Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 3 December 2020

Inmein se kis ke bare mein farmaya gaya hain ke wo halaq huwe

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se kis ke bare mein farmaya gaya hain ke wo halaq huwe

A: Sakht qalam karne wale
B: Ziyada hasne wale
C: Guman karne wale
D: Ziyada sone wale
E: Ziyada behas karne wale
F: bahut khana khane wale
G: Gussa karne wale
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahi Jawab - E✅

Bahut ziyada behas karne wale halaq huwe

Reference📚:
---
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne teen baar farmaya suno bahut ziyada behas wa takraar karne aur jhagdane wale halak hogaye
----
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے تین بار فرمایا: سنو، بہت زیادہ بحث و تکرار کرنے اور جھگڑنے والے ہلاک ہو گئے ۱؎ ۔ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Beware! The extremists perished, saying it three times. 
----
Sunan Abu Dawud # 4608-Sahih

Mafhum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam inmein se kaun kaunsi cheezon se panah maanga karte the?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zyada hain

Sawal: Mafhum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam inmein se kaun kaunsi cheezon se panah maanga karte the?

A: badbakhti se
B: jhoot se
C: dhoke se
D: dushmano ki khushi se
E: Gheebat karne se
F: Qata taluqi karne se
G: bure faisle se
: Sahi Jawab ka intezaar
***********
Sahi Jawab – ADG✅

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam in teen cheezon se panah mangte the…

Reference📚:
------
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam un teen cheezon se panah mangte the badbakhti ke paane se, dushmanon ki khushi se, bure faisle se ya mushaqqat mein daalne wale faisle se.
----
It is narrated on the authority of Abu Huraira RadiAllahu Anhu that the Prophet Sallallahu Alahi wasallam used to seek refuge from these three things: from finding misfortune, from the happiness of enemies, from bad decisions or from hard decisions.
----
سیدنا ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  ان تین چیزوں سے پناہ مانگتے تھے: بدبختی کے پانے سے، دشمنوں کی خوشی سے، برے فیصلے سے یا مشقت میں ڈالنے والے فیصلے سے۔
----
Musnad Ahmed#5693-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...