھ جائے گا تو رحمت میں غوطہ لگائے گا

-------------------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2345

kaunse amal ke liye farmya Gaya ke banda Jannat mein agar dakhil hoga toh waha bhi peeche reh jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: kaunse amal ke liye farmya Gaya ke banda Jannat mein agar dakhil hoga toh waha bhi peeche reh jayega?


A: jo namaz awal waqt mein nahi padte

B: jo awal saaf mein namaz nahi padte 

C: jo safoh ko mukammal nahi karte

D: jo khutba nahi sunte

E: jo khutba imam ke qareeb baith kar nahi sunte

F: jo qaza karke namaz padte hai 

G: jo khutba sunne masjid mein sab se aakhir mein pahochte hain 

H: In mein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka Intezaar?


**********

Sahi Jawab – E✅


Reference📚:


Simra Bin Jandab RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke Nabi Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Nasihat ki Majlis (Khutba Jumma) mein haazir huwa karo aur Imam ke qareeb betha karo kyunki aadmi durr hota rehta hai hatta ke woh jannat mein bhi peeche reh jata hai agarchay is mein dakhil ho jayega.

----------

سمرہ بن جندب  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نصیحت كی مجالس (خطبہ جمعہ) میں حاضر ہوا کرو اور امام کے قریب بیٹھا کرو کیونکہ آدمی دور ہوتا رہتا ہے حتی کہ وہ جنت میں بھی پیچھے رہ جاتا ہے اگرچہ اس میں داخل ہوجا ئے۔

-----------

Simra Bin Jandab RadiAllahu Anhu narrated that The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said, "Be present in the gathering (FridaySermon), and sit near the Imam, because the person remains away, even though he remains behind in Paradise." Though it's entered.

------------

Sahih Hadees

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 488

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...