Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 14 September 2020

yh kis ke liye farmaya hai ke wo aisi tijarat ke umeedwar hain jo kabhi khasaray mein nahi honge?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hai!


Sawal: yh kis ke liye farmaya hai ke wo aisi tijarat ke umeedwar hain jo kabhi khasaray mein nahi honge?


A: Quran padne wale

B: Namaz ke paband 

C: Posheedah aur ailaniya taur per kharch karne wale

D: Husn e  Suluq karne wale

E: Jo amal aur sawab ki umeed Allah Subhanahu se rakhte hai

F: Zakat dene wale

G: Hajj karne wale

H: Waledain ki khidmat karne wale

I: Roza rakhne wale


J: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - ABCDEF✅


Reference📚:


Bismillahirrahmanirrahim


اِنَّ الَّذِیۡنَ یَتۡلُوۡنَ  کِتٰبَ اللّٰہِ  وَ اَقَامُوا الصَّلٰوۃَ  وَ اَنۡفَقُوۡا مِمَّا رَزَقۡنٰہُمۡ سِرًّا وَّ عَلَانِیَۃً  یَّرۡجُوۡنَ  تِجَارَۃً  لَّنۡ تَبُوۡرَ 

-----------

Jo log kitabullah ki tilawat kertay hain aur namaz ki pabandi rakhtay hain aur jo kuch hum ney unn ko ata farmaya hai uss mein say posheedah aur ailaniya kharach kertay hain woh aisi tijarat kay umeedwaar hain jo kabhi khasaray mein na hogi.

-----------

Tafseer Ibn e Kaseer 

Kitaab Allah ki tilawat ke fazayal Momin bundon ki naik saftin bayan ho rahi hain ke woh kitaab Allah ki tilawat mein mashgool raha karte hain Imaan ke sath parhte rehtay hain amal bhi haath se jane nahi dete namaz ke paband zakat khairaat ke aadi zahir o batin Allah ke bundon ke sath sulooq karne walay hotay aur woh apne aamaal ke sawab ke umeed waar Allah se hotay hain jis ka milna yakeeni hai jaisay ke is Tafseer ke shuru mein fazayal quran ke zikar mein hum ne bayan kiya hai ke kalaam Allah shareef apne saathi se kahe ga ke har tajir apni tijarat ke peechay hai aur tu toh sab ki sab tijaratoh ke peechay hai inhen un ke poooray sawab milein ge balkay bohat barha charha kar milein ge jis ka khayaal bhi nahi. Allah gunaaho ka bakhsnay wala aur chhootey aur thoray amal ka bhi qader daan hai. hazrat Mutraf RehmatuAllah aleh to is aayat ko qaryon ki aayat kehte they. musnad ki aik hadees mein hai Allah taala jab kisi bande se raazi hota hai to is par bhalaiyon ki sana karta hai jo is ne ki nah hon aur jab kisi se naraaz hota hai to isi terhan buraiyon ki. lekin yeh hadees bohat hi ghareeb hai

-------------

Al Quran – Surah Fatir Ayat No. 29

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...